Search
Quotes / Urdu Quotes
Fatima Zehra
Dushman K Darmiyan
·
8 Like ·
Dec 11, 2018 at 02:12
Category: urdu-quotes
Social Wall / Text
Saiqa Bukhari
Insan Ka Dushman
sab se bara dushman ensaan ka apna nafs hai .
·
4 Like ·
Oct 17, 2018 at 02:10
Category: text
Advertisement
Social Wall / Text
Saiqa Bukhari
Insan Ka Dushman
sab se bara dushman ensaan ka apna nafs hai .
·
5 Like ·
Oct 16, 2018 at 14:10
Category: text
Poetry / General
Maleeha Bukhari
Yeh Kaafi Hai Ke Hum Dushman Nahin Hain
·
0 Like ·
Apr 10, 2018 at 02:04
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Meri Aankhain Mere Dushman Ko Laga Di Jain
Bujhnay lag jain to phr shamaiN jala di jaiN
meri aankhaiN mere dushman ko laga di jaiN
be hunar loog kahaN harf ki sachai kahaN
ab kitabain kisi darya main baha di jain
un ki pehchaan ka dukh jaaN se guzr jata hai
ye shabeehaiN sir e aaina ganwa di jaiN
ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar
ishq main tohmataiN aaiN to bhula di jaiN
ya to khursheed chamakta rahay peshaani main
ya lakeeraiN mery mathay ki mitta di jaiN
kitni bholi huwi batain hamain aaj us ki Saleem
yaad aai hain to ab us ko bata di jaiN

1 Like ·
May 20, 2017 at 09:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum Bhi Khud Dushman E Jaan Thay Pehle
Hum Bhi Khud Dushman-E-Jaan Thay Pehle
Tum Magar Dost Kahan Thay Pehle
Ab Wahan Khaak Uraati Hai Khizaan
Phool Hi Phool Jahaan Thay Pehle
Ab Jo Deewar Bunay Baithay Hain
Soorat-E-Mooj Rawaan Thay Pehle
Kuch Sharabi Keh Hein Ab Rah Nasheen
Ronaq-E-Buzm-E-Maghaan Thay Pehle
Hum Keh Hein Aaj Ghubaar Puss-E-Roo
Munzil Hum Sufraan Thay Pehle
Ab Kise Waza-E-Mohabbat Ka Khayal
Aur Hi Loag Yahaan Thay Pehle
Ab To Khudh Per Bhi Nahin Zaam-E-Wafa
Tujh Se Hum Shikwa Kinaan Thay Pehle
Bun Gya Kafla Chaltay Chaltay
Wurna Tunha Hi Rawaan Thay Pehle
Dolat-E-Ghum Tau Mayasar Thi Faraz
Itne Muflis Bhi Kahaan Thay Pehle
Tum Magar Dost Kahan Thay Pehle
Ab Wahan Khaak Uraati Hai Khizaan
Phool Hi Phool Jahaan Thay Pehle
Ab Jo Deewar Bunay Baithay Hain
Soorat-E-Mooj Rawaan Thay Pehle
Kuch Sharabi Keh Hein Ab Rah Nasheen
Ronaq-E-Buzm-E-Maghaan Thay Pehle
Hum Keh Hein Aaj Ghubaar Puss-E-Roo
Munzil Hum Sufraan Thay Pehle
Ab Kise Waza-E-Mohabbat Ka Khayal
Aur Hi Loag Yahaan Thay Pehle
Ab To Khudh Per Bhi Nahin Zaam-E-Wafa
Tujh Se Hum Shikwa Kinaan Thay Pehle
Bun Gya Kafla Chaltay Chaltay
Wurna Tunha Hi Rawaan Thay Pehle
Dolat-E-Ghum Tau Mayasar Thi Faraz
Itne Muflis Bhi Kahaan Thay Pehle
·
1 Like ·
Sep 01, 2016 at 16:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dushman Bhi Pesh Aaye Hain Dildar Ki Tarah
Dushman bhi pesh aaye hain dildar ki tarah
Nafrat milee hai unsey mujhe pyaar ki tarah
Kaise milengey chahne waley bataiye
Duniya kharhi hai raah mein deewar ki tarah
Woh bewafai kar ke bhi sharminda na huwe
Sooli pe hum charhhe hain gunahgar ki tarah
Toofan mein mujh ko chorh kar woh laug chal diye
Sahil pe they jo sath mein patwaar ki tarah
Chehre pe hadson ne likheen woh ibaratein
Parhta hai har koi mujhe akhbar ki tarah
Dushman bhi ho gaye hain maseeha sifat JAMAL
Milte hain toot kar woh galey yaar ki tarah,

Apr 12, 2016 at 07:04
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Woh Hue Mehrbaan Dushman Par
woh huay meharban dushman par
phatt parrey aasman dushman par
jaan iss bay wafa ko hum nay di
jis ki jati hai jaan dushman par
apni pehchan ko qiyamat mein
kijiyej kuch nishaan dushman par
bohat achi hai aap ki talwar
kijiyej imtihaan dushman par
log kehtay hain kya ؟ suno tou sahi
jhuk para ik jahan dushman par
kis ki mehfil mein yeh hui izzat
kya barasti hai shaan dushman par
tum nay bhi kuch suna ؟ keh hai charcha
ghash hai ik nojawan dushman par
ab barasne lagey woh hum par bhi
khil gayi hai zabaan dushman par ؟
daagh tum dil ko dost samjhay ho
dosti ka gumaan dushman par ؟
phatt parrey aasman dushman par
jaan iss bay wafa ko hum nay di
jis ki jati hai jaan dushman par
apni pehchan ko qiyamat mein
kijiyej kuch nishaan dushman par
bohat achi hai aap ki talwar
kijiyej imtihaan dushman par
log kehtay hain kya ؟ suno tou sahi
jhuk para ik jahan dushman par
kis ki mehfil mein yeh hui izzat
kya barasti hai shaan dushman par
tum nay bhi kuch suna ؟ keh hai charcha
ghash hai ik nojawan dushman par
ab barasne lagey woh hum par bhi
khil gayi hai zabaan dushman par ؟
daagh tum dil ko dost samjhay ho
dosti ka gumaan dushman par ؟
·
1 Like ·
Mar 28, 2016 at 20:03
Category: general
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Hum Tum Dushman Dushman Release Date
·
0 Like ·
Jan 30, 2015 at 21:01
Category: when
Sponored Video