Search
Poetry / General
Maa Mai Ik Chota Sa Bcha Hon
Hm jugnu thy, hm titli thy, hm rang barangi panchi thy,
Kuch mah-o-saal ki janat me Maa hm dono bhi sanjhi thy
Mai chota sa ik bcha tha, teri ungli thaam k chalta tha,
Tu dour nzr se hoti thi mai ansu ansu rota tha,
ik khwabon ka roshan basta tu roz mujhe pehnati thi,
Jb drta tha mai raton ko tu apne sath sulati thi,
Maa tumny kitne barson tk es phol ko saincha hathon se,
Zindagi k gehre bhaidon ko mai smjha teri baton se,
Mai teray hath k takiye pr ab b rat ko sota hon,
Maa mai ik chota sa bcha hon teri yad mei ab b rota hon...!

·
2 Like ·
Nov 10, 2017 at 20:11
Category: general
Poetry / Sad
Pathar Say Wafa Mout Se Sada Mang Rahi Hon
Pathar Say Wafa Mout Se Sada mang Rahi Hon
kyu Aj Mai Sehra Se Ghata Mang Rahi Hon
Muddat Se Koi DIL Ko Dukhane Nahi Aya
Ajao Koi Zakham Naya Mang Rahi Hon
Jo Jurm Muhabbat Mein Tujhe Mera Bana De
Aisi Hi Koi Pyari Saza Mang Rahi Hon
Maalom Hy
Tum Ghair K Ho Jao Gay Shakir
Phr Bhi Tumain Panay Ki Dua Mang Rahi Hon...!

Sep 16, 2017 at 21:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / 0
Ijunoon
Dyaar E Noor Me Tera Shabon Ka Saathi Hon
Dyaar-e-Noor Me Tera Shabon ka Saathi Hon,
Koi to Ho jo Meri Wehshatoon ka Saathi Ho,
Main Us se Jhoot Bolu, To Mujh se Sach Bole,
Mere Mizaaj Ke Sab Mousamoon ka Saathi Ho,
Main Us ke Haath Na Aaoo'n, Wo Mera Ho ke Rahe,
Main Gir Parron to Meri Pastiyon ka Saathi Ho,
Kare Kalam Jo Mujh se to Mere Lehje me,
Main Chup Rahu to Mere Tewaroon ka Saathi Ho,
Wo Khwaab Dekhe to Mere Hawale se,
Mere Khyaal ke Sab Manzaro ka Saathi Ho....

1 Like ·
Jul 20, 2017 at 05:07
Category: 0
Poetry / Sad
Tery Qareeb Aa Kay Bari Uljhanon Mai Hon
tery qareeb aa kay bari uljhanon mai hon
mai dushmanon mai hon kay tery doston mai hon
mujh say guraiz pa hai tu har rasta badal
mai sang-e-rah hon tu sabhi raston mai hon
badla na mery bad bhi mozu-e-guftgu
mai ja chuka hon phr bhi teri mehfilon mai hon
mujh say bichar kay to bhi roy ga umar bhar
yeh soch lay k mai bhi teri khowaishon mai hon

Jun 11, 2017 at 13:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dard Ki Har Ik Hadd Se Ab Guzar Gaya Hon Main
Dard ki har ik hadd se ab guzar gaya hon main
Phir kabhi na simtoun ga youn bikhar gaya hon main
Mout bas naheen aati rooh k nikalne se
Sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hon main
Zindagi main jitni bhi roshni thi uss se thi
Mustaqil andheron main ab utar gaya hon main
Baam o dar bhi us k baad ho gaye hain youn khamosh
Aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hon main
Us ka sath jab tak tha rung rung mausam the
Bas khizaan k mausam main ab thehar gaya hon main

Apr 24, 2017 at 09:04
Category: sad
Social Wall / Photos
Haseeb Naqbi
hon sakta he ke aap ki wajah se kisi mareez ko tandrosti miljai.
·
0 Like ·
Nov 30, 2016 at 06:11
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Main Hon Majnoon Mera Andaz Zamanay Wala
Main hon majnoon mera andaz zamanay wala
teri nagri main to pathar nahi khanay wala
tu nay daikha hi nahi sath mery chal ky kabhi
main hon tanhai ka bhi sath nibhanay wala
mujh ko tum dasht e taheer main na choro tanha
khof taari hai ajab dil ko darane wala
khof ata hai mujhy apni hi tanhai sy
roth jata hai koi mujh ko mananay wala
dil wo sheesha k tera aks liye phirta hai
roz aata hai koi is ko mitanay wala
is ki har bat sir ankhon pr liye phirta hon
mujh ko accha bhi to lagta hai rulanay wala
is qadar ajnabi andaz sy kiun daikhta hai
main wohi hon tera kirdaar fasanay wala
har qadam soch samjh kr hi uthana ay dil!
tera rehbar to nahin rah batanay wala
chahay jitni bhi safarish karo is ki imran
main teri baton main hargiz nahin anay wala

Nov 13, 2016 at 08:11
Category: sad
Poetry / Love
Meri Jaan Sochti Hon Main
Meri jaan sochti hon main
Agar tum mil na paye tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaoun gi
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaon gi
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoun gi
meri jaan sochti hon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoon gi
Jo aadhi umer jeni hay
Wo main kaise bitaaon gi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Teri yaadain jo aaen gi
Mujhe pal pal rulay gi
Merey Anchal ko kheinchain gi
Mujhe kuch gud-gudain gi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Jo baatain tum sey karti hon
bhala kis ko bataaon gi
Naya jab sher likhoon gi
Tu main kis ko sunaon gi
meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Meri jaan Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoon gi
Agar tum mil na paye tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaoun gi
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaon gi
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoun gi
meri jaan sochti hon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoon gi
Jo aadhi umer jeni hay
Wo main kaise bitaaon gi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Teri yaadain jo aaen gi
Mujhe pal pal rulay gi
Merey Anchal ko kheinchain gi
Mujhe kuch gud-gudain gi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Jo baatain tum sey karti hon
bhala kis ko bataaon gi
Naya jab sher likhoon gi
Tu main kis ko sunaon gi
meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Meri jaan Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoon gi
·
1 Like ·
Nov 08, 2016 at 15:11
Category: love
Poetry / Sad
Zindagi Ki Haqiqat Main Kia Jano Main Tu Awara Hon
zindagi ki haqiqat main kia jano main tu awara hon
naam ko chore kaam ki baat kar par main tu nakara hon
zindagi ko chore kr moot ko jeney nikla main
zindagi ko jo ada na kar saka wo ik kafara hon
raat ki tarikeon main chamkta raha dosrey sitaron k saath
waqtey sehar main jo reh gia tanha wo ik sitara hon
choota saath har kissi ka par na choota saath samandar aur kinarey ka
chore dyea saath jis ka samandar ney wo ik kinara hon
dunyea hey ik aisee aag jo jalti hey tu bharkti jati hey
aur main, jaltey hee bujh gia aisa ik sharara hon
tera saath nibhaney ka wada keunkar karon
main tu apna na ho saka tu keun kahon k tumhara hon

Nov 04, 2016 at 10:11
Category: sad
Sponored Video