Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ek Basti Thi Dil Walon Ki
Ek basti thi dil walon ki,
Jahan "Chand" or "Suraj" baste thay
Sara din wo angan men hansa khela karte thay
Ek dosre per dil-o-jan se marte thay
Phir ek din yun hua wo dono apis mein ruth gaye
Jo sapne thay wo toot gaye
Ab chand wahan tab ata hay, jb suraj chala jata he,
Jab suraj ata hy tb chand so jata he,
Badaal ye kehte hen,ye suraj uljha uljha rehta he,
Chand k paas to taare hen ye suraj tanha rehta hai
Ek basti thi dil walon ki

·
1 Like ·
Feb 02, 2017 at 10:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki
Had ye k Dharakne Ki Jasarat Bhi Nahi Ki
Tabeer Ka Ayzaaz Hua Hai Ussey Haasil
Jis ne Mere Khuabon Mein Sharakat Bhi Nahi Ki
Ulfat To Bari Baat Hai Humse To Sar-e-Shehar
Logon Ne Kabhi Dhang se Nafrat Bhi Nahi Ki
Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhate Hain Jinhon Ne
Do Chaar Qadam Tay, Yeh Musaafat Bhi Nahi Ki
Kya Apni Safai Mein Bayaan Dete K Humne
Na Karda Gunaah ki Wazaahat Bhi Nahi Ki
Khaamosh Tamashayi Ki Maanind Sar-e-Bazm
So Zakham Sahay Dil Pe , Shikayat Bhi Nahi Ki
is Ghar K Sabhi Log Mujhey Chorney Aaye
Dehleez Talak Uss Ne Yeh Zehmat Bhi Nahi Ki
Ussne Bhi Ghulamoon Ki Safoon Mein Humein Rakha
is Dil Pe Kabhi Jis Ne Hakoomat Bhi Nahi Ki

Jan 24, 2017 at 16:01
Category: sad
Advertisement
Articles / Health
Ijunoon
Fizaye Allodgi Bhi Dil Ke Dooray Ka Sabab Banti He
فضائی آلودگی بھی دل کا دورہ پڑنے کے خطرے میں اضافہ کر دیتی ہے۔ امریکن میڈیکل ایسوسی ایشن اور پیرس کارڈیو ویسکولر ریسرچ سینٹر کی تحقیقاتی رپورٹ کے مطابق آلودہ ماحول میں سانس لینے سے بھی دل کا دورہ پڑنے...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jan 22, 2017 at 08:01
Category: health
Articles / Health
Ijunoon
Bagher Dil Ki Dharkan K Insaan
دل سے یاد کرنا، دل کی دھڑکن رک جانا یا دل کی گہرائیوں سے دعا دینے جیسی ساری باتیں امریکی شہری کریک لیوس پر پوری نہیں اترتیں کیونکہ کریگ ایک ایسا انسان ہے جو دل اور دھڑکن کے بغیر بھی زندہ ہے۔ پچپن سال...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jan 06, 2017 at 14:01
Category: health
Articles / Health
Ijunoon
Dil Ki Dharkan Ke Sath Re Charge Honey Wala Pais Mekar
دل کی دھڑکن میں مدد دینے والے پیس میکر اب اسی دل کے دھڑکنے سے ری چارج ہوا کریں گے۔ امریکا میں بنائے گئے پیس میکر کے پروٹو ٹائپ ماڈل کا کامیاب تجربہ کیا گیا ہے۔ دل کی دھڑکن کے ساتھ ری چارج ہونے والا یہ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jan 02, 2017 at 16:01
Category: health
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Ka Durd Pao Gey Wafa Ker Key
Dil Ka Durd Pao Gey Wafa Ker Key
Hum Ney Kia Paya Tajurba Ker Key
Terey Nam Ka Tauq Hey Galay Main Aj Tuk
Hum Ney Kia Paya Souda Ker Key
Log Suntey Hain Dimagh Ki Baat
Hum Ney Kia Paya Dil Lagi Ker Key
Us Ko Malum Hi Nahen Yeh Shayad
Haar Gai Hum Pass_E_Wafa Ker Key
Shab_E_Furqat Sey Jag Rahey Hain
Hum Ney Kia Paya Us Key Nam Zindagi Basar Ker Key

2 Like ·
Jan 02, 2017 at 08:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Dil Kii Divar O Dar Pe Kya Daikha
dil kii divar-o-dar pe kya daikha
bas teraa naam hii likha daikha
teri aakhon men hamne kya daikha
kabhi qatil kabhi Khuda daikha
apni suurat lagi pyari si
jab kabhi hamne aina daikha
haye andaz tairay rukne ka
vaqt ko bhii ruka ruka daikha
tere jane men aur ane men
hamne sadiyon ka fasala daikha
phir na aya Khayal jannat ka
jab tere ghar ka raasta daikha
bas teraa naam hii likha daikha
teri aakhon men hamne kya daikha
kabhi qatil kabhi Khuda daikha
apni suurat lagi pyari si
jab kabhi hamne aina daikha
haye andaz tairay rukne ka
vaqt ko bhii ruka ruka daikha
tere jane men aur ane men
hamne sadiyon ka fasala daikha
phir na aya Khayal jannat ka
jab tere ghar ka raasta daikha
·
1 Like ·
Jan 01, 2017 at 08:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay K Liye Aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhanay k liye aa
aa phir e mjhy choar k jany k liye aa
pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm o raah dunya hi nibhany k liye aa
kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa
ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa

Dec 30, 2016 at 16:12
Category: sad
Poetry / Love
Naqsh E Khayal Dil Se Mitaya Nahi Hanoz
naqsh-e-Khayal dil se miTaya nahi hanoz
bedard main ne tujhko bhulaya nahi hanoz
wo sar jo teri rahguzar men tha sajdaraiz
main ne kisee qadam pe jhukaya nahi hanoz
maharab-e-jaan men tuu ne jalaya tha Khud jise
sine ka wo chirag bujhaya nahin hanoz
behosh hoke jald tujhe hosh a gaya
main badnaseeb hosh men aya nahi hanoz
mr kar bhi ayegi ye sada qabr-e-"Josh" se
bedard main ne tujhako bhulaya nahi hanoz

Dec 01, 2016 at 16:12
Category: love
Sponored Video