Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Baat Din Ki Nahi Mujhe Raat Se Dar Lagta Hai

Ghar Kacha Hai Mera, Mujhe Barsat Se Darr Lagta Hai,
Tere Tohfy Ne Diye Mujhe Khoon K Aansu
Zindgi Ab Teri Har Sogaat Se Dar Lagta Hai,
Chhoro Piyar Ki Batain Koi Or Baat Karo
Ab To Piyar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai,
Meri Khatir Tu Kahin Badnaam Na Ho Jaye
Es Liye Teri Har Mulaqat Se Dar Lagta Hai,
Apno Mein Reh Kar Kuch Aisy Zakham Khaye
Humein Ay Dost Apni Zaat Se Dar Lagta Hai !

·
1 Like ·
Jan 04, 2018 at 20:01
Category: sad
Poetry / Love
So Dar Chhor Ke Teri Ik Haseen Karaamat Chaho
Sirf Tere Haathon Ko Choomo Teri Bait Chaho
So Dar Chhor Ke Teri Ik Haseen Karaamat Chaho
Thoray Thoray Din Katay Hain Kitni Hee Galyon Mein
Aakhri Baar Tere Dil Mein Ay Dost Sakoonat Chaho
Aa Mein Koi Dhang Sikhaon Tujhko Baichaini Ka
Tera Dost Hun Apni Si Teri Bhi Haalat Chaho
Tere Zehen Ki Chaandi Aur Tere Badan Ka Sona
Apna Jism Luta Kar Bhi Mein Sirf Ye Daulat Chaho
Ooper Waala Pooch Hee Baithay Mujhse Tou Mein Buzdil
Tujh Se Khul Kar Baatain Kar Saknay Ki Himmat Chaho
Be Gharzi Ki Aakhri Had Per Banaa Qateel Jo Saathi
WOhi Tou Hai Ik Shaks Jisay Mein Binaa Zaroorat Chaho....!

Oct 25, 2017 at 12:10
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Diyar E Ulfat Mei Ajnabi Ko Safar Hai Dar Pesh Zulmaton Ka
TUM AISA KARNA KOI JUGNU KOI SITARA SANBHAAL RAKHNA,
MERAY ANDHERON KI FIKR CHHORO BUS APNAY GHAR KA KHAYAL RAKHNA
DIYAR-E-ULFAT MEI AJNABI KO SAFAR HAI DAR PESH ZULMATON KA,
KAHIN WO RAAHON MEI KHO NA JAAEY ZRA DAREECHAY UJAAL RAKHNA,
WO RAAH O RASM HE NHI TO PHIR YEH ASASAY KIS KAAM K TUMHARAY,
IDHAR SAY GUZRA KABHI TO LAY LOON GA TUM MERAY KHAT NIKAAL RAKHNA,
BICHARNAY WALAY NAY WAQT-E-RUKHSAT KUCH eS NAZAR SAY PALaT K DEKHA,
K JESAY WO KEH RAHA HO TUM APNAY GHAR KA KHAYAL RAKHNA...!

Aug 30, 2017 at 14:08
Category: sad
Poetry / Sad
Tamam Shab Yunhi Daikhen Gi Soy E Dar Ankhain
tamam shab yunhi daikhen gi soy-e-dar ankhain
tujhe ganva k na soyen gi umr bhar ankhain
tuloo-e-subah se pehley hi bujh na jayen kahin !
yeh dasht-e-shab mein sitaron ki humsafar ankhain
sitam yeh kam to nahi dil giraftagi k liye
main shehar bhar mein akaila, idher udher ankhain
shumar uski sakhavat ka kia karain k wo shakhs
chiraag baantta phirta hai chean kar ankhain
wo paas tha to zamaney ko dekhti hi na thein
bicher gaye to hoe phir se darbadar ankhain
abi kahan tuje pehchanney ki zid kijey
abi to khud se b thehri hain bekhaber ankhain
main apney ashk bachaa longa kis tarha Mohsin ?
zamana sang bakaf hai to sheeshagar ankhain...!

