Search
Poetry / Love
Abdul Rehman Rehman
Dil Ko Gam E Hayaat Gavaaraa Hai In Dinon
dil ko Gam e hayaat gavaaraa hai in dinon
pahale jo dard thaa vahii chaaraa hai in dinon
ye dil zaraa saa dil terii yaadon men kho gayaa
zarre ko aandhiyon kaa sahaaraa hai in dinon
har sail e ashk saahil e taskiin hai aaj kal
dariyaa kii mauj mauj kinaaraa hai in dinon
shamon men ab nahiin hai vo pahale sii roshanii
shaayad vo chaand anjuman e aaraa hai in dinon
tum aa sako to shab ko badhaa duun kuchh aur bhii
apne kahe men subah kaa taaraa hai in dinon
qurbaan hon jis ke husn peh sau jannaten Qateel
nazaron ke saamane vo nazaaraa hai in dinon

·
1 Like ·
Dec 05, 2018 at 06:12
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Be Niyaaz E Gam E Paimaan E Vafaa Ho Jaanaa
Be-Niyaaz-E-Gam-E-Paimaan-E-Vafaa Ho Jaanaa
Tum Bhii Auron Kii Tarah Mujh Se Judaa Ho Jaanaa
Main Bhii Palakon Pe Sajaa Lon Ga Lahuu Kii Bondain
Tum Bhii Paabasta-E-Zanjeer-E-Hinaa Ho Jaanaa
Khalq Kii Sangzani Merii Khataaon Kaa Silaa
Tum To Maasoom Ho Tum Door Zaraa Ho Jaanaa
Ab Mere Vaaste Taryaaq Hai Ilhaad Kaa Zahar
Tum Kisii Aur Pujaari Ke Khudaa Ho Jaanaa

Oct 14, 2016 at 09:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hangama E Gam Se Tang Aakar Izhaar E Musarrat Kar Baithe
Hangama-E-Gam Se Tang Aakar Izhaar-E-Musarrat Kar Baithe
Mashhur Thi Apni Zindadili Daanista Shararat Kar Baithe
Koshish To Bahot Ki Hamne Magar Paya Na Gam-E-Hasti Ka Mafar
Virani-E-Dil Jab Had Se Badhi Ghabara Ke Mohabbat Kar Baithe
Nazron se Na Karte Pursish-E-Gam Khamosh Hi Rehna Behtar Tha
Deewano ko Tumne Chhed Diya WALLAH Qayaamat Kar Baithe
Har Chiz Nahi Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ek Roz Udhar
Nafrat se Na Dekho Dushman ko Shayad Ye Mohabbat Kar Baithe

Jul 31, 2016 at 11:07
Category: sad
Poetry / Sad
Aaj Bhee Gam Hai
aaj bhee gam hai
us baat kaa
jo tujh se maine
kahee thee,
ek shaam kee baat thee
jab tum sehami see
khari thee,
haatho se cheharaa Chupaaye,
mujh se keh rahee thee
tumhaare binaa kuch
nahee hai zindagee
mere dil me hai
bas tumhaaree hee bandagee.
us baat kaa
jo tujh se maine
kahee thee,
ek shaam kee baat thee
jab tum sehami see
khari thee,
haatho se cheharaa Chupaaye,
mujh se keh rahee thee
tumhaare binaa kuch
nahee hai zindagee
mere dil me hai
bas tumhaaree hee bandagee.
·
2 Like ·
Jun 26, 2015 at 11:06
Category: sad
Poetry / Sad
Jab Bhi Gam Ki Kahaniyan Aain.
Jab bhi gam ki kahaniyan aain.
Unke honton pe siskiya aain..
Bujh na paye diye muhabbat ke.
Youn to kitni hi aandhiyan aayin..
Meri tanhai ke gulista mai.
Chand yadon ki titliyan aain..
Yaad usne kya mujhe shayad.
isliye aaj hichkiya aain..
Mere jitne Qareeb aaye wo.
Utni hi dil mai dooriya aain..
Waqt rukhsat hua hai ab Arif
Maut ki chand hichkiyan aain
Unke honton pe siskiya aain..
Bujh na paye diye muhabbat ke.
Youn to kitni hi aandhiyan aayin..
Meri tanhai ke gulista mai.
Chand yadon ki titliyan aain..
Yaad usne kya mujhe shayad.
isliye aaj hichkiya aain..
Mere jitne Qareeb aaye wo.
Utni hi dil mai dooriya aain..
Waqt rukhsat hua hai ab Arif
Maut ki chand hichkiyan aain
·
1 Like ·
Jun 11, 2015 at 17:06
Category: sad
Poetry / 0
Zafar Ali Khan
Kyon Aaj Mujhe Is Gam Mein Ab Aur Tadpa Rahi Ho
Mujhe Kyon Doori Ka Ehsaas Dila Rahi Ho,
Kyon Dour Jaa Rahi Ho, Kyon Muskura Rahi Ho,
Kya Khush Ho Tum Bhi Ya Meri Tarah Aansoon Baha Rahi Ho,
Dil Mein Kya Hai Tere Yeh Jaanta Hoon Main Bhi,
Par Lagta Hai Ke Tum Bhi Meri Tarah Kuch Chupa Rahi Ho,
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chhod Ke Ja Rahi Ho,
Kyon Aaj Mujhe Is Gam Mein Ab Aur Tadpa Rahi Ho,
Aajaana Jaldi Se, Ke Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin,
Hume To Tum Udaas Karke Jaa Rahi Ho,
Pyar To Hai Magar ,Is Pyar Mein Tadpa Rahi Ho.

