Search
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Main Khuwab Buhat Daikhta Hun
mein khawab bohat daikhta hon
ayesay khawab !
jin mein koi Dukh‘ koi pareshani nahi hoti
jin mein wasal kay raste hijar ki waadi say ho qr nahi guzaartay
jin mein muhabbat hamesha adh khulay phool ki tarrha khobsorat
aur bachay ki muskaan ki tarrha pakeeza hoti hai
ayesay khawab !
jahan aik muskurahat ki qeemat hazaar ansun nahi hotay
meri palkon ki shakhon par kayi ayesay khawab baithy rehtay hain
unn ki mujahe jeeney peh uksaati hai
naye raaston ki aur lay qr chalti hai
nai manzlon ka pataa batati hai
mujahe apnae khawabon say muhabbat hai
unn khawabon mein rehnay walay aik aik shakhs say muhabbat hai
unn khawabon mein Dikhne wali aik aik shye say muhabbat hai
keh yeh sab mera hai‘ sirf mera
merae khawab merae ilawa koi nahi daikh sakta
jab tak keh mein nah unhain dikhana chahoon
koi unhain meri aankhon say chura nahi sakta
jab tak keh mein khud nah kisi ki aankhon mein saja duun
merae Khuwabo!
aaj mein yeh iqraar karta hon !
keh mein tum mein zindah hon
yeh sach hai keh mujahe inn aansuon say dar nahi lagta
magar phir bhi mein shayad iss liye ronay say drta hon
keh inn aankhon mein tum rehtay ho
tumhara hona mera hona hai
aur mein tumhein khonay say drta hon ,

·
1 Like ·
Jul 20, 2016 at 19:07
Category: general
Advertisement
Social Wall / Photos
Farhan Bilal
Taqseem Ho Gai Hun Khairaat Ki Tarha
·
1 Like ·
Jun 16, 2016 at 15:06
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun
Udas Tehreer Parh K Meri, Mere Sanam Muskura Na Dena,
Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun, Khayal Karna Jala Na Dena,
Guzar Rahi Hai Tumhari Kaise, Bichar K Humse Rula K Humko,
Haqeeton Ko Zaroor Likhna, Aana Ki Khatir Chupa Na Dena,
Koi Puchay Kidhar Gaya Wo, Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara,
Jo Furqaton Ka Sabab Bany Thy, Kisi Bahsar Ko Bata Na Dena,
Main Mar B Jaon To Muskurana, Ehsas-e-Gham Ki na Chott Khana,
Jo Qurb-e-Gham Se Nighayen Bheegen To Rukh Se Anchal Hata Na Dena,
Lahu Se Tehreer Kar Raha Hoon, Main Apni Saari Kahani MOHSIN,
Jo Phar bhi Do To Paas Rakhna, Hawa Mein Tukray Urha Na Dena,

