Search
Poetry / Political
Ay Chand Yahan Na Nikla Kr
Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr,
Yahan ulti ganga behti hai,
es dais main andhe hakim hain,
Na darte hain na nadim hain,
Na logon k wo khadim hain,
Hai yahan pe karobar boht,
es dais main gurday biktay hain,
Kuch log hain alli shan boht,
Aur kuch ka maqsad rotti hai,
Wo kehtay hain sab achha hai,
Maghrib ka raaj he sacha hai,
Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr...!
Be naam se sapne dikhla kr,
Yahan ulti ganga behti hai,
es dais main andhe hakim hain,
Na darte hain na nadim hain,
Na logon k wo khadim hain,
Hai yahan pe karobar boht,
es dais main gurday biktay hain,
Kuch log hain alli shan boht,
Aur kuch ka maqsad rotti hai,
Wo kehtay hain sab achha hai,
Maghrib ka raaj he sacha hai,
Ay chand yahan na nikla kr,
Be naam se sapne dikhla kr...!
·
4 Like ·
Dec 29, 2017 at 08:12
Category: political
Poetry / Love
Ay Chand Suno
Ay Chand Suno
Kuch Baat Kaho
Teri Baat Chaly Meri Raat Katay
Bat Karo Us Basti Ki
Baadal,Barish Or Masti Ki
Ya Baat Karo Us Bandhan Ki
Payal,Chorri Or Kangan Ki
Ya Baat Karo Un Sapno Ki
Jinhe Tum Bhi Socha Kartay Ho
Khawabo Main Poja Kartay Ho
Ya Hawa Main Urtay Anchal Ki
Jo Jab Lehraye Kuch Yad Dilay
Tera Chain Churaye Teri Neend Uraye
Tum Mujh Se Kaho Kuch Baat Karo
Teri Baat Chalay Meri Raat Katay...!
Kuch Baat Kaho
Teri Baat Chaly Meri Raat Katay
Bat Karo Us Basti Ki
Baadal,Barish Or Masti Ki
Ya Baat Karo Us Bandhan Ki
Payal,Chorri Or Kangan Ki
Ya Baat Karo Un Sapno Ki
Jinhe Tum Bhi Socha Kartay Ho
Khawabo Main Poja Kartay Ho
Ya Hawa Main Urtay Anchal Ki
Jo Jab Lehraye Kuch Yad Dilay
Tera Chain Churaye Teri Neend Uraye
Tum Mujh Se Kaho Kuch Baat Karo
Teri Baat Chalay Meri Raat Katay...!
·
1 Like ·
Dec 10, 2017 at 06:12
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Ae Chand Tum Kyun Tanha Ho ?
Ae chand tum kyun tanha ho ?
asman ki aagosh mein to itne sitare
bikhre parre hain
lakin phir bhi
ae chand tum kun tanha ho
yahan to har koi kisi ka sathi hai
per
tumhara sathi kon hai
kya ye aasman
kya ye tareek raat
kya ye badal
kya ye khamoshiyan
ya phir
Tanha log?
asman ki aagosh mein to itne sitare
bikhre parre hain
lakin phir bhi
ae chand tum kun tanha ho
yahan to har koi kisi ka sathi hai
per
tumhara sathi kon hai
kya ye aasman
kya ye tareek raat
kya ye badal
kya ye khamoshiyan
ya phir
Tanha log?
·
1 Like ·
Nov 26, 2017 at 08:11
Category: sad
Social Wall / Videos
Hindi Music Videos
Eid Wala Chand - Rajan Batra
·
0 Like ·
Nov 06, 2017 at 02:11
Category: videos
Poetry / Love
Mujhe Bechain Karta Hai Tumhara Chand Sa Chehra
Fizaoo main rang bharta hai tumhara chaand sa chehra…
Mujhe bechain karta hai tumhara chand sa chehra…
Usi ehsaas ka nasha liye phirta hoon duniya main akela…
Meri khatir sanwerta hai tumhara chand sa chehra…
Mujhe ye chandni raatein buhut bekaaif lagti hain…
Jab meri aankhoun main ubharta hai tumhara chand sa chehra…
Koi chehra meri aankhoun ko khera nahin ker sakta…
Mujhe madhosh karta hai tumhara chand sa chehra…
Meri basti se shayad es liyay tum door rehte ho…
Gehan lagne se darta hai tumhara chand sa chehra…
Tawaja kis qadar dene laga hun aaj kal khud per…
Mere charoun taraf jab siyah raat aati hai…
To phir mujh mein uterta hai tumhara chand sa chehra…
Mere se yun hi TUM apni dosti rakhna…
Andhere main nikharta hai tumhara chand sa chehra...!

Sep 28, 2017 at 20:09
Category: love
Poetry / Sad
Yeh Thaka Thaka Sa Jo Chand Hai
Yeh thaka thaka sa jo chand hai
Yah tou khawb hai,kisi aankh ka,
Jissay jagnay ki saza mili,
Yeh jo chand hai,yeh azaab hai,
Woh azaab,
jis ney mila dia hai gulaab lamhon ko khak mein,
Yeh jo chand hai,yeh jawaab hai,
Kisi es tarah kay sawaal ka,
Kah jo aaj tak na utha kabhi kisi zahn mein,
Yeh jo chand hai,
Yeh tou baab hai kisi dard ka,
Kisi hijr ka,kisi wasl ka,
Kisi zard zard si fasl ka,
Yeh thaka thaka sa jo chand hai,
Kabhi ban parray tou yeh es sey pooch k daikhna
Issay gahri gahri si neend sey,
Bhala kis ney aa kay jaga dia?
Issay rog kis ney laga dia...?

Sep 11, 2017 at 18:09
Category: sad
Social Wall / Videos
Ijunoon
Chand Meri Zameen Phool Mera Watan
·
0 Like ·
Sep 08, 2017 at 10:09
Category: videos
Poetry / Love
Aankh Ne Raat Jab Ek Chand Mukammal Daikha
Aankh ne raat jab ek chand mukammal daikha
pher samandar ko bhe hote hoe pagal daikha
raat bhar dair talak kahi teri batain khud se
raat bhar samne chehra tera pal pal daikha
aaj yadoun ki ghata toot k barsi dil par
aaj ham ne bhe barasta hoa baadal daikha
hafza chean liya ham se gham-e-duniya ne
aaj ham bhool gaey usko jise kal daikha
eak shaks tha k bohat hansta tha
aaj uski aankhoun se bhe behta hoa kajal daikha...!

Aug 26, 2017 at 20:08
Category: love
Poetry / Sad
Chand Ko Suraj Se Piyar Ho Gaya
Jo na hoa kabhi woh ik raat ho gaya
Chand ko suraj se piyar ho gaya
Chand nikla talash may or kho gaya
Chand k jatay hi asman udaas ho gaya
Suraj to jalta hi raha intezar me or aag ho gaya
Suraj ki khataa se chand k liye andhera ho gaya
Chand nay ki bewafai or taroun k sath ho gaya
Sila mila kuch es tarha dono ko
Kartay rahy be rukhi humesha k liye
Aik ban gaya din or dosar raat ho gaya...!

Aug 17, 2017 at 00:08
Category: sad
Sponored Video