Search
Poetry / Love
Kuch Door Hamare Saath Chalo
Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khud ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Aashik mager
Har baat poorani kehdein ge...
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khud ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Aashik mager
Har baat poorani kehdein ge...
·
1 Like ·
Jun 18, 2015 at 17:06
Category: love
Poetry / 0
Sujda
Saanso ! Zara Aahista Chalo
rooz taaron ki numaaish mein khallal parta hai
chaand pagal hai! andhere mein nikal parta hai
ek deewanaa musaafir hai meri aankhon mein
waqt be waqt thahar jataa hai chal parta hai
apni taabeer k chakkar mein mera jagta khwaab
rooz sooraj ki tarah ghar se nikal parta hai
rooz pathar ki himaayat mein ghazal likhte hain
roz sheeshon se koi kaam nikal parta hai
uski yaad aai hai saanso ! zara aahista chalo
dharkanon se bhi ibaadat mein khalal partaa hai

Apr 30, 2015 at 04:04
Category: 0
Advertisement
Poetry / 0
H.u.rehman
Chalo Ek Bar Phir Se Ajnabi Banjaen, Hum Dono
Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono
Na mai tum se ummed rakhon dil nawazi ki
Na tum dekho mujhe galat andaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan barhay teri baton se
Na zaaher ho teri kashmaksh ka raaz ankhon se
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai pesh qadmi se
Mujhe bhi log kahete hain ke ye jalwe puranay hain
Mere humrah bhi ruswaien hain mere maazi ki
Tumhare sath bhi guzri huwi raton ke saye hain
Mere sath bhi guzre huwe zakhmon ke saye hain
Ta’arrfu rog banjaye to uska bholna bahetar
Ta’alluq boj ban jaye to uska tudna bahetar
Wo afsana jise anjam tak lana na mumkin ho
Use ek khobsurat mod dekar chodna bahetar
Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono
Poet : Saaher Loudhiyanwi

Apr 17, 2015 at 08:04
Category: 0
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Chalo Kuch Dair
Chalo Khuch Dair hanstey hain
Usi ko yaad kartey hain
Jisey hum zeest kehtay thy
Ke laina sans bhi jis ke bina
Humain ik jurm lagta tha
Ke sang jiss k har ik lamha
Khush-o-khuram lagta tha
Jisey hum zindagi kehtey
Jisey they shayari kehtey
Ghazal ka qafia tha jo
Nazm ka jo ke unwan tha
Woh lehja jab badalta tha
Qayamat khaiz lagta tha
Waqt se agay chalta tha
Bala ka teez lagta tha
Jo saya ban ke rehta tha
Juda ab uss ke rastay hain
Chalo khuch dair hanstey hain
Usi ko yaad kartey hain
Usi ko yaad kartey hain
Jisey hum zeest kehtay thy
Ke laina sans bhi jis ke bina
Humain ik jurm lagta tha
Ke sang jiss k har ik lamha
Khush-o-khuram lagta tha
Jisey hum zindagi kehtey
Jisey they shayari kehtey
Ghazal ka qafia tha jo
Nazm ka jo ke unwan tha
Woh lehja jab badalta tha
Qayamat khaiz lagta tha
Waqt se agay chalta tha
Bala ka teez lagta tha
Jo saya ban ke rehta tha
Juda ab uss ke rastay hain
Chalo khuch dair hanstey hain
Usi ko yaad kartey hain
·
1 Like ·
Feb 26, 2015 at 02:02
Category: sad
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Chalo Aisa Karen
Chalo aisa karen mil k sitary bant lete hyn
Zarurat k mutabiq sahary bant lete hyn
Mohabbat karny walon ki tijarat b anokhi hy
Munafa chorh dete hyn khasary bant lete hyn
Agar milna nahi mumkin tou lehron par qadam rakh kar,
Abhi Dariya-e-Ulfat k kinary bant lete hyn
Meri jholi main jitne b wafa k phool hyn inko,
Ekathy beth kar sare baant lete hyn
khuloos k Ilawa paas apne kuch nahi 'Faraz',
Isi daulat ko hum qismat k maarey bant lete hyn.

Feb 11, 2015 at 08:02
Category: friendship
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Chalo Kuch Baat Karte Hain
Chalo kuch baat kartey hain...
Us kay shaher main basar
Hum ek raat kartey hain
Sochtey hain sakoon apnaa
Phir say dawaam paa jaye
Zindagee main jo us kay sang
Mayasar, shaam aa jaye
Us kee hon, humaaree hon
Mohabbat main sabhee batain
Jo sab kay lab peh jaree hon
Enhee baton kee khushbu say
Hum apnee raat mahkayen
Us kay aaraz o lab kee
Zufashaanee say chamkain
Har ek tareek lamhey ko
Jo us kay sang nahee beetaa
Mohabbat khail baithaa hoon
Magar us ko nahee jeetaa
Ab yaadon main rahtaa hoon
Jo us ko kah sakaa naa tab
Woh sab batain main kahtaa hoon
Kabhi ghazlon main, shayron main
Shab kay aakharee pahron main
Usee ko sochataa rahtaa hoon
Jo koi dost aa jaye
Usay itnaa hee kahta hoon
Chalo kuch baat kartey hain....
Us kay shaher main basar
Hum ek raat kartey hain
Sochtey hain sakoon apnaa
Phir say dawaam paa jaye
Zindagee main jo us kay sang
Mayasar, shaam aa jaye
Us kee hon, humaaree hon
Mohabbat main sabhee batain
Jo sab kay lab peh jaree hon
Enhee baton kee khushbu say
Hum apnee raat mahkayen
Us kay aaraz o lab kee
Zufashaanee say chamkain
Har ek tareek lamhey ko
Jo us kay sang nahee beetaa
Mohabbat khail baithaa hoon
Magar us ko nahee jeetaa
Ab yaadon main rahtaa hoon
Jo us ko kah sakaa naa tab
Woh sab batain main kahtaa hoon
Kabhi ghazlon main, shayron main
Shab kay aakharee pahron main
Usee ko sochataa rahtaa hoon
Jo koi dost aa jaye
Usay itnaa hee kahta hoon
Chalo kuch baat kartey hain....
·
1 Like ·
Jan 17, 2015 at 05:01
Category: friendship
Sms / Double Meaning
Chalo Kisi Veran Jagah Chalte Hain
Larka: Chalo Kisi veran Jagah chalte hain
Larki: Koe aisa waisa kaam tou nahe karo ge
Larka: Nahe
Larki: Phir rahne do
Larki: Koe aisa waisa kaam tou nahe karo ge
Larka: Nahe
Larki: Phir rahne do
·
4 Like ·
Jan 07, 2015 at 00:01
Category: double-meaning
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Chalo K Koocha E Dildaar Chal K Daikhte Hain
·
1 Like ·
Nov 26, 2014 at 17:11
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Chalo Un Manzaroon K Sath Chalte Hain
·
2 Like ·
Nov 11, 2014 at 20:11
Category: love
Sponored Video