Search
Sms / Ghazal
Ijunoon
Har Yaad Ko Youn Zakham Banatay Nahin Dil Ka,
Har yaad ko youn zakham banatay nahin dil ka,
har teer ko paivest rug-e-jaan nahin kertay,
Yeh masla ab ahal-e-mohabbat ka hai apna,
Mertay hain tou kuch aap pah ahsaan nahin kertay,
Khat layain na layain tera hum naama bron ko,
Bus daikhtay rehtay hain paraishan nahin kartay,
Aisay bhi tou rakhtay nahin khanjar peh gulo ko,
Itna bhi tou qatil ko pashaiman nahin kartay,
Kub shamain jalata hai shab-e-mah main koi,
Tu aya tou ham ghar main charaghan nahin kartay,
Logon ko guman tuk nahin hota hay junoon ka,
Hum dil ki tarah chaak-e-garaiban nahin kertay,
Hum tu chalay aatay hain yaaro dar-e-janan,
Ghalib ki tarah minnat-e-darban nahin kertay

·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Yaad Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Dil Mein Ab Dard E Mohabbat K Siwa Kuch Bhi Nahin
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin
Woh tou mit ker mujhey mil hi gaye rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin...
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin
Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab
Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin
Woh tou mit ker mujhey mil hi gaye rahat werna
Zindagi ranj-o-musibat k siva kuch bhi nahin...
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Dard Khuda Ibadat Mohabbat
Advertisement
Sms / Ghazal
Ijunoon
Bohat Hi Yaad Aata Hai Mere Dil Ko Tarpaata Hai
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur bey khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees uthti hai k jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai tou teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
tujhe jab yaad karte hain tou Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai...

Woh Pathar Dil Sahi Hamara Bhi Ye Dawaa Hai
Woh pathar dil sahi hamara bhi ye dawaa hai
Hamaray lab jinhe chu lein wo pathar bol uthay
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Bey khabar hanste rahe aur ba khabar rotay rahe
Mey khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath mein agar jaam diya jaye
Hum karain baat daleelon se tou rud hoti hai
Iss ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir mein tere hone ka charcha tha
Hamaray lab jinhe chu lein wo pathar bol uthay
Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia
Bey khabar hanste rahe aur ba khabar rotay rahe
Mey khanay ki tauheen hai rindo ki hatak
Kam zarf ke haath mein agar jaam diya jaye
Hum karain baat daleelon se tou rud hoti hai
Iss ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai
Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha
Magar bazm-e-anasir mein tere hone ka charcha tha
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Honton Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Jo Bhi Iss Dil Peh Guzarti Hai Wo Sab Janta Hai
Jo bhi iss dil peh guzarti hai wo sab janta hai,
Koi jaane ke na jane mera rab janta hai !
Jaaney kab usko faqiron peh taras aajye,
Kuchh milega ye mera dast e talab janta hai !
Hazaar bar usse tod ke aajaun mai reet,
Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !
Mai usko bhool ke zinda rahunga kaise ae saqi
WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai !
Mera hasna use achha nahi lagta shayad,
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !!

2 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Bhool Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Jo Khusboo Ban Ke Dil Mein Bas Gaya Hai
Jo khusboo ban ke dil mein bas gaya hai,
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !
WO chehra gam se kumlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !
Tabassum hai labon pe dil mein nafarat,
Yahi iss daur ka naks e wafa hai !
Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom yeh kaisi saza hai !
Zamana chup hai aur bole hai zakhmi
Yah uski bezubaani ka sila hai !!
Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai !
WO chehra gam se kumlane na paye,
Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai !
Tabassum hai labon pe dil mein nafarat,
Yahi iss daur ka naks e wafa hai !
Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai,
Nahin maloom yeh kaisi saza hai !
Zamana chup hai aur bole hai zakhmi
Yah uski bezubaani ka sila hai !!
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Ahl E Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain
Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye
Yaad Ki Shama Jala Lete Hain
Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane
Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain
Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan
Kitne Afsane Suna Lete Hain
Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye
Apni Hasti Ko Mita Lete Hain
AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain
Dil Ki Mehfil Main Ujaalon K Liye
Yaad Ki Shama Jala Lete Hain
Jalte Mausum Main Bhe Ye Deewane
Kuch Haseen Phool Khila Lete Hain
Apni Aankhon Ko Bana Ker Ye Zubaan
Kitne Afsane Suna Lete Hain
Jin Ko Jeena Hai Mohabbat K Liye
Apni Hasti Ko Mita Lete Hain
AHL-E-Dil Youn Bhe Nibah Lete Hain
Dard Seene Main Chupa Lete Hain
·
1 Like ·
Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
Tags: Mohabbat Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Usey Yaad Ker K Na Dil Dukha,
Usey yaad ker k na dil dukha, jo guzar gia wo guzar gia,
kahan lout ker koi aye ga, jo guzar gia wo guzar gia,
Nayai subah hay, nayai shaab hay, naya shahar hay, naya naam hai,
Woh chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gia woh guzar gia,
Koi aye ga koi jaye ga, koi jaye ga koi aye ga,
Suno raston ki sada, jo guzar gaya wo guzar gia,
Teray paas tera habai hay, jo nahin mila woh naseeb hay,
Koi phool kehta hai muskura, jo guzar gai woh guzar gia,
Mujhey pat jharron ki kahanian na suna suna kay udaas ker,
Naye mausamon ka pata bata, jo guzar gia wo guzar gia,
Yahan aetbar-o-yaqeen hai, yeh haqiqaton ki zameen hay,
Zara dair ka koi khuwab tha, jo guzar gia wo guzar gia

Tags: Bhool Yaad Dil
Sms / Ghazal
Ijunoon
Pyaas Vo Dil Kii Bujhaane Kabhii Aayaa Bhii Naheen
Pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii naheen
kaisaa baadal hai jiskaa koii saayaa bhii naheen
beruKhii iss se bari aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hamen us ne sataayaa bhii naheen
roz aataa hai dur-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen
sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen
tum tou shaayad ho qateel aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen

Sponored Video