Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say
Kisi Kay Pass Anay Say Kisi Kay Door Janay Say
Mohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say
Jinhain Hum Yad Rakhtay Hain Woh Hum Ko Bhool Jatay Hain
Nahi Hota Asar Enn Per Abb Ashkoon Ko Bahanay Say
Dil e Betab Main Surat Teri Esi Sajaee Hay
Kabhi Mitt Nahi Sakti Kisi Kay Mitanay Say
Bichartna Thaa Muqadar Main Kissi Say Kiya Gilaa Magaar
Nahi Shikwa Muqadar Say Naa Shikwa Hay Zamanay Say
Andheri Raat Hay Barish Hay Our Main Bhi Tanha Hoon
Nahi Maloom Ho Ga Kiya Faqat Dil Jalanay Say,

·
1 Like ·
May 30, 2016 at 08:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum Ko Yeh Silaa Bhi Mohabbat Ka Mila Hai
Hum ko yeh silaa bhi mohabbat ka mila hai
hum jis ko chahtay hai, ussay hum se gila hai
Hum naam bhi laitay hai toh dartay hai qasam se
affsoss kay har baar mera ghar hee jala hai
Dil chahta hai hum bhi zamaanay ko mithaa dhay
dartay hai faqat Rub se kay woh apna khuda hai
Woh bhoool bhi jaaye humay toh ghum nahi hai
chaaha hai jisay dil, woh yaha kis ko mila hai
Kaliyo kee tarah hum bhi biker jaaye ge aik din
yeh baat hai sachi kay yeh qismat ka likhaa hai,

May 30, 2016 at 01:05
Category: sad
Advertisement
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Zaraa Si Der Mein Kyaa Ho Gayaa Zamaane Ko
Kabhi Kahaa Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gai Zamaane Ko
Chaman Mein Barq Nahin Chorti Kisi Surat
Tarah Tarah Se Banataa Hun Aashiyaane Ko
Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge
Kaho To Aaj Sajaa Lun Gharib-Khaane Ko
Duaa Bahaar Ki Maangi To Itane Phool Khile
Kahin Jagah Na Mili Mere Aashiyaane Ko
Chaman Mein Jaanaa To Sayyaad Dekh Kar Jaanaa
Akelaa Chor Kar Aayaa Hun Aashiyaane Ko
Meri Lehad Pe Patangon Ka Khoon Hotaa Hai
Huzoor Shammaa Na Laayaa Karen Jalaane Ko
Dabaa Ke Chal Diye Sab Qabr Men Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kyaa Ho Gayaa Zamaane Ko
Ab Aage Is Mein Tumharaa Bhi Naam Aayegaa
Jo Hukm Ho To Yahin Chor Dun Fasaane Ko
'Qamar' Zaraa Bhi Nahin Tujh Ko Khauf-E-Rusavaai
Chale Ho Chaandani Shab Mein Unhen Manaane Ko
,

May 23, 2016 at 13:05
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ham Ne Aavaaz Par Tum Ko Aavaaz Di
Ai Mere Ham-Nashin Chal Kahin Aur Chal Is Chaman Mein Ab Apnaa Guzaraa Nahin
Baat Hoti Gulon Tak To Sah Lete Ham Ab To Kaanton Pe Bhi Haq Hamaraa Nahin
Aaj Aaye Ho Tum Kal Chale Jaaoge Ye Muhabbat Ko Apani Gavaraa Nahin
Umr Bhar Kaa Saharaa Bano To Bano Do Ghari Kaa Saharaa Saharaa Nahin
De Sadaa Daar Par Aur Kabhi Toor Par Kis Jagah Main Ne Tum Ko Pukaraa Nahin
Thokaren Yun Khilaane Se Kyaa Fayedaa Saaf Kah Do Ke Milnaa Gavaraa Nahin
Gulasitaan Ko Lahu Ki Zaruurat Pari Sab Se Pehle Hi Gardan Hamaari Kati
Phir Bhi Kehte Hain Mujhse Ye Ahal-E-Chaman Ye Chaman Hai Hamaraa Tumharaa Nahin
Zaalimon Apani Qismat Pe Naazaan Na Ho Daur Badalegaa Ye Vaqt Ki Baat Hai
Vo Yaqinan Sunegaa Sadaayen Meri Kyaa Tumharaa Khudaa Hai Hamaraa Nahin
Apani Zulfon Ko Rukh Se Hataa Lijiye Mera Zauq-E-Nazar Aazmaa Lijiye
Aaj Ghar Se Chalaa Hun Yahi Soch Kar Ya To Nazren Nahin Yaa Nazaraa Nahin
Jaane Kis Ki Lagan Kis Ke Dhun Mein Magan Ham Ko Jaate Hue Mur Ke Dekhaa Nahin
Ham Ne Aavaaz Par Tum Ko Aavaaz Di Phir Bhi Kahate Hain Ham Ne Pukaraa Nahin

May 21, 2016 at 23:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri Tarha Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha
Mujh Se Bicher K Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha,
Meri Tarha Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha.
Aisy Ajeeb Dard K Peèhry The Chaar Soo,
Ab K Wo Mery Sheher Mein Aa Kar Udaas Tha.
Mujh Ko Bhi Uski Yaad Satati Rahi Bohat,
Wo Bhi Dayar-E-Ghair Mein Ja Kar Udaas Tha.
Mery Ilawa Bhi Hai Koi Us K Sheher Mein,
Itni Si Baat Mujh Ko Bata Kr Udaas Tha.
Usko Udas Kar Gai Beety Dinon Ki Yaad,,
Guzri Rafaqton Ko Ganwa Kr Udaas Tha..

