Search
Poetry / Sad
Tamam Shab Yunhi Daikhen Gi Soy E Dar Ankhain
tamam shab yunhi daikhen gi soy-e-dar ankhain
tujhe ganva k na soyen gi umr bhar ankhain
tuloo-e-subah se pehley hi bujh na jayen kahin !
yeh dasht-e-shab mein sitaron ki humsafar ankhain
sitam yeh kam to nahi dil giraftagi k liye
main shehar bhar mein akaila, idher udher ankhain
shumar uski sakhavat ka kia karain k wo shakhs
chiraag baantta phirta hai chean kar ankhain
wo paas tha to zamaney ko dekhti hi na thein
bicher gaye to hoe phir se darbadar ankhain
abi kahan tuje pehchanney ki zid kijey
abi to khud se b thehri hain bekhaber ankhain
main apney ashk bachaa longa kis tarha Mohsin ?
zamana sang bakaf hai to sheeshagar ankhain...!

·
1 Like ·
Aug 06, 2017 at 00:08
Category: sad
Poetry / Love
Halat E Dil Bhi Kia Ajab Ho Gi
Halat-e-dil bhi kia ajab ho gi
Bat meri jo zair-e-lab ho gi
Tm aty ho to phool khiltay hain
Or es dil ki kia talab ho gi
Wada pyar ka jb wafa hoga
Or kitni taveel wo shab hogi
Walehana jo meri chahat hai
Tm bano gaye mery to be sabab ho gi
Subah tk tm hogay rukh pheray
Hashar ki subah or kb hogi
Nazuk badan sy jb uthy ga naqaab
Chandni me nahai shab hogi
Jb jalayen gay kashtiyan sari dost
Dastaras zindagi pe mukamal tb ho gi.
Bat meri jo zair-e-lab ho gi
Tm aty ho to phool khiltay hain
Or es dil ki kia talab ho gi
Wada pyar ka jb wafa hoga
Or kitni taveel wo shab hogi
Walehana jo meri chahat hai
Tm bano gaye mery to be sabab ho gi
Subah tk tm hogay rukh pheray
Hashar ki subah or kb hogi
Nazuk badan sy jb uthy ga naqaab
Chandni me nahai shab hogi
Jb jalayen gay kashtiyan sari dost
Dastaras zindagi pe mukamal tb ho gi.
·
1 Like ·
Jul 06, 2017 at 17:07
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Jamay Gi Kaisay Bisaat E Yaraan Ke Sheesha O Jaam Bujh Gaye Hain
jamay gi kaisay bisaat-e-yaraan ke sheesha o jaam bujh gaye hain
sajay gi kaisay shab-e-nigaran ke dil sar-e-shaam bujh gaye hain
wo teergi hai rah-e-butaan main, charagh e rukh na shaam e wada
kiran koi arzoo ki laao ke sub dar o baam bujh gaye hain
buhat sambhala wafa ka paimaan, magar wo barsi hai ab kay burkha
har aik iqraar mit gaya hai, tamam paigham bujh gaey hain
qareeb aa ay mah e shab e gham, nazar pay khulta nahin kuch es dum
ke dil pay kis kis ka naqsh baqi hai, kaun say naam bujh gaye hain
bahar ab a kr kaya karay ge ke jin say thi jashn rang o naghma
wo gul sar-e-shakh jal gaye hain, wo dil tah-e-daam bujh gaye hain

Jun 24, 2017 at 15:06
Category: sad
Poetry / Sad
Choti Si Galat Fehmi Karday Gi Juda Humko
Choti si galat fehmi karday gi juda humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
Rishton ki hamain itni pehchaan na thi pahlay
Kehnay ko marasim to apnay thay bohot gehray
Ashkon k siwa likin kuch na mila humko

Uthtay hoay qadmoon main zanjeer se par jati
Ahsaas nidamat say dehleez pighal jati
Ik baar mohabbat say daytay jo sada humko

