Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaha Yeh Dard Ney Ik Baar Phir Ubhartay Hoye
kaha yeh dard ney ik baar phir ubhartay hoye
ke thora waqt to lagta hai zakhm bhartey hoye
phir is kinaarey pe lotounga kab KHUDA janey
mein sochta raha darya ko paar kartey hoye
hameiN yeh teri udaasi bhali nahiN lagti
sukoot e shab sey kaha jugnuoN ney dartey hoye
meiN bujh sa jata hooN manzar yeh jab bhi dekhta hooN
kisi nasheb mein ik saaye ko utartay hoye
meri ragoN meiN bhi utrey haiN kuchh khizaN mausam
mujhey bahaar ney dekha nahiN bikhertay hoye
meiN be niyaz hi guzra tha 'shaad' raahoN sey
uboor ho gayin kuch manzileiN guzartey hoye

·
1 Like ·
Feb 05, 2017 at 17:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ik Aarzu Hay Poori Parwardigaar Kare
Ik Aarzu Hay Poori Parwardigaar Kare
Main Dair Se Jaon Woh Mera Intizaar Kare
Apne Hathon Se Sanware Zulfain Meri
Aur Is Tarah Se Muhabbat Ka Iqraar Kare
Lipat Jaye Woh Mujh Se Aalm E Madhoshi Main
Aur Josh-O-Junoon Main Muhabbat Ka Izhaar Kare
Ho Shab Wisaal Ki Aisi Woh Ya Rab
K Choom K Matha Woh Mujhe Baidaar Kare
Usey Chhor K Chahon Ju Main Jana Kabhi
Woh Rooke Mujhe Aur Ik Aur Raat Ka Israar Kare
Kasam Khuda Ki Main Kisi Aur Ka Ho Nahi Sakta
Yeh Wada E Wafa Woh Baar Baar Kare

2 Like ·
Oct 06, 2016 at 05:10
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aansu Bhar Aaye Aankh Main Har Ik Hansi Ke Baad
Aansu Bhar Aaye Aankh Main Har Ik Hansi Ke Baad
Gham Ban Gaya Naseeb Mera Har Khushi Ke Baad
Nikla Tha Kaarwaan Mohabat Ki Rah Main
Har Morh Peh Nafrat Khari Thi Har Gali Ke Baad
Socha Tha Piyar Ka Main Sajaoun Ga Gulsitaan
Har Phool Jal Gaya Mera, Bankar Kali Ke Baad
Chahat Ki Bebasi Ka Ye Qissa Hay Muktasar
Dil Ne Sakoon Na Paya Kabhi Dil Lagi Ke Baad
Ab Raakh He Samait Ta Hoon Aashiyane Ki
Khud Hi Jala Diya Tha Jisey Aajazi Ke Baad
Suntey Hain Baad Marne Ke Milta Hai Sab Sila
Dekhain Ge Kia Milega Humain Zindagi Ke Baad

Sep 08, 2016 at 20:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ik Kamaal Ki Khuwahish
Ik Kamaal Ki KhuwahisH
Kis Tarrha Sajaate Ho
Maslehat Ki Sha Mon Mein
Mahfilen Muhabbat Ki
Aur Muhabbaten Bhi Woh
Saal Bhar Mehak Jin Ki
Dil Ki Saari Galiyo Mein
Raqs Karti Phurti He
Kis Tarrha Jalatay Ho
Aandhiyon Kay Mousam Mein
Tum Dﯼ Rafaqat Kay
Tum Jo Pyar Ki Doulat
Apnae Dil Kay Hathon Say
Iss Tarrha Lutaatay Ho
Jis Tarrha Koy Jugno
Shab Kay Regzaron Par
Roshni Lutatta He
Tum Jo Habs Mousam Mein
Ik Huwa Ka Jhonka Ho
Kis Tarrha Sajaate Ho
Maslehat Ki Shaamon Mein
Mahfilen Muhabbat Ki
Kuch Hmein Bhi Btlao
Kuch Humey Bhi
Hmm Tou Apnae Sehra Kay
Bay Nawa Musafir Hin
Hmm Tumharay Jazboo Ki
Naik Si Fizaon Mein
Phool Jaisay Geeton Ki
Raqs Karti Kho Shabo Kay
Bay Qarar Shah’r Hin
Kis Tarrha Sajaate Ho
Maslehat Ki Sha Mon Mein
Mahfilen Muhabbat Ki
Aur Muhabbaten Bhi Woh
Saal Bhar Mehak Jin Ki
Dil Ki Saari Galiyo Mein
Raqs Karti Phurti He
Kis Tarrha Jalatay Ho
Aandhiyon Kay Mousam Mein
Tum Dﯼ Rafaqat Kay
Tum Jo Pyar Ki Doulat
Apnae Dil Kay Hathon Say
Iss Tarrha Lutaatay Ho
Jis Tarrha Koy Jugno
Shab Kay Regzaron Par
Roshni Lutatta He
Tum Jo Habs Mousam Mein
Ik Huwa Ka Jhonka Ho
Kis Tarrha Sajaate Ho
Maslehat Ki Shaamon Mein
Mahfilen Muhabbat Ki
Kuch Hmein Bhi Btlao
Kuch Humey Bhi
Hmm Tou Apnae Sehra Kay
Bay Nawa Musafir Hin
Hmm Tumharay Jazboo Ki
Naik Si Fizaon Mein
Phool Jaisay Geeton Ki
Raqs Karti Kho Shabo Kay
Bay Qarar Shah’r Hin
·
1 Like ·
Sep 06, 2016 at 23:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ik Arzoo Hai Puri Parwardigar Karay
Ik Arzoo Hai Puri Parwardigar Karay
Mein Der Say Jaon Wo Mera Intizar Karay
Apnay Hathon Say Sanwaray Zulfein Meri
Wo Itra Kar Mohabat Ka Iqrar Karay
Lipat Jaye Mujh Say Aalm-E-Madhoshi Mein
Aur Josh-O-Junoon Mein Mohabbat Ka Izhar Karay
Ho Shab Wisal Ki Aisi Ya Rab
K Choom K Matha Mujhay Bedar Karay
Jab Usay Chor K Main Jana Chahoun
Wo Rokay Aik Aur Lamhy Ka Israr Karay
Qasam Khud Ki Mein Kisi Aur Ki Ho Nahi Sakti
Yeh Wada-E-Wafa Wo Bar Bar Karay...

