Search
Poetry / Love
Hafeez Ur Rehman
Bay Zameen Logon Ko
Bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
badnaseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
badguman shahron mein
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhnay dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
tor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dain
saath chalnay walon ki raakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dain
raston ki marzi hay
bay qarar ankhon ko
badnaseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
badguman shahron mein
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhnay dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
tor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dain
saath chalnay walon ki raakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dain
raston ki marzi hay
·
1 Like ·
Nov 18, 2018 at 15:11
Category: love
Jokes / Miscellaneous
Ak Motiwala
Bay Wafa Shor
aik dafa aik orat aik wakeel kay pass jaty hay aur khayti hay kay main apny shor say talak lana chate hon.wo bay wafa shor hay. wakeel us say puchta hay.is ka kia saboot hay. to orat jawab date hay kay ya kia kam saboot hay kay wo mera bacha ka bap nahein hay.ha ha ha ha
·
2 Like ·
Nov 04, 2018 at 11:11
Category: miscellaneous
Advertisement
Poetry / Relegious
Nimrah Butt
Balaghal Ula Bay Kamaal E He
Sar-e-Laa_Makaa''n Sey Talab Hui...
Soo-e-Muntaha Wo Chala Nabi (S.A.W)....
Koi Hadd Hai Un K Urooj Ki....
''''BALAGHAL-ULA BAY KAMAAL-E-HE''''
Rukh-e-Mustafa (S.A.W) Ki Ye Roshni....
Ye Tajalliyoo''n Ki Ham-Hami...
K Har Ek Cheez Chamak Uth''thi....
''''KASHA-FADDU-JA BAY JAMAAL-E-HE''''
Ye Kamaal-e-Haqq-e-Muhammadi (S.A.W)
K Har Ek Pay Chashm-e-Karam Rahi...
Sar-e-Hashar Nara-e-Ummati...
"HASU-NAT JAMIE-O-KHISAAL-E-HE''''
Ba_Khuda Hai Ishq-e- Muhammadi (S.A.W)
Mera Zikar-o-Fikar He Bass Yehi....
''''SALLU AALAY-HE WA AALAY HE''''
''''SALLU AALAY-HE WA AALAY HE''''
Soo-e-Muntaha Wo Chala Nabi (S.A.W)....
Koi Hadd Hai Un K Urooj Ki....
''''BALAGHAL-ULA BAY KAMAAL-E-HE''''
Rukh-e-Mustafa (S.A.W) Ki Ye Roshni....
Ye Tajalliyoo''n Ki Ham-Hami...
K Har Ek Cheez Chamak Uth''thi....
''''KASHA-FADDU-JA BAY JAMAAL-E-HE''''
Ye Kamaal-e-Haqq-e-Muhammadi (S.A.W)
K Har Ek Pay Chashm-e-Karam Rahi...
Sar-e-Hashar Nara-e-Ummati...
"HASU-NAT JAMIE-O-KHISAAL-E-HE''''
Ba_Khuda Hai Ishq-e- Muhammadi (S.A.W)
Mera Zikar-o-Fikar He Bass Yehi....
''''SALLU AALAY-HE WA AALAY HE''''
''''SALLU AALAY-HE WA AALAY HE''''
·
4 Like ·
Aug 30, 2018 at 15:08
Category: relegious
Poetry / Sad
Bay Ant Khayalat Mujhe Maar Hi Dein Ge
Bay ant khayalat mujhe maar hi dein ge
Ye hijr k lamhat mujhe maar hi dein ge
Halaat se larta hua mar jaun ga ik din
Tum dekhna Halaat mujhe maar hi dain gay
Ehsas ki masnad pe bitha rakhtay hain din bhar
Par dukh to kisi raat mujhe maar hi dain gay
Sawan se mumasil hain meri ankhen tere baad
Ye ashk ye barsaat mujhe maar hi dain gay
Ankhon mein ubhar aatay hain har baat pe aansu
Shahi mere jazbaat mujhe maar hi dain gay....!
Ye hijr k lamhat mujhe maar hi dein ge
Halaat se larta hua mar jaun ga ik din
Tum dekhna Halaat mujhe maar hi dain gay
Ehsas ki masnad pe bitha rakhtay hain din bhar
Par dukh to kisi raat mujhe maar hi dain gay
Sawan se mumasil hain meri ankhen tere baad
Ye ashk ye barsaat mujhe maar hi dain gay
Ankhon mein ubhar aatay hain har baat pe aansu
Shahi mere jazbaat mujhe maar hi dain gay....!
