Search
Poetry / Sad
Us Ne Kaha Ke Ishq Ka Nasha Uter Gaya
Us ne kaha ke ishq ka nasha uter gaya
main ne kaha ke husun bhee tum sey muker gaya
us ne kaha ke tujh ko dilani hain choriyan
main ne kaha ke ab wo zamana guzar gaya
us ne kaha ke kia hoa kajal kee dhaar see
main ne kaha ke ankh sey durya guzar gaya
us ne kaha ke ye tere chiryoun sey dostee
main ne kaha keh dil mera duniya sey bhur gaya
us ne kaha ke kia mila sub sey bigaar ke
main ne kaha ke waqt tu acha guzar gaya
us ne kaha ke khawab main anay ka waqt do
main ne kaha ke neend ka mausam guzar gaya
us ne kaha ke woh teray soraj ka kia bunna
main ne kaha ke woh meray dil main uter gaya
us ne kaha ke woh nahein dey ga tumhara sath
main ne kaha ke woh chalo wada tu ker gaya
akhir ko tung aa key kahee us ne itnee baat
woh tum kahan gayen wo zamana kidher gaya

·
2 Like ·
Jul 19, 2017 at 09:07
Category: sad
Poetry / Love
Naye Dinon Ke Naye Safar Main Dhayan Rakhna
naye dinon ke naye safar main dhayan rakhna
khamosh, chup chap
kuch na kehti in saaton ne
sonp dale naye taqazay rafaqaton ke
dhayan rakhna
ke apne hisse ke sab taqazay nibhane hain
sath chalte hoye safar main
her ik dagar pe chahaton ke ghulab likhna
warq warq aitamad jis main
harf harf main ho jaan nisari
naii khushiyan, naye manazir
naii misalein, naye hawale
bus aik aisi hi muhabtoon ki kitaab likhna
naye dinon ke naye safar main

1 Like ·
Jul 11, 2017 at 15:07
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Wo Janti Thi Ke Wafa Ka Ajar Nahi Hota
Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nahi hota
Wo janti thi
Muhabbat dukhon ka sehra hai
Jahan saraab si khushiyan hain
Aur azaab se gham
Jahan hai pyaas judaii ki be'tahasha magar
Milan ki barishein hoti hain jis dayar main kam
Wo janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Wo jis ko dil ka lahoo de ke jagmagaya ho
Andheri raah ke liye wo cheragh mangti hai
Wo janti thi
Muhabbat wo reh'guzar hai jahan
Bichay hain kanch judaii ke be'shumar magar
Burhana pa hi inhein paar karna paRta hai
Ghamon ki dhoop main ab sayebaan koi na ho
Kisi yaad ki chaadar ko taan kar khud par
Tammam aahein daba kar guzarna paRta hai
Wo janti thi ke wafa ka ajar nahi hota
Mohabbat main sabar ka samar nahi hota
Hij'r ki raah main hoti hai be'tahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nahi hota
Wo janti thi phir bhi rog le bethi
Kisi ke pyaar main na jaane kyun jog le bethi

Jul 10, 2017 at 14:07
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Azeem Aatish Fishoon Ke Umar Kitne Hoti Hay
آتش فشانوں کے بارے میں نئی تحقیق سے واضح ہوا ہے کہ عظیم آتش فشاں تیار ہونے میں پرانے اندازوں سے کم وقت لگتا ہے جو چند صدیاں ہے۔
ان بڑے آتش فشاں کو سائنسدانوں نے ’سوپر والکینو‘ کا نام دیا ہے۔ ان کے ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jul 08, 2017 at 23:07
Category: featured
Poetry / Humorous
Kia Chahti Hey Khalq Zamaney Ke Hakimon Se
Zinda dilan shehr ke qissey parha karo
Nafrat ho zindagi se tu qutbay parha karo
Din ke ujaaley shab ke andherey parha karo
Fursat miley tu shaam ke lamhey parha karo
es shehr haadsat me jeeney ke wastey
Apni salamti ke wazifay parha karo
Ishq o wafa ke khel main hota he haal kia
sochon main gharq chaand se chehrey parha karo
Choro zameen o arsh ke qissey kahaniyaan
Dil main hain jo chupay wo afsanay parha karo
Kia chahti hey khalq zamaney ke hakimon se
Deewaron par likhey hoye naaray parha karo..

Jul 08, 2017 at 06:07
Category: humorous
Social Wall / Videos
Punjabi Music Videos
Swaah Bann Ke - 'Punjab 1984'
·
0 Like ·
Jul 08, 2017 at 01:07
Category: videos
Social Wall / Videos
Punjabi Music Videos
Swaah Bann Ke - 'Punjab 1984'
·
0 Like ·
Jul 07, 2017 at 15:07
Category: videos
Articles / Featured
Ijunoon
Iran Or Mashraqi Wusta Khatanaak Computer Virous Ke Zad Me
روس کی ایک انٹرنیٹ سکیورٹی سافٹ ویئر تیار کرنے والی کمپنیKaspersky Lab کے مطابق ان دنوں ایران اور مشرق وسطیٰ میں کمپیوٹرز کو ایک کافی خطرناک اور پیچیدہ وائرس کی وجہ سے شدید خطرات کا سامنا ہے۔
یہ وا...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jul 05, 2017 at 16:07
Category: featured
Poetry / Love
Khud Apne Liye Beth Ke Sochenge Kise Din
Khud apne liye beth ke sochenge kise din
yuun hai ki tujhe bhuul k dekhenge kisi din
bhatke hue phirte hain kai lafz jo dil men
duniyaa ne dia waqt to likhenge kisi din
hil jaayenge ik baar to arshon k dar-o-bam
ye Khaak nasheen log jo bolenge kisi din
apas ki kise baat ka miltaa hii nahi vaqt
har baar ye kehte hain k baithenge kisi din
jaan teri yaad ke be naam parinde
shaakhon pe mere dard kii utrain ge kisi din
jaati hai kisi jheel ki gehrai kahaan tak
aankhon men teri Doob ke dekhenge kisi din
Khushbuu se bhari shaam men jugnuu k qalam se
ik nazm tere vaaste likhen ge kisi din
soyenge teri aankh ki Khilvat men kisi raat
saaye men teri zulf k jagen ge kise din
Khushbuu ki tarah ,asl-e-sabaa Khaak numaa se
galiyon se tere shahar kii guzren ge kise din
Amjad hai yahi ab ke kafan baandh k sar se
us shahar-e-sitamgar men jaayenge kisi din

Jul 05, 2017 at 15:07
Category: love
Sponored Video