Mar 21, 2015 at 02:03
Category: 0
Poetry / Sad
Akram Rahi
Jab Bhi Gam Ki Kahaniyan Aain.
Jab bhi gam ki kahaniyan aain.
Unke honton peh siskiya aain..
Bujh na paye diye muhabbat ke.
Youn to kitni hi aandhiyan aain..
Meri tanhai ke gulista mai.
Chand yadon ki titliyan aain..
Yaad usne kya mujhe shayad.
isliye aaj hichkiya aain..
Mere jitne Qareeb aaye wo.
Utni hi dil mai dooriya aain..
Waqt rukhsat hua hai ab Arif
Maut ki chand hichkiyan aain
Unke honton peh siskiya aain..
Bujh na paye diye muhabbat ke.
Youn to kitni hi aandhiyan aain..
Meri tanhai ke gulista mai.
Chand yadon ki titliyan aain..
Yaad usne kya mujhe shayad.
isliye aaj hichkiya aain..
Mere jitne Qareeb aaye wo.
Utni hi dil mai dooriya aain..
Waqt rukhsat hua hai ab Arif
Maut ki chand hichkiyan aain
·
2 Like ·
Mar 15, 2015 at 13:03
Category: sad
Sms / Friendship
Aamir Khan Sherwani
Gam Ke Sagar Mein Kabhi Dub Na Jana
Gam ke sagar mein kabhi dub na jana,
Raho pe chal ke manzil na pao to tut na jana.
Zindgi mein agar dost ki kami mehsoos ho,
To hum hain ye bhul na jana.
Raho pe chal ke manzil na pao to tut na jana.
Zindgi mein agar dost ki kami mehsoos ho,
To hum hain ye bhul na jana.
·
1 Like ·
Jan 07, 2015 at 19:01
Category: friendship
Sms / Dard
Mohammad Asif
Mai Roya Hoon Tere Gam Mai Tu Bhi Ro Le Thori Der
Mai roya hoon tere gam mai tu bhi ro le thori der
Tu bhi meri aankh se aaknh bhigole thori der
Mai bhi uske paas jakar gum sum ho jaoo
Woh tere paas rahe or khuch na bole thori der
Dil ke ander na jane kab se mayoosi si chayi hai
Shukar hai usne band Dareeche to khole thori der
such mano duniya bahr ki bate ham dono ne ki
Or yeh bhi such ki ham khuch na bole thori der.

Oct 02, 2009 at 06:10
Category: dard
Sms / Funny
Ijunoon
Dard E Dil Mein Gam Ki Kaliyan Khilti Hai,<
Dard e dil mein gam ki kaliyan khilti hai,
Aab tou tanhai aksar hamse milti hai,
Aapne band kiya jabse SMS karna,
MOBILE ki battery zyada chalti hai!
Aab tou tanhai aksar hamse milti hai,
Aapne band kiya jabse SMS karna,
MOBILE ki battery zyada chalti hai!
·
1 Like ·
Nov 21, 2007 at 07:11
Category: funny
Tags: Tanhai Dil
Sponored Video