May 17, 2016 at 21:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Khush Hun K Tere Ghum Ka Sahara Mila Mujhe
خوش ہوں کہ تیرے غم کا سہارا مجھے ملا
ٹوٹا جو آسمان، ستارہ مجھے ملا
کچھ لوگ ساری عمر ہی محروم ِ غم رہے
اک خواب ِ عشق تھا جو دوبارہ مجھے ملا
پھر شام ِ زندگی کے اُسی موڑ پر ہوں میں
جس شام، التفات تمہارا مجھے ملا
گردش میں لا کے پاؤں کے نیچے زمین کو
اک دور کے سفر کا اشارہ مجھے ملا
اِس ہجرمیں شریک تھا تُو بھی مرا تو پھر
کیسے ہوا کہ سارے کا سارا مجھے ملا
شایاں نہیں ہیں دل کے یہ غم ہائے روزگار
کیوں جو نہیں ہے مجھ کو گوارا، مجھے ملا
ہر اٹھتی موج کرنے لگی تھی زمیں سے دور
یوں، آسماں کا ایک کنارہ مجھے ملا
ترجیح تیری اور سہی اب مگر وہ خواب
سرمایہء حیات ہمارا، مجھے ملا
جلنے لگی تھیں مشعلیں خیموں کے آس پاس
پھر کیسے کوچ کا وہ اشارہ مجھے ملا
پھر رات کے دیار تلک ساتھ ہم چلے
رستے میں جب وہ شام کا تارا مجھے ملا,
ٹوٹا جو آسمان، ستارہ مجھے ملا
کچھ لوگ ساری عمر ہی محروم ِ غم رہے
اک خواب ِ عشق تھا جو دوبارہ مجھے ملا
پھر شام ِ زندگی کے اُسی موڑ پر ہوں میں
جس شام، التفات تمہارا مجھے ملا
گردش میں لا کے پاؤں کے نیچے زمین کو
اک دور کے سفر کا اشارہ مجھے ملا
اِس ہجرمیں شریک تھا تُو بھی مرا تو پھر
کیسے ہوا کہ سارے کا سارا مجھے ملا
شایاں نہیں ہیں دل کے یہ غم ہائے روزگار
کیوں جو نہیں ہے مجھ کو گوارا، مجھے ملا
ہر اٹھتی موج کرنے لگی تھی زمیں سے دور
یوں، آسماں کا ایک کنارہ مجھے ملا
ترجیح تیری اور سہی اب مگر وہ خواب
سرمایہء حیات ہمارا، مجھے ملا
جلنے لگی تھیں مشعلیں خیموں کے آس پاس
پھر کیسے کوچ کا وہ اشارہ مجھے ملا
پھر رات کے دیار تلک ساتھ ہم چلے
رستے میں جب وہ شام کا تارا مجھے ملا,
·
1 Like ·
Apr 28, 2016 at 09:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Us K Honton Se Adaa Hone Laga Hun Ab Main
Us k honton se ada hone laga hon ab main
Thaher aye zeest DUAA hone laga hon ab main
Khud se lipta le mujhe , Choom le matha mera
Aye zameen tujh se juda hone laga hon ab main
Shayed ab hijer e musalsal meri kismat thehray
Ik mohabbat mein khara hone laga hon ab main

Apr 18, 2016 at 21:04
Category: sad
Social Wall / Photos
Sarmad Ali
Jane Kyun Shikast K Azaab Liye Phirta Hun
·
0 Like ·
Apr 09, 2016 at 08:04
Category: photos
Poetry / General
Ijunoon
Main Kab Kahtaa Hun Vo Acchaa Bahut Hai
maiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai
Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai
maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai
meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai
vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai
Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai
maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai
meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai
vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai
·
1 Like ·
Mar 31, 2016 at 14:03
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tumhan Kehta Hun Ye Dunia Hay.
Tumhan Kehta Hun Ye Dunia Hay.
Yhan Her Mor Pay Aisay Bohat Sy Log Miltay Hein.
JO Andar Tak Utrtay Hen.
Abad Tak Sath Rehny Ki
Akthay Dard Sehnay Ki
Hmasha Bat Kerty Hen.
Tmhan Kehta Hun Ye Dunia Hy
Yhan Her Shakhas Matlab Ki
Hadon Tak Sath Chlta Hy
Jonhi Musam Bdalta Hy
Mohabbat K Sabhi Daaway
Sabhi Qasmin Sabhi Waaday
Achanak Toot Jaty Hein
Tmhan Kehta Hun Jan-E-Jan
Ye Dunia Hy.
Yhan Her Mor Pa Apni
Sada Aankhin Khuli Rakhna
Koi Kitna Bhi Accha Ho
Koi Kitna Bhi Saccha Ho
Mager Aatbar mat Kerna
Tmhan Kehta Hun Suno.!
Ye Dunia Hay
Yhan Pa Piyar Mat Kerna.
Yhan Pa Piyar Mat Kerna.!!!

Feb 17, 2016 at 18:02
Category: sad
Sponored Video