·
1 Like ·
Dec 02, 2017 at 18:12
Category: sad
Poetry / Sad
Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai
Jab Tanhayi Raqs Karti Hai
Jab Waqt Tham Sa Jata Hai
Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai
Jab Naghmagi Bhi Shor Bannay Lagti Hai
Jab Unsiat Bhi Aziat Ban Jati Hai
Jab Khawb, Azaab Lagnay Lagtay Hai
Jab Ihsas Kay Samandar Ka
Har Moti Toot Toot Jata Hai
Jab Mout ,zidagi Ban Jati Hai
Aur Zindagi,mout Ban Jati Hai
Tab Aisay Main Jana
Teri Yaad Aur Bhi Stati Hai
Jab Waqt Tham Sa Jata Hai
Jab Wahshat Bay Libas Honay Lagti Hai
Jab Naghmagi Bhi Shor Bannay Lagti Hai
Jab Unsiat Bhi Aziat Ban Jati Hai
Jab Khawb, Azaab Lagnay Lagtay Hai
Jab Ihsas Kay Samandar Ka
Har Moti Toot Toot Jata Hai
Jab Mout ,zidagi Ban Jati Hai
Aur Zindagi,mout Ban Jati Hai
Tab Aisay Main Jana
Teri Yaad Aur Bhi Stati Hai
·
1 Like ·
Jul 12, 2017 at 12:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bay Rabt Si Tehreer Ibaarat Nahi Hoti
Bay-Rabt Si Tehreer Ibaarat Nahi Hoti
Hathon Ki Lakiron Me Tu Kismat Nahi Hoti
Sajday May Dikhawa Ho To Sujda Nahi Hota
Gardan Kay Jhukanay Say Ibadat Nahi Hoti
Woh Shakhs Muhabbat Say Hamesha Raha Mehroom
Oron Kay Lya Jis Me Muhabbat Nahi Hoti
Chehray Ka Singhar Kabhi Kaam Na Aya
Seerat Kay Bina Kabhi Sorat Nahi Hoti
Shahkar Ki Takmeel Me Shamil Na Ho Gar Fiker
Tasveer To Ban Jati Hai Morat Nahi Hoti......
Hathon Ki Lakiron Me Tu Kismat Nahi Hoti
Sajday May Dikhawa Ho To Sujda Nahi Hota
Gardan Kay Jhukanay Say Ibadat Nahi Hoti
Woh Shakhs Muhabbat Say Hamesha Raha Mehroom
Oron Kay Lya Jis Me Muhabbat Nahi Hoti
Chehray Ka Singhar Kabhi Kaam Na Aya
Seerat Kay Bina Kabhi Sorat Nahi Hoti
Shahkar Ki Takmeel Me Shamil Na Ho Gar Fiker
Tasveer To Ban Jati Hai Morat Nahi Hoti......
