Search
Poetry / Love
Jis Tarah Paas Hi Sheh E Rag Ke Khuda Rehta Hai
Meri Raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain
Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain
Meri Aankhon mai Tera Sapna saja rehta hai
Haan Mere Dil me Tera hi Aks basa rehta hai
es tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai
Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge
Mai ne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi
Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi...!

·
1 Like ·
Oct 10, 2017 at 16:10
Category: love
Poetry / Love
Rang O Khushbu Ke Darmeyan Me Hai
Rang o khushbu ke darmeyan me hai
Kon sa shakhs mere dhiyan me hai
Kal bhi tha nasha-e-khudi us ko
Aaj bhi dil usi gumaan me hai
Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo
Koi tanha bharey jahaan me hai
Tujh pe hai dhoop chaaon ka mausam
Tere shayar bhi imtihaan me hai
Khawb hain phool hain woh ankhen hain
Ik tasalsul sa dastaan me hai
Haadsa jo na ho saka hai abhi
Gardish e wakt ki amaan me hai
Mein nibhaon ga sarey ehad zia
Jab talak meri jaan, jaan me hai...!
Kon sa shakhs mere dhiyan me hai
Kal bhi tha nasha-e-khudi us ko
Aaj bhi dil usi gumaan me hai
Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo
Koi tanha bharey jahaan me hai
Tujh pe hai dhoop chaaon ka mausam
Tere shayar bhi imtihaan me hai
Khawb hain phool hain woh ankhen hain
Ik tasalsul sa dastaan me hai
Haadsa jo na ho saka hai abhi
Gardish e wakt ki amaan me hai
Mein nibhaon ga sarey ehad zia
Jab talak meri jaan, jaan me hai...!
·
1 Like ·
Oct 09, 2017 at 14:10
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamanay Laya
Daikho Woh Shaks Judaai Ke Zamanay Laya
Door Jaaney Ke Nit Naye Bahanay Laya
Hum Jiss Ke Lams Say Gulshan Ki Tarha Mehkey
Abb Wohi Humarey Liye Khandar Viranay Laya
Gunaah Ke Darr Say Bara Dhoya Daaman Ka Daag
Abb Maathey Per Naya Daag Woh Sajaaney Laya
Jin Jazbon Ki Qadar Na Kar Saka Tha Woh
Aaj Wohi Jazbey Hum Per Lutanay Laya
Jiss Ke Pyar Mein Jaley Har Pal Shama Ki Tarha
Ranjishein Nayi Woh Shama Bujhanay Laya
Jinn Phoolon Ke Muqadar Mein Khizaan Thi Likhi
Wohi Phool Sirhanay Mairey Sajanay Laya
Pehley Hi Chahaton Ke Qasoor Waar Thay Hum
Phir Woh Harjayi Naye ilzam Lagane Laya...!

Oct 07, 2017 at 13:10
Category: sad
Poetry / Sad
Aey Sarab Hasraton Ke Zara Baat Suntey Jaana

Jo Choor Choor Ho Pehley Usey Aur Kya Satana!
Ye Taqdeer Ki Hein Chaalein Ke Badli Hui Hey Bazi
Jo Mera Charagar Tha Mein Usi Ka Hoon Nishana
Wo Lamha Jab Sey Mein Ney Teri Ulfat Ka Jaam Khoya
Chatkha Huwa Hey Tab Sey Sochon Ka Har Pemana
Abhi Tamheed Hi Suni Thi Ke Bilak Ke Ro Parri Wo
Jo Mein Kehney Ja Raha Tha Wo Tha Asal Fasaana,
Honton Pe Kuch Nahi Hey, Aansu Bhari Hein Aankhein
Lagta Hey Aaj Us Ney Seekha Hey Naya Bahaana
Jo Aag Tu Ney Di Hey Mein Usi Mein Jal Raha Hoon
Mujhey Door Hi Sey Takna Merey Paas Ab Na Aana
Ye Udasiyon Ki Raatein Chalo Andherey Mein Hi Kaatein
Jo Chiraagh Bujh Chukey Hein Ab Kya Unhey Jalaana
Ye Dhanak Mohabbaton Ki Merey Paas Ab Na Laao
Jo Rang Bigar Gay Hein Unhey Phir Sey Kya Sajaana
Ye Berukhi Ke Nashtar To Mein Kab Sey Seh Raha Hoon
Es Baar Tum Milo To Koi Zakhm Naya Lagana...!

Oct 04, 2017 at 09:10

Oct 04, 2017 at 02:10
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Garam Chaye Khuraak Ke Nali Ka Cancer
گرم چائے پینے سے خوراک کی نالی کے کینسر کے امکانات میں اضافہ ہوجاتا ہے جس سے دنیا بھر میں ہرسال پانچ لاکھ افراد جاں بحق ہوجاتے ہیں۔ یونیورسٹی آف تہران میں کی گئی حالیہ تحقیقی رپورٹ کے مطابق یورپی مما...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 01, 2017 at 21:10
Category: health
Poetry / Sad
Rakhe Khuda Ne Do Tariqay Muje Azmane Ke Liye
RAKHE KHUDA NE DO TARIQAY MUJE AZMANE KE LIYE,
WOH CHOAR DE MUJE YA MEI CHOAR DUN USSY ZAMANE KE LIYE,
KAISE MANG LUN RAB SE USSY BHOOL JANEY KI DUA,
HATH UTHTE NAHN HAIN DUA MEI USY BHOOL JANE KE LIYE,
NAHN KI ZINDAGI MEI MEI NE KOI NAIKI
PAR PARHI HAIN CHUP KE KUCH NAZMAIN USAY PANE KE LIYE,
NAHN HAI TO NA SAHI WOH KISMAT MEI MERI,
PAR EK MOKA TO DE WOH USSY YE AANSU DIKHANE KEY LIYE...!

Oct 01, 2017 at 05:10
Category: sad
Poetry / Sad
Dukh Dard Ke Maron Se Mera Ziker Na Kerna

Ghar Jao To Yaroon Se Mera Ziker Na Kerna
WO Zabt na Ker Payen Gay Aankhon Ke Samandar
Tum Raah Guzaron Se Mera Ziker Na Kerna
Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sada Se
Dekho Kabhi Kantoon Se Mera Ziker Na Kerna
Shyad Yeh Andheray Hi Mujhe Raah Dikhayen
Ab Chand Sitaron Se Mera Ziker Na Kerna
Wo Meri Kahani Ko Ghalat Rang Na De Dain
Afsana Nigaron Se Mera Ziker Na Kerna
Shayad Wo Mere Haal Pe Be Saakhta Ro Dain
es Baar Un ke samnay mera zikar na karna...!

2 Like ·
Sep 29, 2017 at 15:09
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Khansi Alergi Ke 30 Se Zayed Adviyaat Ghair Miyari
کھانسی کے شربت، الرجی، اینٹی بائیوٹیک اور پیٹ کی بیماریوں کی تیس ادویات غیر معیاری نکلیں۔ وزارت نیشنل ریگولیشنز نے ناقص ادویات کی لیبارٹری رپورٹ پر اٹھارہ ادویہ ساز کمپنیوں کو طلب کر لیا۔ میڈیا رپورٹ ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Sep 28, 2017 at 17:09
Category: health
Sponored Video