May 21, 2016 at 17:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Yaar Ko Humne Ja Ba Ja Dekha
Yaar Ko Humne Ja Ba Ja Dekha
Kahin Zahir Kahin Chupa Dekha
Kahin Mumkin Hua Kahin Wajib
Kahin Fani Kahin Baqa Dekha
Kahin Woh Baadshah e Takht Nashin
Kahin Kasa Liye Gada Dekha
Kahin Woh Dar Libaas e Mashuqan
Bar Sar e Naaz Aur Ada Dekha
Kahin Ashiq Niaz Ki Surat
Seena Bariyaan O Dil Jala Dekha !!!,
Kahin Zahir Kahin Chupa Dekha
Kahin Mumkin Hua Kahin Wajib
Kahin Fani Kahin Baqa Dekha
Kahin Woh Baadshah e Takht Nashin
Kahin Kasa Liye Gada Dekha
Kahin Woh Dar Libaas e Mashuqan
Bar Sar e Naaz Aur Ada Dekha
Kahin Ashiq Niaz Ki Surat
Seena Bariyaan O Dil Jala Dekha !!!,
·
1 Like ·
May 19, 2016 at 22:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mere Ishq Ko Nidhaal Kar
میرے عشق کو نڈھال کر
کبھی ھجر کو بھی وصال کر
میری آنکھ کو بینائی دے
میرے قلب کو اجال کر
مجھے درس دے تو فنا کا
میرا عشق میں برا حال کر
مجھے دے سزا کوئی سخت سی
مجھے اس جہاں میں مثال کر
میری اصل صورت بگاڑ دے
کسی عشق کی بھٹی میں ڈال کر
مجھے بھی پلا کوئی ایسی شئے
کبھی میری آنکھیں بھی لال کر
وہ جو اُس جہاں میں حلال ہے
کبھی اس جہاں میں حلال کر
تیری طلب میں ہوںمیں دربدر
کبھی اس طرف بھی خیال کر,
کبھی ھجر کو بھی وصال کر
میری آنکھ کو بینائی دے
میرے قلب کو اجال کر
مجھے درس دے تو فنا کا
میرا عشق میں برا حال کر
مجھے دے سزا کوئی سخت سی
مجھے اس جہاں میں مثال کر
میری اصل صورت بگاڑ دے
کسی عشق کی بھٹی میں ڈال کر
مجھے بھی پلا کوئی ایسی شئے
کبھی میری آنکھیں بھی لال کر
وہ جو اُس جہاں میں حلال ہے
کبھی اس جہاں میں حلال کر
تیری طلب میں ہوںمیں دربدر
کبھی اس طرف بھی خیال کر,
·
1 Like ·
May 17, 2016 at 15:05
Category: sad
Social Wall / Photos
Zahid Mahmood
Log Pathar K Buton Ko Pooj Kar Bhi Masoom Rahe
·
0 Like ·
May 17, 2016 at 02:05
Category: photos
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Ham Haqeeqat Hi Samajhtey Rahey Bahaaney Ko
Ham haqeeqat hi samajhtey rahey bahaaney ko!
Jaan beychain hai ab fir naye fasaaney ko!!
Sach hai: toubaa zaroor ki thi: tum they pahloo mein:
Bin tumhaarey, to, wahee saath hai nibhaaney ko!
Wo kyaa wajah hai, shafaq ruk rahaa hai aaney sey:
Bulbuleyn tak nahin taiyaar hain manaaney ko?
Chaand matmah hai baam par: hai ilaaqaa roshan!
Shagal hai un kaa: zarooree hai dil churaaney ko!!
Na jaaney kyaa hai, ki, beychain ho uthhaa hun main:
Phisal rahey hain qadam fir sharaabkhaaney ko?
Aaj har lamhah khilaafat pai utar aayaa hai:
Hameen miley hain usey, kyounki, aazmaaney ko?
Nisf shab, nisf hee raheygee aaj, lagtaa hai;
Lagey hain saath anaasir, mujhey sataaney ko!
Kitney afraad aa jutey hain unki khidmat mein:
Saraa samajh rahey hain, meyrey aashiyaaney ko!
Koun aayaa hai: muqaffal hain kibaadey saarey:
Haaya, beytaab hun kisko galey lagaaney ko?
Taan sun teyri baansuree ki, mujhey lagtaa hai,
Khwaab mein bhi rahaa hai jaag 'abd' gaaney ko!,

May 16, 2016 at 01:05
Category: general
Sponored Video