Search
Shama Qadir
Ger Koee Pooche K Kirdaar Ki Azmat Kyaa Hai
kahoN insaaniyat se badi reffat kyaa hai?
deen ki rakhi hai bunyaad esi per Rabb ne
ain fitrat hi hai yehi, aur sahuulat kyaa hai?
Duub k mann maiN jo sochaa tau dikhaa aur jehaaN
"aaj mujh peh yeh khulaa raaz k jannat kyaa hai"
paa liyaa jisne tujhe uski tau ban aaee Khudaa!
phir kisee aur k dur ki usae Haajat kyaa hai
Khatm hoN tafruqe Allah! ab is ummat k
dekh le dunyaa k Islam ki waHdat kyaa hai
hai Khudaa aik Nabi (s.a.w) aik aur aik kitaab
hoN muslamaaN bhi kabhi aik yeh Hasrat kyaa hai
koN kehtaa hai k hoti nahiN maqbuul duaa
wAdah eejaab kaa aur iskee ijaazat kyaa hai
Ijunoon
Pineapple Juice Zakhmon Ko Jald Mundamil Kar Daita Hai Tehqeeq
انناس نہ صر خوش ذائقہ پھل ہے بلکہ اس کے ساتھ ساتھ اپنے اندر کئی بیماریوں سے نمٹنے کی قدرتی طاقت بھی رکھتا ہے۔ حالیہ تحقیق میں یہ بات بتائی گئی ہے، انناس کا جوس پینے سے اندرونی چوٹیں اور زخم جلد مندمل ...
مزید پڑھیں
Ijunoon
Doodh Ka Istemaal Diabeties K Khatray Ko Kam Kar Daita Hai
دودھ اور دودھ سے بنی اشیا استعمال کریں اور دوطرح کی ذیابیطس سے مقابلے میں کامیاب ہوجائیں۔ واشنگٹن کے ہاورڈاسکول آف پبلک ہیلتھ کے سائنسدانوں نے ڈیری پروڈکٹس میں ایساقدرتی مادہ دریافت کیا ہے جوانسانی جس...
مزید پڑھیں
Mohabbat Zindagi Ban Jati Hai
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Zindagi ko to hum jab chahen,
Maut ki oor khud le jaate hain,
Par ek baar jo kar lein ishq,
Wo kahaan isko chod paate hain.
Ye duniya kitni khudgarz hai,
Ye mohabbat hume batati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat ek jaan lewa aadat hai,
Jis me hoti shikwa shikayat hai,
Par aashiqon k liye to,
Yahi unka khuda aur yahi ibadat hai.
Wo mohabbat hi to hai doost,
Jo jeevan ko haseen banati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat hi saathi aur tanhaai hai,
Yahi hoti hansi aur yahi rulaai hai,
Isi me hote kasme wade saare,
Aur isi me hoti bewafai hai.
Wo mohabbat hi hoti hai,
Jab aankhon me koi samati hai.
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Mohabbat me sab majboor hote hain,
Kabhi paas to kabhi door hote hain,
Par jab hi ho jaye saamna,
Wo ishq ke nashe me choor hote hain.
Jab yaaden zannat ban jaati hain,
To wo mohabbat kehlati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Jab koi bediyon ko payal kar jaati hai,
Har jhalak uski,qayal kar jati hai.
Jab hota uska mehfil me aana,
Uski har ada hume bas"ghayal"kar jati hai.
Wo mohabbat ki daastan hai ki,
Har saans me kisi ki khusboo aati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Maanta hun k zindagi bhi tadpati hai,
Par mohabbat to jeena sikhati hai,
Zindagi mohabbat nahi ho sakti kabhi,
Par mohabbat zindagi ban jaati hai.
Kaise Kehdoon Ke Mulaqaat Nahi Hoti Hai
Roz milte hain magar baat nahi hoti hai
Aap lillah na dekha karen aaina kabhi
Dil ka aa jana barri baat nahi hoti hai
Chhup ke rota hoon teri yaad mein duniya bhar se
Kab meri aankh se barsaat nahi hoti hai
Haal-e-dil poochne waale teri duniya mein kabhi
Din hota hai magar raath nahi hoti hai
Jab bhi milte hain toh kehte hain kaise ho 'Shakeel'
Is se aagay toh koi baat nahi hoti hai
Khuwaab Saath Rehne Ke Nit Naye Dekhata Hai
Ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai
Khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein
Warna hijar ka mausam kis ko raas aata hai
To hawaon ka mausam tujh ko kiya khabar janaa
Gard-e-badgumaani se dil toot bhi jaata hai
Aik tum hi thay warna aadmi muhabbat mein
Laakh aayein deewarein raastey banata hai
Hum to khair nadaan thay muntazir rahe warna
Kaun apni beenayi is tarah ganwata hai
Kitne khuwaab aankhon mein zakham banne lagte hain
Jab hawa ke honton pe tera naam aata hai
Senkron dukaanein hain wasl ke charaghon mein
Kaun hijar mein apna ab lahoo jalata hai
Simran Chaudhry
Staff Ka Banda Hai!
Ijunoon
Maan Ki Awaaz Se Bache Ka Dimagh Mutahrik Hota Hai
ماں کی آواز سے بچے کا دماغ اور سیکھنے کا عمل متحرک ہو تا ہے۔ امریکی اخباردی ایگزائمنر نے ایک سائنسی تحقیق کے حوالے سے بتایا کہ ماں کی آواز بچے کے دماغی اور سیکھنے کے عمل کو سرگرم کرتی ہے۔ کینیڈا کی یو...
مزید پڑھیں
Ijunoon
Lehsan Ka Istemaal Austio Proccess Se Bacha Sakta Hai
ایک حالیہ تحقیق میں انکشا ف ہو ا ہے کہ غذا میں لہسن کا زیا دہ استعما ل خوا تین کو ہڈیوں کی کمزور ی کے مر ض او سٹیو پرو سس سے بچا سکتا ہے۔ لندن کے کنگز کا لج میں کی جا نے والی تحقیق کے مطابق لہسن میں پ...
مزید پڑھیں
Sponored Video