Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Hamari Ankhain
Hamari Ankhain
Aoo Daikho
Hamari Ankhain Sulag Rahi Hain
Hamari Ankhain Tumhari Raahoon Ki Muntazir Hain
Hazar Jugnoo Uttar Rahay Hain
Hum Apny Ander Bikher Rahay hain
Daleel Kasi?
Jawaz Kaisa?
Tumhari Yadon Ki Khushboon Se Mehak Rahay Hain
Khayal Apnay Sisak Rahay Hain
Laboon Pe Kesi Ye Muskurahat Si Chaa Rahi Hai?
Tumhari Yadoon Ke Silsiloon Se Guzar Rahay Hain
Qareeb Aoo
Humain Bhi Jano
Humain Bhi Mano
Hum Tumhari Furqat Ke Anso Ko Chupa Rahay Hain
Tumhain Hum Itna Bata Rahay Hain
Humari Chahat Ka Koi Aisa Jawab Do Na
Hum Ko Apni Muhabaton Ke Gulab Do Na
Aoo Dekho
Humari Ankhain Sulag Rahi Hain

·
1 Like ·
Jan 05, 2017 at 09:01
Category: love
Articles / Featured
Ijunoon
Hamari Kekeshan Me Har Sitaray Ka Apna Siyara
ایک نئی تحقیق کے مطابق آسمان پر دمکنے والے ہر ستارے کا کم از کم ایک سیارہ ضرور موجود ہے۔
اگر یہ بات ثابت ہو جاتی ہے تو اس کا مطلب ہوگا کہ ہماری کہکشاں میں زمین جیسا حجم رکھنے والے دس ارب کے قریب سی...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Nov 12, 2016 at 03:11
Category: featured
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Har Aik Baat Na Kiyon Zeher Si Hamari Lagey
har aik baat na kiyon zeher si hamari lagey
keh hum ko dastay zamana kay zakhm kaari lagey
udaasiyaan hon musalsal، tou dil nahi rota
kabhi kabhi ho tou yeh kefiyat bhi pyari lagey
bazahir aik he shab hai, firaq-e-yaar magar
koi guzarne baithy tou umr saari lagey
ilaj, iss dlِ dard aashna ka kya kijiye?
keh teer ban kay jise harf-e-ghum-gasari lagey
hamare paas bhi betho، bas itna chahtay hain
hamaray saath tabiyat agar tumhari lagey
faraz tairay Junoon ka khayaal hai warna
yeh kya zaroori woh surat sabhi ko pyari lagey

Oct 10, 2016 at 23:10
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Vo Sar Khole Hamari Lash Par Divanavaar Aaye
Chaman Roye Hanse Shabanam Biyabaan Par Nikhar Aaye
Ek Aisaa Bhi Naya Mausam Mere Parvar-Digaar Aaye
Vo Sar Khole Hamari Lash Par Divanavaar Aaye
Isi Ko Maut Kehte Hain To Ya Rab Baar Baar Aaye
Sar-E-Gor-E-Gharibaan Aao Lekin Ye Guzarish Hai
Vahan Munh Phair Kar Rona Jahan Mera Mazar Aaye
Baha Aye Chashm-E-Tar Aisa Bhi Ek Aansoo Nadamat Ka
Jise Daaman Pe Lene Rehmat-E-Paravar-Digaar Aaye
Qafas Ke Ho Liye Ham To Magar Ai Ahal-E-Gulshan Tum
Hamain Bhi Yaad Kar Lena Chaman Main Jab Bahar Aaye
Na Jany Kya Samjh Kar Chup Hon Aye Sayyad Main Varnaa
Vo Qaidi Hon Agar Chahon Qafas Main Bhi Bahar Aaye
"Qamar" Dil Kya Hai Main To Un Ki Khatir Jaan Bhi De Don
Meri Qismat Agar Un Ko Na Phir Bhi Aitabaar Aaye
,

May 22, 2016 at 14:05
Category: sad
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Hamari Adhuri Kahani Release Date
·
0 Like ·
May 04, 2015 at 16:05
Category: when
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Hamari Aankh Mein Pani
Hamari ankh men pani bohat hai
K iss darya men tughyani bohat hai
Ujar kr b ni bhoola ye tujko,
Humen iss dil peh herani bohat hai
Najane konsi khoobi hai tuj men,
Meri ankhen teri diwani bohat hai
Suna hai be sabab hum se bichar k,
Tujay ehsas-e-nadani bohat hai
Khudara ishq mat krna k iss men,
Sukoon kam he preshani bohat hai
Falak pr b tujay doonda hai humne,
Zameen ki khaak b chani bohat hai
K iss darya men tughyani bohat hai
Ujar kr b ni bhoola ye tujko,
Humen iss dil peh herani bohat hai
Najane konsi khoobi hai tuj men,
Meri ankhen teri diwani bohat hai
Suna hai be sabab hum se bichar k,
Tujay ehsas-e-nadani bohat hai
Khudara ishq mat krna k iss men,
Sukoon kam he preshani bohat hai
Falak pr b tujay doonda hai humne,
Zameen ki khaak b chani bohat hai
·
2 Like ·
Feb 10, 2015 at 20:02
Category: general
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Hamari Adhuri Kahaani Release Date
·
0 Like ·
Dec 12, 2014 at 10:12
Category: when
Uncategorized / Uncategorized
Faiz Ahmed Khan
Hamari Beti Ki Kisi Larkey K Sath Satting Ho Gai Hai.
·
0 Like ·
Apr 15, 2014 at 18:04
Category: uncategorized
Sms / Flirt
Kashif Yaqoob
Hamari Dosti.
Hmari dosti ka kitna faida uthhatay ho,
1,2,msg bhej ker10 free pate ho,
hamare dil par kyon zulm dhate ho,
hamare hi msg forward kar k naye-naye dost banate ho.
1,2,msg bhej ker10 free pate ho,
hamare dil par kyon zulm dhate ho,
hamare hi msg forward kar k naye-naye dost banate ho.
·
1 Like ·
Mar 08, 2014 at 14:03
Category: flirt
Tags: Dil Friend Sms
Sponored Video