Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Masrof Hain Wo Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
Masrof hain wo din raat unhain waqt kahan hai.
Wo hm se krain bat unhain waqt kahan hai.
Betabi-e-dil ka unhain andaza kahan.
Wo samjhain mera jazbat unhain waqt kahan hai.
Bholay se he wo pochne a jaein mera haal.
Aaa gardish-e-halaat unhain waqt kahan hai.
Es dil main sulagty howa sholon ko wo dakhain.
Aaa waqt-e-mulaqat unhain waqt kahan.
Moujoon main tarapta hwa main doob raha houn
Thaamen wo mera hath unhein waqt kahan hai.

·
1 Like ·
Jul 29, 2016 at 02:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai
Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai,

May 10, 2016 at 04:05
Category: sad
Advertisement
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Din Guzar Gaya Aitbaar Mein
Din guzar gaya aitbaar mein
Raat kat gayi intezaar mein
Woh maza kahan vasl e yaar mein
Lutf jo mila intezaar mein
Un ki ik nazar kaam ker gayi
Hosh ab kahan hoshyaar mein
Mere qabze mein kainaat hay
Main hon aap k ikhtayaar mein
Aankh tou uthi un ki taraf
Dil ulajh gaya husn e khaar mein
Tujh se kia kahain kitne ghum sahe
Hum ne bewafa tere payaar mein
Fikar e ashiyaan har khazaon ki
Aashiyan jala per bahaar mein
Kis terha yeh ghum bhol jayen hum
Woh juda hua is bahaar mein,
Raat kat gayi intezaar mein
Woh maza kahan vasl e yaar mein
Lutf jo mila intezaar mein
Un ki ik nazar kaam ker gayi
Hosh ab kahan hoshyaar mein
Mere qabze mein kainaat hay
Main hon aap k ikhtayaar mein
Aankh tou uthi un ki taraf
Dil ulajh gaya husn e khaar mein
Tujh se kia kahain kitne ghum sahe
Hum ne bewafa tere payaar mein
Fikar e ashiyaan har khazaon ki
Aashiyan jala per bahaar mein
Kis terha yeh ghum bhol jayen hum
Woh juda hua is bahaar mein,
·
1 Like ·
May 06, 2016 at 04:05
Category: general
Poetry / Love
Mohammad Asif
Manga Khuda Se Raaat Din
soocha nahi accha bura dekha suna kuch bhi nahi
Manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi
soocha tujhey dekha tujhey chaha tujhey pooja tujhey
meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahi
jis per hamari ankh ne mooti bichaye raat bhar
bheja wohi kaghaz oosey hum ne likha kuch bhi nahi
ik shaam ki dehleez per baithey rahay woh dair tak
ankhoon se keen baatain bohat moun sai kaha kuch bhi nahi
ehsaas ki khushboo kaha awaz kai jugnoo kaha
khamoosh yadon ke siwa ghar mien raha kuch bhi nahi,

May 02, 2016 at 17:05
Category: love
Social Wall / Photos
Asma Altaf
Shadi Ek Aisaa Din Hai
shadi ek aisaa din hai?
jab larka stage par apni biwi ke saath bethi hui dusri khubsurat larkiyon ko dekhta hai our sochta hai,
ye sab aaj se phele kahan thi yaar.
jab larka stage par apni biwi ke saath bethi hui dusri khubsurat larkiyon ko dekhta hai our sochta hai,
ye sab aaj se phele kahan thi yaar.
·
0 Like ·
Apr 29, 2016 at 00:04
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ae Kaash Ke Toote Tera Pindaar Kisi Din
Ae kaash ke toote tera pindaar kisi din
ker le tu mere pyar ka iqrar kisi din
yeh jhankna chup chup kee hamesha na rahe ga
gir jaye gi yeh beech ki dewaar kisi din
sarshaar kabhi main bhi bohat tha use mil ker
pachtaye ga tu bhi ae mere yaar kisi din
sunte hain us paar bari sabz rutein hain
kyun hum bhi na ayaz chalein paar kisi din