Jun 12, 2017 at 20:06
Category: sad
Poetry / Love
Mohabbat Mehraban Ho Gi
Mere janey pe ay jana
Pareshan tum nahin hona
Kabhi chhup kar nahin rona
Judai zehar hoti hai
Mujhey maloom hai lekin
Firaq o hijar ka mosam
Yaqenan beet jaye ga
Yaqenan wasl k lamhe
dobara lout aayen ge
Wohi shaamen' wohi raaten
Wohi qissey' wohi baaten
Wohi phir dastan ho gi
Mohabbat mehraban ho gi..
Pareshan tum nahin hona
Kabhi chhup kar nahin rona
Judai zehar hoti hai
Mujhey maloom hai lekin
Firaq o hijar ka mosam
Yaqenan beet jaye ga
Yaqenan wasl k lamhe
dobara lout aayen ge
Wohi shaamen' wohi raaten
Wohi qissey' wohi baaten
Wohi phir dastan ho gi
Mohabbat mehraban ho gi..
·
1 Like ·
Jun 11, 2017 at 01:06
Category: love
Poetry / Sad
Choti Si Galat Fehmi Karday Gi Juda Humko
Choti si galat fehmi karday gi juda humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
Rishton ki hamain itni pehchaan na thi pahlay
Kehnay ko marasim to apnay thay bohot gehray
Ashkon k siwa likin kuch na mila humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
Uthtay hoay qadmoon main zanjeer se parr jati
Ahsaas nidamat say dehleez pighal jati
Ik baar mohabbat say daytay jo sada humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
Choti si galat fehmi karday gi juda humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
Rishton ki hamain itni pehchaan na thi pahlay
Kehnay ko marasim to apnay thay bohot gehray
Ashkon k siwa likin kuch na mila humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
Uthtay hoay qadmoon main zanjeer se parr jati
Ahsaas nidamat say dehleez pighal jati
Ik baar mohabbat say daytay jo sada humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
Choti si galat fehmi karday gi juda humko
Halaat na badlain gay maloom na tha humko
·
1 Like ·
Jun 10, 2017 at 12:06
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Meharbaa Ho Gi
Mohabbat Meharbaa Ho Gi
Pareshan Tum Nahi Hona
Kabhi Choup Kar Nahi Rona
Kabhi Udaas Mat Hona
Judaii Zehar Hoti Hay
Mujhay Maloom Hay Lakin
Firaaq -e- Hijar Ka Mousam
Yaqeenan Beet Jaye Ga
Yaqeenan Wasaal Kay Lamhay
Dobara Lout Aaye Gaye
Wahi Shamain Wahi Ratain
Wahi Qissay Wahi Baatain
Wahi Phir Dastan Ho Gi
MOHABBAT Meharbaan Ho Gi
Pareshan Tum Nahi Hona
Kabhi Choup Kar Nahi Rona
Kabhi Udaas Mat Hona
Judaii Zehar Hoti Hay
Mujhay Maloom Hay Lakin
Firaaq -e- Hijar Ka Mousam
Yaqeenan Beet Jaye Ga
Yaqeenan Wasaal Kay Lamhay
Dobara Lout Aaye Gaye
Wahi Shamain Wahi Ratain
Wahi Qissay Wahi Baatain
Wahi Phir Dastan Ho Gi
MOHABBAT Meharbaan Ho Gi
·
1 Like ·
Apr 05, 2017 at 16:04
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujhe Kaamil Yaqeen Hai Tum Meri Ho Jao Gi Ik Din

Tumhare Dil Main Utrain Gay, Muhabbat Ki Sada Ban Kar
Mere Josh-e-Junoon Par Saari Khalqat Mujh Ko Takti Hai
Zara Tum Bhi Nazar Dalo, Na Betho Youn Khuda Ban Kar
Tumhein Ye Raaz Batla Doon, K Aksar Chand Raaton Main
Tere Aangan MaiN Aata Hoon SitarOn Ki Zia Ban Kar
Jigar Ka Khoon Laya Hoon Tairay Singhar Ki Khaatir
Hatheli Per Racha Lena Ye Mehke Ga Heena Ban Ker

Mar 30, 2017 at 07:03
Category: sad
Poetry / Love
Ghazal Noor
Aankhain Khuli Rahain Gi Toh Manzar Bhi Ayeenge
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayeenge
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayeenge
Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayeenge
Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chairh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayeenge
Khud ko chhupa na sheesha garoon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayeenge
Ay shehr yaar dasht say fursat nahi magar
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayeenge
Mohsin abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sar sar bhi ayeenge

Dec 25, 2016 at 14:12
Category: love
Sponored Video