Search
Jokes / Miscellaneous
Mian Usman
smal Jin
Aik Gharib aadmi ko bottle milty hay who jab iss ko kholta hay toh iss main say aik 9 say 10 saal tak ka jin niklta hay aur kahta hay ""kya Hukam hay maray Aaqa""aadmi jo kay barra gharib hota hay ussay kahta hay maray lyay barri see ghari aur bhra saa ghar aur aik karor rupay lay aao Jin aagay say jawab data hay Aaqa main chota Jin hoon Koi kulcha, roti,coldrink mangwa layn yah kaam main nahin kar sakta.
·
1 Like ·
Oct 24, 2018 at 06:10
Category: miscellaneous
Quotes / Urdu Quotes
Maleeha Bukhari
Jin Ki Mayen Na Hon Un Ke Liye Dua Kaun Karta Hai
Me ne apni maan se poocha!
jin ki mayen mar jati hain unn ke liye dua kaun karta hai
meri maa ne kaha
beta dar agar khushk bhi ho jaye to matti se nami nahee jati
jin ki mayen mar jati hain unn ke liye dua kaun karta hai
meri maa ne kaha
beta dar agar khushk bhi ho jaye to matti se nami nahee jati
·
5 Like ·
Sep 05, 2018 at 04:09
Category: urdu-quotes
Advertisement
Poetry / Poetry Sms
Usaman Khan
Jin K Milny Say Dil Ko Khushiyan Mily.
jin k milny say dil ko khushiyan mily wo log kiyo aksar mila nhe karty.
·
1 Like ·
May 25, 2018 at 08:05
Category: poetry-sms
Poetry / General
Shayan Shahid
Hat Kar Chalte Hain Jin Ko Sar Azeez Hote Hain
hat kar chalte hain jin ko sar azeez hote hain
ham sarphiron ke sath to koi sar phira hi chalay
ham sarphiron ke sath to koi sar phira hi chalay
·
0 Like ·
May 06, 2018 at 02:05
Category: general
Social Wall / Photos
Ijunoon
Jin Aankhone Ko Sajday Me Ronay Ki Aadat Ho
·
4 Like ·
Feb 24, 2018 at 18:02
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jin Raahoon Pay Ik Umer Tere Saath Rahi Hun
Jin raahoon pay ik umer tere saath rahi hun
Kuch rooz se woh rastay sunsaan bht hain
Mil jao kabhi loat k phir aaon na shayed
Kamzor hun ME ,rah me toofaan bht hain
Ik Tarq-E-Wafa p me ussay kaise bhula dun
Mujh per uss shakhs k Ihsaan bht hain
Bhar aayein na Aankhein tu ik baat bataon
Ab Tum se bichar jane k IMKAAN bht hain

2 Like ·
Feb 07, 2017 at 09:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Yaqeen ki akhri manzil pe akar bhi
Koi khadsha, koi shak, koi andesha
Buhat bechaen rakhta hai
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kahin ye visal ke lamhe
Badal jayain na furqat mai
Kahin ye qurb ki ghariyan
Judai main na dhal jayain
Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de
Kahin aisa na ho k
Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawa samjha
Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raiga kar de
Kahin aisa na ho k
Wo meharbaan ankhain badal jayain
Kahin aisa na ho k
Ye garamjoshi sard par jaye
Tapaak-e-jaan se milne ki rawish
Yakh basta ho jaye
Ada-e-Dilbarana berukhi ka roop dhaaray
Aur dil ka dard ban jaye
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi
Agar nazrain churaye tou dil pe choot lagti hai
Ansooun ka mina barasta hai
Kabhi masrofiat mai, mahwiyat mai
Phone ki ghanti ka wo notice na le
Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye
Dharak uthta hai dil
Kya janiye kya ho gaya us ko
Tawajja mai kami kyun agai…?
Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?
Jo apna is qadar apna tha
Akhir kyun paraya hai..?

Oct 25, 2016 at 17:10
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Haseen Lagta Tha Hum Ne Jin Dino Mein Usko Dekha Tha
Haseen Lagta Tha Hum Ne Jin Dino Mein Usko Dekha Tha
Basanti Mosamon , Bheegi Ruton Mein Usko Dekha Tha
Usi K Aks Ne Ankhain Khumaar E Khuvaab Se Bhar Dain
Chamaktey Chand Jesey Aaiino Mein Usko Dekha Tha
Jisey Ab Rait K Kachey Gharondon Se Mohabbat Hai
Sumander K Sunehrey Paniyun Mein Usko Dekha Tha
Jo Tanhayee Ki Chadar Orh Kar Sota Hai Rasston Mein
Kabi Is Shehar Ki Sab Mehfilon Mein Usko Dekha Tha
Bagolon Ko Pehan Kar Ab Jo Sehra Mein Bhatakta Hai
Gulab-O-Yasmeen K Junglon Mein Usko Dekha Tha
Jo Apney Qarya E Dil Ki Udasi Se Behalta Hai
Ghataon Mein Ghiri Ghum Bastiyun Mein Usko Dekha Tha
Zaroorat Hai Jisey Ab Dhoop Ka Ujla Kafan Mohsin
Badan Par Baraf Orhey Parbaton Mein Usko Dekha Tha

Oct 20, 2016 at 15:10
Category: sad
Social Wall / Photos
Sehar Saeed
Jin Lamhon Mein Aap Muskuratay Ho Woh Lamhe Kabi Khtam Na Ho
·
2 Like ·
Oct 19, 2016 at 13:10
Category: photos
Social Wall / Photos
Sehar Saeed
Jin Lamhon Mein Aap Muskuratay Ho Woh Lamhe Kabi Khtam Na Ho
·
2 Like ·
Oct 19, 2016 at 03:10
Category: photos
Sponored Video