Apr 27, 2016 at 08:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Iss Be'naam Se Rishte Ko Nibha Jao Kisi Din
Iss Be'naam Se Rishte Ko Nibha Jao Kisi Din !!!!!!!
Jo Mil Jaye Kabhi Fursat To Paas Aa Jao Kisi Din,
Milta Hy Sabhi Kuch Sabhi Ko Ye Suna Hai .....
Mujh Ko To Faqat Tum Hi Mil Jao Kisi Din .....
Barson Se Ye Dil Mera Khali Hi Parha Hai ....
Tum Apne Naam Ki Takhti Hi Laga Jao Kisi Din ..
Barson Ki Muhabbat Ko Kis Tarha Bhulate Hain
Mujh Ko B Hunar Aisa Sikha Jao Kisi Din ..........
Muqadar Main Jo Likha Hy Na Mit Paye Ga.
Fursat Mile To Dil Ko Ye Samjha Jao Kisi Din ......

Mar 16, 2016 at 01:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Wohi Din Mata E Hayat Hain
Khaein Door Dasht-E-Khayal main,
Koi Qaafla Hay Ruka Hoa,
Khaein Khaali Aankh Ki Goud Main,
Kai Ratjagay Hain Pary Hoay,
Kahin Ehd-E-Maazi Ki Rah Per,
Koi Yaad C Kahein Kho Gai,
Kahein Khuab Zaaron K Darmian,
Mujhy Zindgi Nay Basar Kia,
Mery Mah-O-Saalon Ki Goud Main,
Na Visaal Ka Koi Chaand Hay,
Koi Aas Hay Na Umeed Hay,
Na Kisi Sitaary Ka Saath Hay,
Na Hi Haath May Koi Haath Hay,
Kai Wahemy, Kai Waswasy,
Mujhy Gheyr Laytey Hain Shaam Say,
Wohi Din Mata-E-Hayat Hain,
Jo Basar Kiay Tery Naam Say,
Koi Qaafla Hay Ruka Hoa,
Khaein Khaali Aankh Ki Goud Main,
Kai Ratjagay Hain Pary Hoay,
Kahin Ehd-E-Maazi Ki Rah Per,
Koi Yaad C Kahein Kho Gai,
Kahein Khuab Zaaron K Darmian,
Mujhy Zindgi Nay Basar Kia,
Mery Mah-O-Saalon Ki Goud Main,
Na Visaal Ka Koi Chaand Hay,
Koi Aas Hay Na Umeed Hay,
Na Kisi Sitaary Ka Saath Hay,
Na Hi Haath May Koi Haath Hay,
Kai Wahemy, Kai Waswasy,
Mujhy Gheyr Laytey Hain Shaam Say,
Wohi Din Mata-E-Hayat Hain,
Jo Basar Kiay Tery Naam Say,
·
2 Like ·
Feb 25, 2016 at 09:02
Category: sad
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Din Sehra Aur Raat Samundar
Gehri Gehri Raat Samander,
Din Sehra Aur Raat Samundar,
Phir Bhi Main Hun Tishna Tishna,
Warna Uski Zaat Samundar,
Samnay Uski Aankhon K,
Teri Kya Oqaat Samundar,
Phir Bhi Gham Kya? Raah Mein Meri,
Haayel Hain Gar Saat Samundar,
Meri Gaftagu Hai sehra sehra,
Uski Har Ek Baat Samundar,
Boond Boond Ko Tarsay Sehra,
Pee Jaye Barsaat Samundar.......!!!!!
Din Sehra Aur Raat Samundar,
Phir Bhi Main Hun Tishna Tishna,
Warna Uski Zaat Samundar,
Samnay Uski Aankhon K,
Teri Kya Oqaat Samundar,
Phir Bhi Gham Kya? Raah Mein Meri,
Haayel Hain Gar Saat Samundar,
Meri Gaftagu Hai sehra sehra,
Uski Har Ek Baat Samundar,
Boond Boond Ko Tarsay Sehra,
Pee Jaye Barsaat Samundar.......!!!!!
·
1 Like ·
Feb 16, 2016 at 17:02
Category: occassional-events
Sponored Video