·
1 Like ·
Aug 27, 2016 at 15:08
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Jab Mulaqat Bay Iradah Thee
جب ملاقات بے ارادہ تھی
اس میں آسودگی زیادہ تھی
نہ توقع نہ انتظار نہ رنج
صبحِ ہجراں نہ شامِ وعدہ تھی
نہ تکلف نہ احتیاط نہ زعم
دوستی کی زبان سادہ تھی
جب بھی چاہا کہ گنگناؤں اسے
شاعری پیش پا فتادہ تھی
لعل سے لب چراغ سی آنکھیں
ناک ستواں جبیں کشادہ تھی
حدتِ جاں سے رنگ تانبا سا
ساغر افروز موجِ بادہ تھی
زلف کو ہمسری کا دعوی? تھا
پھر بھی خوش قامتی زیادہ تھی
کچھ تو پیکر میں تھی بلا کی تلاش
کچھ وہ کافر تنک لبادہ تھی
اپسرا تھی نہ حور تھی نہ پری
دلبری میں مگر زیادہ تھی
جتنی بے مہر، مہرباں اتنی
جتنی دشوار ، اتنی سادہ تھی
اک زمانہ جسے کہے قاتل
میرے شانے پہ سر نہادہ تھی
یہ غزل دین اس غزال کی ہے
جس میں ہم سے وفا زیادہ تھی
وہ بھی کیا دن تھے جب فراز اس سے
عشق کم عاشقی زیادہ تھی
اس میں آسودگی زیادہ تھی
نہ توقع نہ انتظار نہ رنج
صبحِ ہجراں نہ شامِ وعدہ تھی
نہ تکلف نہ احتیاط نہ زعم
دوستی کی زبان سادہ تھی
جب بھی چاہا کہ گنگناؤں اسے
شاعری پیش پا فتادہ تھی
لعل سے لب چراغ سی آنکھیں
ناک ستواں جبیں کشادہ تھی
حدتِ جاں سے رنگ تانبا سا
ساغر افروز موجِ بادہ تھی
زلف کو ہمسری کا دعوی? تھا
پھر بھی خوش قامتی زیادہ تھی
کچھ تو پیکر میں تھی بلا کی تلاش
کچھ وہ کافر تنک لبادہ تھی
اپسرا تھی نہ حور تھی نہ پری
دلبری میں مگر زیادہ تھی
جتنی بے مہر، مہرباں اتنی
جتنی دشوار ، اتنی سادہ تھی
اک زمانہ جسے کہے قاتل
میرے شانے پہ سر نہادہ تھی
یہ غزل دین اس غزال کی ہے
جس میں ہم سے وفا زیادہ تھی
وہ بھی کیا دن تھے جب فراز اس سے
عشق کم عاشقی زیادہ تھی
·
1 Like ·
Mar 11, 2016 at 15:03
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bay Iradah Sahi
wo be-irada sahi , titliyon mein rehta hai,,
k mera dil to meri muthiyon mein rehta hai
mein apnay hath say dil ka gala daba doo gi
mery khilaaf yahi saazishon mein rehta hai..
uraan jis ki hamesha say jaarehana rahi
wo aaj meri tarah be-paron mein rehta hai
Alao ban k December ki sard raaton mein
tera khyaal mery taaqchon mein rehta hai.
bacha k khud ko guzarna mohaal lagta hai
tamam shahr mery raaston mein rehta hai
meri kitaab-e-mouhabbat mein uss ka zikr nahi
Wo khush khayal ghalat fehmiyon mein rehta hai
k mera dil to meri muthiyon mein rehta hai
mein apnay hath say dil ka gala daba doo gi
mery khilaaf yahi saazishon mein rehta hai..
uraan jis ki hamesha say jaarehana rahi
wo aaj meri tarah be-paron mein rehta hai
Alao ban k December ki sard raaton mein
tera khyaal mery taaqchon mein rehta hai.
bacha k khud ko guzarna mohaal lagta hai
tamam shahr mery raaston mein rehta hai
meri kitaab-e-mouhabbat mein uss ka zikr nahi
Wo khush khayal ghalat fehmiyon mein rehta hai
·
1 Like ·
Mar 09, 2016 at 20:03
Category: sad
Wallpapers / Beach
Anam Lateef
Marigot Bay West Indies
Beach wallpapers
·
4 Like ·
Dec 02, 2015 at 09:12
Uploaded in Anam Lateef 's Photos
Tags: Hd wallpaper Wallpaper
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Bay Ghar
shaam honay ko hai
laal sooraj samandr mein khonay ko hai
aur iss kay paray
kuch parinday
qitarein banaye
unhain jungalon ko chalay
kay payrron ki shakhon peh hain ghonslay
yeh parinday
wahin kar jayen gay
aur so jayen gay
hum hi heran hain
iss makano kay jungle mein
apna kahin bhi thikana nahi
shaam honay ko hai
hum kahan jayen gay ?
laal sooraj samandr mein khonay ko hai
aur iss kay paray
kuch parinday
qitarein banaye
unhain jungalon ko chalay
kay payrron ki shakhon peh hain ghonslay
yeh parinday
wahin kar jayen gay
aur so jayen gay
hum hi heran hain
iss makano kay jungle mein
apna kahin bhi thikana nahi
shaam honay ko hai
hum kahan jayen gay ?
·
1 Like ·
Nov 21, 2015 at 05:11
Category: general
Sponored Video