Aug 06, 2017 at 00:08
Category: sad
Poetry / Sad
Paamaal Ho Gay Teray Dar Pr Parray Hoe
Paamaal Ho Gay Teray dar Pr Parray Hoe
Jaisay Shajar Se Toot K Pattay Giray Huay
Naqadri e Zmana Humein Maloom Hai Magar
Yaaron Se Phir Fazool K Shikway Gilay Huay
Mehroomiyon K Bojh Se Gardan Jhuki Hui
Nakamiyon Ki Gard Se Chehray Attay Huay
Shayad Tumhein Khabar Ho Btao Wo Qafilay
Thehray Kahan Thy Be Sar o Saaman Chalay Huay
Janay Kidhar Chalay Gaey Saray Wo Humsafar
Hum Rahguzar Mein Reh Gaey Tanha Kharay Huay....

Jun 22, 2017 at 18:06
Category: sad
Poetry / Sad
Dar E Qafas Se Paray Jub Sabaa Guzarti Hai
DaR-E-Qafas Se Paray JuB SaBaA Guzarti Hai
Kisay KhaBaR K Aseroon PaR Kia Guzarti Hai
TaaLuQ KabHii es QaDaR NaA ToOTeY thay
K TeRii YaAd Bhii DiL SeY KhaFaA Guzarti Hai
WoO Ab MiLeY B To MiLTaA Hai es TaRHaA JaiSeY
Bujhay Chiraghoon Ko Choo KaR HaWaA Guzarti Hai
FaQeeR KuB K Gay JanGLoOn Ki SimT MaGaR
GaLii SeY Ajj Bhii Unn Kii SaDaA Guzarti Hai
Ye AhL-E-HijjAR Ki basti Hai, ahthyat Se ChaL
Musibatoon Kii YaHaN InThaA Guzarti Hai
BhanWaR Se BaCh To GayiN KaShTiYaAn MaGaR Ab K
DiLoOn Ki KhaiR K Mooj-E-BaLaA Guzarti Hai
NaA PoOcH ApNii Ana Kii BaghawataiN MoHSiN
DaR-E-QaBoOL SeY BaCh KaR DUA Guzarti Hai

Jun 15, 2017 at 06:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Es Dar Pe Thikana Kabhi Uss Raah Main Deera
es Dar Pe Thikana Kabhi Uss Raah Main Deera
Hum Khaana Badashoon Ka Yehi Sham Sawera
Be Mehar Duniya Ka Gila Hai Tere Lab Pe
Ab Kaisay Bataon Tujhe Main Bhi Nahi Tera
Woh Chaar Qadam Hai Yeh Kiran Ham Safri Ki
Phir Aagay Wohi Shahr-e- Judai Ka Andhera
Mil Jaye Jo Ghurbat Main Faraz Ab Wohi Hamdam
Ho Jaye Jahan Sham Wahin Rehan Basaira

2 Like ·
May 18, 2017 at 03:05
Category: sad
Social Wall / Videos
English Music Videos
Avicii - Dar Um Jeito (We Will Find a Way) ft. Santana
·
0 Like ·
May 04, 2017 at 01:05
Category: videos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jab Uss Ke Dar Se Utha Malaal Koi Na Tha
jab uss ke dar se utha, malaal koi na tha
ke mairi jholi maiN baqi sawaal koi na tha
bahaar aai to apnay siwaey zindaaN ke
tamaam sheHer maiN paraishaan haal koi na tha
kahaaN se la ke bichaye tumari raaH maiN phool
ke daal daal to kya, khal khal koi na tha
wo dinn hi theek the jab dill maiN rut badalnay ka
gumaan o khuvaab, yaqeen o khayaal koi na tha
yaqeen kar ke taire aankh uthne se pehlay
mairri nigaaH ke sheeshay maiN jaal koi na tha
huwa jo yooN to ye khoobi tairay hunar ki thi
marri wafaooN maiN mairra kamaal koi na tha

Apr 01, 2017 at 07:04
Category: sad
Sponored Video