Search
Jokes / Miscellaneous
Aleezay Abbasi
Ek Dafa Ek Bura Admi Soya Hua Tha K Us Ki Khawab
ek dafa ek bura admi soya hua tha k us ki khawab mein shetaan ayaa aur us ko kaha k yeh lo ek lakh rupee subha kiss bhi burey admi ko de dena aur kehna k shetan k naam ka ley lo woh admi subha uthh ker ilaqey k badmash k pass jata ha aur kehta ha k yeh ek lakh rupee shetan k naam key ley lo mager woh inkar ker deta ha aur kehta ha k jaoo mein nahin ley sakta kiyon k mein pehley hi bohat bura admi hoon wahan se mayoos ho ker woh ek naikaa k pass jata ha aur us ko kehta ha k yeh lo ek lakh rupee shetan k naam ka ley lo woh bhi inkar ker dete ha k mein nahin ley saktee mein pehley hi gunagaar hoon woh wahan se mauus ho ker ilaqey k inspector k pass jata ha aur kehta ha inspector sahab yeh lo ek lakh rupee shetan k naam ka inspector pehley to us ko ghoorta ha phir achanak apney admion ko awaz de ker kehta ha oyee bachoo is ko ulta latka ker chatrool ker is ki -
woh admmi bara pereshan hota ha k mein to is ko paisee de raha hoon aur yeh merey sath aisa kiyon ker raha ha woh inspector ki minat samajat kerta hua kehta ha k mera qasoor to batao inspector kehta ha k raat ko shetan merey khawab mein bhi ayya tha woh to keh raha tha k 2 lakh hain tum ek hi layee ho nikaloo doosra lakh warna chaloo drawing room .................!!!!!!!!!!!!!!!!

·
3 Like ·
Sep 23, 2018 at 06:09
Category: miscellaneous
Poetry / Sad
Haseeb Raza
Zindagi Khawab E Pareshaan Se Zeyada To Nahin.
Zindagi khawab-e-pareshaan se zeyada to nahin,
Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,
Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,
Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,
Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,
Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
Be’rukhi aap ki bhi hadh se zeyadaa to nahin...

0 Like ·
Apr 25, 2018 at 00:04
Category: sad
Advertisement
Poetry / General
Ijunoon
Joothe Khawab Kal K
Hameen gham mila hamesha
Surat badal badal k
Guzri hai umr sari
Tanhaiyon main jal k
Yeh bojh zindagi ka
Kab tak chaleen utha k
Pachta rahey hain aey dil
Ham toh jahan main aa k
Kantoon ki rahguzar pay
Kab tak chaleen sunbhal k
Hamdard toh bohot hain
Koi charagar naheen hai
Meri zindagi main apna
Koi hamsafar naheen hai
Aankhon main ham sajayeen
Kion jhotay khawab kal k
Surat badal badal k
Guzri hai umr sari
Tanhaiyon main jal k
Yeh bojh zindagi ka
Kab tak chaleen utha k
Pachta rahey hain aey dil
Ham toh jahan main aa k
Kantoon ki rahguzar pay
Kab tak chaleen sunbhal k
Hamdard toh bohot hain
Koi charagar naheen hai
Meri zindagi main apna
Koi hamsafar naheen hai
Aankhon main ham sajayeen
Kion jhotay khawab kal k
·
3 Like ·
Jan 25, 2018 at 08:01
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Aankhoon Se Meri Koun Mere Khawab Ley Geya
Aankhoon se meri koun mere khawab ley geya
Chashm sadaf se gohar nayab ley geya
Is shehar khush jamal ko kis ki lagi hay aah
Kis dilzada ka gariya e khunaab ley geya
Kuch na KHUDA k faiz se sahil bi dour tha
Kuch kismatoon k phir main gardaab ley geya
Wahan shehar dobtey hain, edhar behas k unheen
Khm ley geya hai ya khm mehrab le geya hai
Kuch khoi khoi aankheen bi moujoon k sath then
Shayad unheen baha k koi khawab le geya
Tufaan abrobaad main sab geet kho gaey
Jhonka hawa ka hath se mazrab le geya
Gairoon ki dushmani ne na mara, magar hameen
Apnoon k altafat ka zehraab le geya
Aey aankh ! ab toh khawab ki duniya se loot aa
"Masgaan toh khool ! shehar ko salab le geya !

