Search
Poetry / Sad
Tumhen Yeh Yaad To Ho Ga
TUMHEN YEH YAAD TO HO GA
MEIN COFFEE PEE NHI SAKTI
BOHAT WO WAQT SAADA THA
K JAB MEIN TUM SAY KEHTI THEE
AGAR MIL PAYEN GAY NA HUM
TO PHIR MEIN JEE NHI SAKTI
TUMHEN YEH YAAD TO HO GA
MEIN COFFEE PEE NHI SAKTI.....
MEIN COFFEE PEE NHI SAKTI
BOHAT WO WAQT SAADA THA
K JAB MEIN TUM SAY KEHTI THEE
AGAR MIL PAYEN GAY NA HUM
TO PHIR MEIN JEE NHI SAKTI
TUMHEN YEH YAAD TO HO GA
MEIN COFFEE PEE NHI SAKTI.....
·
1 Like ·
Jun 06, 2017 at 15:06
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Agar Koi Talash Karo To Mil Hi Jaye Ga
Agar koi talash karo to mil hi jaye ga
Magar kon hamari tarha tum ko chahy ga
Tumhein zaroor koi chahtoon say dekhay ga
Magar woh ankhein hamari kahan say laye ga
Tumharay sath yeh mosam gulabon jaisa hai
Tumharay bade yeh mosam bohat rulaye ga

May 12, 2017 at 02:05
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Belaus Muhabbat Ka Ye Andaz Rahey Ga
Belaus muhabbat ka ye andaz rahey ga
khamosh sa lehja pas-e-awaz rahey ga
veeranay me sadiyon se chupa aik khazana
tu dil me sada ban ke yunhi raaz rahey ga
har sham damak uthey gi yaadon ki chamak se
har subah terey naam se aagaz rahey ga
jab tak dil-e-pursoz ka likha hae dharakna
dharkan me terey dard ka aijaz rahey ga
urta hae khayal aur tujhey chu nahi sakta
nakaam safar haasil-e-parwaaz rahey ga

Mar 29, 2017 at 23:03
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahey Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta
Dheerey Dheerey
Phir Haalat Hijr Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakhm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !
Kuch Roz Rahey Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta
Dheerey Dheerey
Phir Haalat Hijr Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakhm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamey Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho !
·
1 Like ·
Mar 22, 2017 at 02:03
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Ipad 3 Ainda Haftay Market Me Dasteyaab Ho Ga
موجودہ تھری جی سے دس گنا تیز فورجی ٹیکنالوجی پر مشتمل ایپل کمپنی کا نیا آئی پیڈ تھری سولہ مارچ سے مارکیٹ میں دستیاب ہوگا۔ ایپل کمپنی نے نئے آئی پیڈ تھری کا اعلان کر دیا۔ فورجی کی نئی ٹیکنالوجی ایل ٹی ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Mar 06, 2017 at 12:03
Category: featured
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tum Kehtay Ho To Such Ho Ga
Tum kehtay ho to such ho ga
Aag mein gul khil saktay hongay
mil kar dil kho saktay hongay
kho kar dil mil saktay hongay
Tum kehtay ho to such ho ga
rang berang kay saaray panchi
mil jul kar urr saktay hongay
Aan hee Aan mein jeevan sapnay
toot k phir jurr saktay hongay
Tum kehtay ho to such ho ga
Yeh sab kuch ho sakta ho ga
lekin baat ik aur bhee hai
meray ilawa bhee kya koi
tum ko yun such maanay ga?
Aag mein gul khil saktay hongay
mil kar dil kho saktay hongay
kho kar dil mil saktay hongay
Tum kehtay ho to such ho ga
rang berang kay saaray panchi
mil jul kar urr saktay hongay
Aan hee Aan mein jeevan sapnay
toot k phir jurr saktay hongay
Tum kehtay ho to such ho ga
Yeh sab kuch ho sakta ho ga
lekin baat ik aur bhee hai
meray ilawa bhee kya koi
tum ko yun such maanay ga?
·
1 Like ·
Mar 04, 2017 at 08:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Koun Aye Ga Yahan Koi Na Aya Hoga
koun aye ga yahan koi na aya hoga
mera derwaza hawaon ne hilaya hoga
dil e nadaan dharak aye dil e nadaan na dharak
koi khat le k parosi k ghar aya hoga
gul se lipti hoi titli ko gira ker daikho
aandhio tum ne darakhtoon ko giraya hoga
Kaif pardais main mat yaad kero apna makaan
ab k baarish ne usey toor giraya hoga

Feb 24, 2017 at 16:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jab Sar e Shaam Us Nay Zulfon Ko Sanwara Ho Ga
Jab Sar -e- Shaam Us Nay Zulfon Ko Sanwara Ho Ga
Haath Main Kangan Aankh Main Kajal Awara Ho Ga
Us Kay Jooray Main Laga Wo Sufaid Gulaab
Raat Ko Sotay Main Kise Nay Tu Utara Ho Ga
Aalam -e- Tanhaii Main Shab Bhar Karwatain Lay Kar
Koii Tu Ho Ga Jisay Us Nay Puraka Ho Ga
Haye ! Wo Neend Main Doobi Hoi Makhmoor Aankhain
Jis Nay Dekha Wo Dil Wahi Pay Haara Ho Ga
Us Kay Be Taab Laraztay Hoe Honton Pay
Humay Yaqeen Hay Machalta Howa Naam Humara Ho Ga

Feb 16, 2017 at 19:02
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ab Koi Hurf E Dua Kaam Nahin Aaye Ga
Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga
Ab woh mehtab sar-e-baam nahin aaye ga
Ab dhalay ga na kabhi hijr ka jalta sooraj
Ab kabhi wasal ka hangaam nahin aaye ga
Jaa key us koochay mai yunhi palat aain gay
Waqt-e-rukhsat koi dou gaam nahin aaye ga
Dil key darwazay per dastak nahin day ga koi
Koi naama koi pegham nahin aaye ga
Magar aey baad-e-saba us say yeh jaa ker kehna
Is kahani mai koi naam nahin aaye ga

Feb 14, 2017 at 13:02
Category: sad
Sponored Video