Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jab Bhi Chahain Ek Nayi Soorat Bana Lete Hain Log
Jab Bhi Chahain Ek Nayi Soorat Bana Lete Hain Log,
Ek Chehre Peh Kayi Chehre Saja Lete Hain Log,
Mil Bhi Lete Hain Woh Gale Apne Matlab K Liye,
Aa Pade Mushkil To Nazren Bhi Chura Lete Hain Log,
Khud-farebi Ki Unhe Aadat Si Shayad Pad Gayi,
Har Naye Rahzan Ko Seene Se Laga Lete Hain Log,
Hai Baja Unki Shikayat Par Iska Kya Ilaaj,
Bijliyaan Khud Apne Gulshan Peh Gira Lete Hain Log,
Ho Khushi Unko Bhi Haasil Ye Zaroori To Nahi,
Ghum Chupane K Liye Bhi Muskura Lete Hain Log....

·
3 Like ·
Sep 20, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Roye Jab Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Roye jab Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai
Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai
Mere Damaan ko khushiyo ka nahi afsos
Gham ka khazana jo mujhe beshumar mila hai
Woh bad Naseeb hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mil gaya
Gham nahi mujhe ki Dushman hua yeh zamana
Jab mehboob hi Hathoon Mein Liye Talwar Mila Hai

1 Like ·
Sep 06, 2016 at 03:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Jab Bhi Teri Bazm Mein Laati Hai Humein
Zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai humein
ye zameen chaand se behtar nazar aati hai humein
surkh phooloun se mehak uthti hain dil ki raahein
din dhale yoon teri aawaaz bulati hai humein
yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
raat ke pichhle pehar roz jagaati hai humein
har mulaaqat ka anjaam judaai kyun hai
ab to har waqt yahi baat sataati hai hamein.

Aug 30, 2016 at 02:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tery Baare Mein Jab Socha Nahi Tha
Tery Baare Mein Jab Socha Nahi Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahi Tha
Teri Tasveer Se Kerta Tha Baatain
Mery Kamray Mein Aayena Nahii Tha
Samandar Ne Mujha Piyasa Hi Rakha
Mein Jab Sehra Mein Tha Piyasa Nahi Tha
Manane Ruthne Ke Khel Mein Hum
Bich'har Jayenge Ye Socha Nahi Tha
Suna Band Ker Li Us Ne Aankhain
Kayi Raatoon Se Vo Soya Nahii Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahi Tha
Teri Tasveer Se Kerta Tha Baatain
Mery Kamray Mein Aayena Nahii Tha
Samandar Ne Mujha Piyasa Hi Rakha
Mein Jab Sehra Mein Tha Piyasa Nahi Tha
Manane Ruthne Ke Khel Mein Hum
Bich'har Jayenge Ye Socha Nahi Tha
Suna Band Ker Li Us Ne Aankhain
Kayi Raatoon Se Vo Soya Nahii Tha
·
1 Like ·
Aug 25, 2016 at 14:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jab Se Maykhaane Men Jaane Laga Hoon
Jab se Maykhaane men jaane laga hoon
Dard-e-dil ko bhulaane laga hoon
Piya hai jaam saaqi ke hathon jabse
Geet maiN us ke gaane laga hoon
Diye hain zakham zamaane ne mujhko
Marham maiN may ki lagaane laga hoon
Pakda hai daaman maye ne mera jabse
Sukun mai yahan par paane laga hoon
Kho gaya hoon mai yahan ki fizaon me
Kadam rangeeniyon me badhaane laga hoon
Nahin jaanta tha maye ki khoobiyon ko ' ishk '
Iss khayal se rozana maykhaane jaane laga hoon

Aug 12, 2016 at 18:08
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Tumhari Yaad Kay Jab Zakham Bharnay Lagtay Hain

Kese Bahanay Tumhay Yaad Karnay Lagtay Hain
Hadees -e- Yaar Kay Unwaan Nikharne Lagtay Hain
Tu Har Hareem Main Gaysoo Sanwarnay Lagtay Hain
Har Ajnabi Hamay Mehram Dikhai Dayta Hay
Jo Ab Bhi Teri Gali Say Guzarnay Lagtay Hain
Saba Say Kartay Hain Gareeb -e- Naseeb Zikar -e- Watan
Tu Chashm -e- Subho Main Aansoo Ubharnay Lagtay Hain
Wo Jab Bhi Baat Kartay Hain Is Nataq o Lab Ki Bakhair Geeri
Fiza Main Or Bhi Nagmay Bikharnay Lagtay Hain
Dar Qafas Peh Andhere Ki Muhar Lagte Hay
Tu Faiz Dil Main Sitaray Utarnay Lagtay Hain

Aug 07, 2016 at 15:08
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabbaten Jab Shumaar Kerna
Mohabbaten jab shumaar kerna to saazishain bhi shumaar kerna
Jo merey hissey me aayi hain woh aaziyaten bhi shumaar kerna
Jalaye rakhongi subah tak main Tumhare raston me apni ankhen
Magar kahin jo zabt toot jaaye to baarishen bhi shumaar kerna
Jo harf loh-e-wafaa pey likhey hoye hain un ko bhi daikh lena
Aur jo raaegaan ho gayin woh saari ibaaraten bhi shumaar kerna
Yeh sardiyon ka udaas mausam k dharkanen burf ho gayi hain
Jab inn ki yakhtagi parakhna to tamazaten bhi shumaar kerna
Tum apni majboriyon ke Qissey zaroor likhna wazahaton se
Jo meri ankhon me jal bujhi hen wo khwahishen bhi shumaar kerna !

Aug 04, 2016 at 17:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Woh Jab Bemaar Parta Hai
Woh Jab Bemaar Parta Hai
Kisi Hamdard Kisi Ham nawa Ko Yaad Karta Hai
Woh Phir Yeh Socha Karta Hai
Koi Ho Jo Mujhe Parhaiz Ki Takeed Karta Ho
Koi Ho Jo Meri Takleef Mein Khud Bhi Tarapta Ho
Dawa Na Loon Kabhi Jo Mein Tu Phir Daanta Bhi Karta Ho
Koi Tu Ho... Koi Tu Ho Jo Mujh Se Pyar Karta Ho
Inhi Sochoo Se Ghabra Kar Woh Phir Khud Hi Se Larta Hai
Mein Is Be Reham Duniya Mein Akele Ji Bhi Sakta Hoon
Muqaddar Mein Hain Jo Likhay Woh Aansoo Pee Bhi Sakta Hoon
Magar Woh Haar Jaata Hai

Aug 02, 2016 at 14:08
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jab Khayalon Me Rukh E Yaar Hua Krta He
Jab Khayalon Me Rukh-e-Yaar Hua Krta He,
Har Taraf MosaM-e-Bahar Hua Krta He,
HuM Teri Yaad Ko Phoolon Se Saja Dete Hain,
Raasta Jitna Bhi Dushwar Hua Krta He,
Yeh Muhabbat Hy Jo Pagal Sa Bana Deti He,
Warna Har Shakhs SaMajhdar Hua Krta He,
Jin Ki Ankhon Me Saji Ho Kisi Mehbob Ki Soorat,
Os Ko Dunia Se Bohat Pyar Hua Krta He,
Jaan-e-Jaan Youn Hi Sulagtay Nhi HuM Raaton Me,
Looh-e-Dil Par Tera Rukhsar Hua Krta He….!,

Jul 12, 2016 at 13:07
Category: love
Sponored Video