Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaha Dil Nay Dharak Kar, Vasl Ka Lamha Nazar Aaye
Kaha dil nay dharak kar, vasl ka lamha nazar aaye
jawaban aankh mein yaadon bharay aansu ubher aaye
kaha! jazbaat kyun alfaaz mein dhalnay say qaasir hain?
kaha! kuch rang qudrat kay, bayaan say balatar aaye
kaha! gham ki tapish to aankh ko bay noor ker de gi
kaha! qudrat Khuda ki, aankh mein paani utar aaye
kaha! tum beej dil mein pyar kay bo kar kahan gum ho?
zara daikho to palkon par, samar kitnay utar aaye
abhi to ik lehar maachli hai, bolo! darr gaye ho kyun?
barri baatein banatay thay, behar aaye, bhanwar aaye
kaho! kitnay ishaaray aur daikho gay to jaano gay
suno! rakht-e-safar bandho, najanay kab safar aaye
Kaha! main nay payamber der payamber sab sikha daala
jahannum bhi hai jannat bhi, idher aaye, udher aaye

·
1 Like ·
Apr 24, 2017 at 16:04
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Dunia Ke Taveel Ul Umar Khatoon Doctor Intaqal Kar Gae
دنیا کی سب سے طویل العمر ڈاکٹر انتقال کر گئیں۔ عمر ایک سو چودہ سال تھی اور وہ ایک سو تین سال کی عمر میں ریٹائر ہوئیں۔ غیر ملکی خبر رساں ادارے کے مطابق ڈاکٹر لاٹیلا ڈنمارک نے انیس سو اٹھائیس کو ہاریٹا ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Apr 13, 2017 at 23:04
Category: featured
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jab Tera Hukam Mila, Tark E Muhabat Kar Di
Jab tera hukam mila, tark-e-muhabat kar di
Dil magar es pe wo dharka k qayamat kar di
Tujh se kis tarha mein izhar-e-tamana karta
Lafz soojha to maani ne baghawat kar di
Mein to samjha tha k loat atay hain jaane wale
Tu ne to ja k judai meri qismat kar di
Mujh ko dushman k iradon pe bhi pyar ata hai
Teri ulfat ne muhabat meri adat kar di
Pooch beitha hon mein tuj se tere koochay ka pata
Tere haalat ne kaisi teri sorat kar di
Kya tera jism, tere husan ki hiddat mein jala
Raakh kis ne teri sonay ki si rangat kar di

2 Like ·
Mar 24, 2017 at 12:03
Category: sad
Social Wall / Text
Asiya Faheem
Apni Kharabion Ko Pas E Pusht Daal Kar
apni kharabion ko pas e pusht daal kar har shakhs keh raha hai zaman kharab hai
·
2 Like ·
Mar 05, 2017 at 05:03
Category: text
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Main Kisi Aur Ka Hoon Itna Bata Kar Roya
Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya
Woh mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya
Mujhe anjaam-e- mohabbat nahi maloom hargiz
Yeh kaha aur mujhe seenay se laga kar roya
Jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha
Woh zamanay ko mera haal suna kar roya
Aansu ban kar nikl na jaun kahin, is Deer se
Apne ashkoon ko wo aankhoon mein chhupa kar roya
Wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha humain
Usi lamhay mein wo sadiyoon ko sama kar roya

Feb 25, 2017 at 07:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujhe Bujhaa De, Meraa Dard Mukhtasar Kar De
mujhe bujhaa de, meraa dard muKhtasar kar de
magar diye kii tarah mujh ko moatbar kar de
merii talaash ko be naam o be safar kar de
maiN teraa raastaa choroun to der ba der kar de
judaaiiyoN kii ye raateN to kaTnie hoNgii
kahaniyoN ko koi kaise muKhtasar kar de
tairay Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhra huuN
ke jaise bacha kitabain idhar-udhar kar de

Feb 12, 2017 at 13:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ye Soch Kar K Teri Jabeen Par Na Bal Paday
Ye soch kar k teri jabeen par na bal paday !
Bus door hi se dekh liya or chal paday !
Dil mein phir ik kasak si uthi muddaton k baad !
Ek umar k ruke hue aansu nikl paday !
Seene mein be-qaraar hein murda muhabbatein !
Mumkin hai ye charaag kabhi Khud hi jal paday !
Ay dil tujhe badalti hui rut se kya mila ?
Poudoun mein phool or darakhton mein phal paday !
Ab kis k intazaar mein jagain tamaam shab ?
Wo saath ho to neend mein kaise Khlal paday ?
'Shehzad' dil ko zabt ka yaara nahein raha !
Nikla jo Maah taab samundar uchal paray !

Jan 24, 2017 at 07:01
Category: love
Social Wall / Photos
Saeed Sarwar
Namaz Janaza Ka Salaam Hath Khol Kar Pherney Ka Biyan.
·
0 Like ·
Dec 20, 2016 at 13:12
Category: photos
Articles / Featured
Ijunoon
Samandari Bhanwar Pani Ka Gunbad Ban Kar Nazar Anay Laga
برطانوی سائنسدانوں کا کہنا ہے کہ قطب شمالی کے سمندر کے مغربی حصے میں تازہ پانی کا ایک ذخیرہ برف کے نیچے اکھٹا ہوتا جا رہا ہے۔ اس ذخیرے کے باعث اسی جگہ پانی کی سطح میں اضافہ ہو رہا ہے جس سے پانی کا گنب...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Dec 04, 2016 at 02:12
Category: featured
Sponored Video