Search
Poetry / Sad
Meri Aankhon Mein Umand Aya Hai Dariya Dil Ka
Meri aankhon mein umand aya hai dariya dil ka
Phir kaheen toot gya ho na kinaara dil ka
Bas mohabbat se rivayat hai kahaani dil ki
Chaar harfon se ibaarat hai fasaana dil ka
Saans rukti hai to phir jaan ka khayaal aata hai
Dil dharakta hai to lag jaata hai dharka dil ka
Isi koshish mein bohat umar ganwaa di maine
Phir bhi poora na hoa mujh se khasaara dil ka
Meri payaab tamanain batati hain mujhay
Sookh jay ga kuch roz me dariyaa dil ka
Badli badli si sadaa deti hai dharkan dil ki
Hijr mein or hi ho jaata hai lehjaa dil ka
Kiyoon na ay dost abhi tark a mohabbat kar lein
es se pehlay ke badal jay iraada dil ka
Fikr-e-duniya mein mere dil ko bhulanay walay
Teri duniya se zyada hai asaasa dil ka
Ishq kaattay ga abhi or chahtain SAGHAR
Aqal dekhay gi abhi or tamaasha dil ka...!

·
1 Like ·
Aug 27, 2017 at 03:08
Category: sad
Social Wall / Videos
Bollywood Music Videos
Hai Dil Ye Mera (Audio) Arijit Singh - 'Hate Story 2'
·
0 Like ·
Aug 20, 2017 at 22:08
Category: videos
Advertisement
Poetry / Love
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi
Ye Teri Tarah Mujhse To SharMa Na Sakegi
Main Baat Karunga To Ye KhaMosh Rahegi
Sine Se Laga Lunga To Ye Kuch Na Kahegi
ArMaan Wo Kya Degi Jo Tadpa Na Sakegi
Ye Ankhein Hain Thehri Hui Chanchal Wo Nigahein
Ye Haath Hein SehMe Hai Aur Mast Wo Baahein
Parchhayi To Insaan Ke KaaM Aa Na Sakegi
In Honthon Ko Main Kuch De Na Sakoonga
Is Zulf Ko Main Haath Mein Bhi Le Na Sakoonga
Uljhi Hui Raton Ko Ye Suljha Na Sakegi...!

Aug 16, 2017 at 12:08
Category: love
Poetry / Sad
Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera Kion Bujh Gaya Awargi
Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera kion bujh gaya awargi
Is dasht mein ik shehar tha wo kia huwa awargi
Kal shab mujhe Be shakal see awaz ne chonka diya
Mein ne kaha tu kon hai us ne kaha awargi
ik tu ke sadiyoon se mere humrah bhi humraaz bhi
Ik mein ke tere naam se na Ashna Awargi
Yeah durd ki tanhaiyan yeah dasht ka weeran safar
Hum log to ukta gay apni suna awargi
Ik ajnabi jhonkay ne jab poocha mere ghum ka sabab
Sehra ki tapti rait per mein ne likha awargi
Kal raat tanha chaand ko dekha tha mein ne Khawab mein
Mohsin Mujhe raas aye gi shayad sada awargi...!

Aug 08, 2017 at 22:08
Category: sad
Poetry / Sad
Chupaye Dil Mein Gamon Ka Jahan Baithey Hain
chupaye dil mein gamon ka jahan baithey hain
tumhari bazm mein hum bezuban baithey hain
yeh aur bat k manzil pe ham pohanch na sakey
magar yeh kam hai k raahon ko chhaan baithey hain
ab aur gardish-e-taqdir kya sataye gi
luta k ishq mein naam-o-nishan baithey hain
hai maikadon ki baharon se dosti Saghar
baraye had e yaqin o guman baithey hain...!

Aug 07, 2017 at 14:08
Category: sad
Poetry / Love
Dil O Nigah Ki Shartain Bhi Haarna Hongi
khud apney dil main khowishain utaarna hongi
abhi to jaag k raatain guzaarna hon gi
terey liye mujhe hans hans k bolna hoga
merey liye tuje zulafain sanwarna hongi
teri sada se tujhi ko tarashna hoga
hava ki chaap se shakalain ubhaarna hongi
abhi to teri tabyat ko jeetnay k liye
dil o nigah ki shartain bhi haarna hongi
terey vasal ki khowishon k tez rangon se
terey firaaq ki subhain nikhaarna hongi
yeh shairy yeh kitabain yeh ayatain dil ki
nishaniyan yeh sabhi tujh pe vaarna hongi...!

Aug 06, 2017 at 12:08
Category: love
Poetry / Love
Khud Apney Dil Main Khowishain Utaarna Hongi

2 Like ·
Jul 30, 2017 at 11:07
Category: love
Poetry / Sad
Koi Mousam Ho Dil Main Hai Tumhaari Yaad Ka Mousam
Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam
ke badla hee nahi jana, tumharay baad ka mousam
Nahi to aazma kay daikh lo kaisay badalta hai
tumharay muskuranay say dil-e-nashaad ka mousam
Ruton ka qaida hai waqt per yeh aati jati hain
hamaray shehar main kyun ruk gaya faryaad ka mousam
Kahin say us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
to us kay sath badlay ga dil-e-barbaad ka mousam
Qafas kay baam-o-dar main roshni si ati jati hai
chaman main aagaya shayad lab-e-azaad ka mousam
Na koi gham khizan ka hai, na khuahish hai bahaaron ki
hamary saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam...!!!

Jul 26, 2017 at 10:07
Category: sad
Social Wall / Videos
Hindi Music Videos
Dil Mera - Panjabi Hit Squad
·
0 Like ·
Jul 25, 2017 at 03:07
Category: videos
Sponored Video