1 Like ·
Jan 20, 2018 at 15:01
Category: general
Poetry / Sad
Ankhon Main Koi Khawab Sajaya Na Jayega
Ankhon main koi khawab sajaya na jayega
Chahat ka bojh humse uthaya na jayega
Jab pehli baar app ne thaama tha mera hath
Lamha woh saari umar bhulaya na jayega
Chaanni sa ho gaya hai dil zaar dekh lo
Ab to dosti ka hath bhi barhaya na jayega
Hum ne yeh soch kar unhain tohfa nahi dia
Kangan ka bojh unse uthaya na jayega
Aawaz hum ne deni hai har ek maqaam par
Go, jante hain app se aaya na jayega
Kaash! chand doob gaya jane kis ghari
Lagta hai chat se chaand ka saya na jayega...!

Dec 07, 2017 at 10:12
Category: sad
Poetry / Sad
Na Koi Khawab Na Koi Saheli Thi
Na koi khawab na koi saheli thi
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jhaili thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gay usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi...!
us mohabbat mein main akeli thi
ishq main tum kahaan kay sachay the
jo aziyat thi woh hum ne jhaili thi
yaad ab kuch nahiin raha laiken
ik dariya tha ya haveli thi
jis nay uljha kay rakh diya dil ko
woh mohabbat thi ya paheli thi
mein zara si bhi kam wafa karti
tum ne tu meri jan le li thi
waqt kay sanp kha gay usko
meray aangan main ik chanbeli thi
us shab-e-ghum main kis ko batlaon
kitni roshan meri hatheli thi...!
·
1 Like ·
Oct 09, 2017 at 08:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Simta Hua Khawab Shiksta Nahi Milta
Simta Hua Khawab Shiksta Nahi Milta,
Manzil Ka Humen Ilm Se Rasta Nahi Milta.
Bekar Hai Iflaas Mein Marny Ki Tamana,
Bazar Se Ab Zehar Bhi Sasta Nahi Milta.
Pathar Se Adawat Ki Saza Itni Kari Hai,
Mujh Ko Dar-O-Deewar Mein Rasta Nahi Milta.
Ikhlas Ka Is Baar Wo Qehat Hai K Ya RAB,,
Dushman Bhi Mujhy Jaan Ka Sacha Nahi Milta...
,

Apr 09, 2016 at 23:04
Category: sad
Poetry / 0
Abdul Rahman
Khawab (pak Old)
Khawab ki tarha bikhar jane
ko je chahata hay
Aisi tanhayi k mar jane
ko je chahata hay
Duub jaoun to koy mouj
Nishaan tak na bataye
Asi nadia main utar jane
ko je chahta hay
Ghar ki wehishat se larazta houn
Magar jane kyun
Shaam hoti hay to ghar jane
ko je chahta hay
ko je chahata hay
Aisi tanhayi k mar jane
ko je chahata hay
Duub jaoun to koy mouj
Nishaan tak na bataye
Asi nadia main utar jane
ko je chahta hay
Ghar ki wehishat se larazta houn
Magar jane kyun
Shaam hoti hay to ghar jane
ko je chahta hay
·
1 Like ·
Mar 17, 2015 at 17:03
Category: 0
Poetry / Love
Khayal O Khawab Hue Hain Mohabbatein Kesi
·
1 Like ·
Nov 22, 2014 at 15:11
Category: love
Sms / Friendship
Kashif Yaqoob
Khuda Ka Shukr Ha K Khawab Bana Die Usne.
Khuda ka shukr ha k khawab bana die usne...! = DOST = !... Warna tumhy dekhny ki to sirf hasrat hi reh jati.
·
2 Like ·
Jan 07, 2014 at 15:01
Category: friendship
Tags: Allah Dost Khuda Friend Sms
Sponored Video