Sep 04, 2016 at 11:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ik Dost Main Nay Banaya Tha
Ik Dost Main Nay Banaya Tha
Dil Main Usay Basaya Tha
Usay Acha Sathi Samjha Tha
Usay Hamdard Apna Jana Tha
Per Mujh Ko Ye Maloom Na Tha
Dil Ghair Say Us Nay Lagaya Tha
Mujhay Hamdardi Ka Dawa Tha
Wo Her Dam Mujh Say Nalan Tha
Jab Us Ki Nazar Say Milti Thi
Meri Nazar Jhuk Jati Thi
Kuch Keh Bhi Na Sakta Tha Us Ko
Zaban Si Yun Ruk Jati Thi
Janay Kia Phir Baat Hue
Wo Mujh Say Uon Naraz Hua
Sab Gussa Us Ka Bikhar Gia
Phir Bujha Bujha Sa Rehnay Laga
Usay Sathi Us Ka Chor Gya
Dil Kuch Aisay Us Ka Tor Gya
Na Mera Hua Na Us Ka Hua
Bus Yadon Ka Samaan Chor Gya...
Dil Main Usay Basaya Tha
Usay Acha Sathi Samjha Tha
Usay Hamdard Apna Jana Tha
Per Mujh Ko Ye Maloom Na Tha
Dil Ghair Say Us Nay Lagaya Tha
Mujhay Hamdardi Ka Dawa Tha
Wo Her Dam Mujh Say Nalan Tha
Jab Us Ki Nazar Say Milti Thi
Meri Nazar Jhuk Jati Thi
Kuch Keh Bhi Na Sakta Tha Us Ko
Zaban Si Yun Ruk Jati Thi
Janay Kia Phir Baat Hue
Wo Mujh Say Uon Naraz Hua
Sab Gussa Us Ka Bikhar Gia
Phir Bujha Bujha Sa Rehnay Laga
Usay Sathi Us Ka Chor Gya
Dil Kuch Aisay Us Ka Tor Gya
Na Mera Hua Na Us Ka Hua
Bus Yadon Ka Samaan Chor Gya...
·
1 Like ·
Sep 03, 2016 at 03:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bheer Main Ik Ajnabi Ka Saaamna Acha Laga
Bheer Main Ik Ajnabi Ka Saaamna Acha Laga
Sab Se Chup Kar Wo Kissi Ka Dekhna Acha Laaga
Surmai Aankhon K Neechai Phul Se Khilne Lage
Sab Se Chup Kar Wo Kisi Ka Dekhna Acha Laaga
Baat Tau Kuch B Nahi Thi Lekin Us Ka Aik Daam
Haath Ko Honton Par Rakh Kar Rokna Acha Laaga
Chae Main Chini Milana Us Garhi Bhaya Bohat
Zer-E-Lab Wo Muskarata Shukriya Acha Laaga
Us Adue Jaan Ko "Amjad" Main Bura Kese Kahun
Jab Bhi Aaya Samne Wo Bewafa Acha Laga...

Aug 27, 2016 at 09:08
Category: sad
Poetry / Sad
Yaad Hy Ik Din,
Mere Maiz Pe Bete Bete
Cigrete Ki Dibya Pr Tum Ne,
Chote Se Ik Pode Ka
Aik Scatch Banaya Tha,
Aa Kr Deko
Us Pode Pr Pool Aaya Hy!
Muzammil Shahzad
Yaad Hy Ik Din
Yaad Hy Ik Din,
Mere Maiz Pe Bete Bete
Cigrete Ki Dibya Pr Tum Ne,
Chote Se Ik Pode Ka
Aik Scatch Banaya Tha,
Aa Kr Deko
Us Pode Pr Pool Aaya Hy!
·
1 Like ·
Aug 21, 2016 at 21:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ik Karb Hai Aankhon Mein
Ik Karb Hai Aankhon Mein Ik Dard Hai Jeenay Mein
Kya Ramz Hai Marnay Mein Kya Raaz Hai Jeenay Mein
Ik Jazba, Mastana, Ik Jur’at E Rindana
Is Ishq O Muhabbat Mein Is Zehr Kay Peenay Mein
Toofan Hai Jazbon Ka Sailaab Hai Ashkon Ka
Ik Dard Ajab Sa Hai Sawan Kay Maheenay Mein
Kuch Tootay Hoye Sapney Kuch Roothay Hoye Apnay
Bus Is Kay Siwa Kya Hai Yaadon Kay Dafeenay Mein
Khamosh Bhi Rehna Hai Dukh Dard Bhi Sehna Hai
Aadab Hain Sab Shamil Ulfat Kay Qareenay Mein
Kya Lain Gey Tumhien Paa Kar Sahil Ki Traf Jaa Kar
Toofan Uthaya Hai Hum Nay To Safine Mein
Aey Saad Utha Us Ko Pehray Say Takhiyul Kay
Ik Saanp Hai Lafzon Ka Maaeni Kay Hazeene Mein

Aug 01, 2016 at 02:08
Category: sad
Sponored Video