Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jab Bhi Chahain Ek Nayi Soorat Bana Lete Hain Log
Jab Bhi Chahain Ek Nayi Soorat Bana Lete Hain Log,
Ek Chehre Peh Kayi Chehre Saja Lete Hain Log,
Mil Bhi Lete Hain Woh Gale Apne Matlab K Liye,
Aa Pade Mushkil To Nazren Bhi Chura Lete Hain Log,
Khud-farebi Ki Unhe Aadat Si Shayad Pad Gayi,
Har Naye Rahzan Ko Seene Se Laga Lete Hain Log,
Hai Baja Unki Shikayat Par Iska Kya Ilaaj,
Bijliyaan Khud Apne Gulshan Peh Gira Lete Hain Log,
Ho Khushi Unko Bhi Haasil Ye Zaroori To Nahi,
Ghum Chupane K Liye Bhi Muskura Lete Hain Log....

·
3 Like ·
Sep 20, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Ko Na Bana Lain Woh Saza Mere Baad
zindagi ko na bana lain woh saza mere baad
hosla dena unhain mere Khudaa mere baad
haath uThate hue un ke na koi daikhe gaa
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad
kaun ghooNghaT ko uThaaye gaa sitamgar keh kar
aur phir kis se karain ge vo haya mere baad
phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi
roye gi siskiyaaN le le ke vafaa mere baad
Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad

2 Like ·
Jul 23, 2016 at 22:07
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Zindagi Ko Na Bana Lain Woh Saza Mere Baad
zindagi ko na bana lain woh saza mere baad
hosla dena unhain mere Khudaa mere baad
haath uThate hue un ke na koi dekhega
kis ke aane kii karain ge vo duaa mere baad
kaun ghonghat ko uthaye ga sitamgar keh kar
aur phir kis se karain ge vo haya mere baad
phir zamaane main muhabbat ki na pursish ho gi
royegi siskiyaaN le le ke vafaa mere baad
Woh jo kehta tha ke 'Nasir' ke liye jiitaa hon
Uss ka kya jaaniye kya haal hua mere baad ,

1 Like ·
Jul 20, 2016 at 07:07
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Aa Mai Tujhe Apna Jism Bana Lun
Aa Mai Tujhe Apna Jism Bana Lun,
Apni Rooh Ki Nas Nas Me Sama Lun,
Hai Muhabbat Kitni Haseen Mere Dilbar,
Aake Teri Baahon Me Batla Dun.
Mahka Dun Har Pal Tera Pyaar Ki Khushbu Se,
Phoolon Ko Tera Main Bistar Bana Dun.
Chamak Uthe Har Din Tera Aaftaab Banke,
Raaton Ko Teri Main Kahkashaan Bana Dun.
Tapne Lage Jab Teri Saanse Waqt Ke Safar Mein,
Thandi Hawa Ka Jhonka Ban Tujhko Sahla Dun.
Choo Na Sake Tujhe Mushkil Chaahkar Bhi,
Kuch Yun Tujhe Apni Palkon Mein Chipa Lun.
Hoke Rahe Tu Meri Aur Mai Tera,
Aa Mai Tujhe Apna Naseeb Bana Lu,

Jul 14, 2016 at 03:07
Category: love
Social Wall / Photos
Sehar Saeed
Ya Allah Amal Karne Wala Bana De
·
1 Like ·
Feb 22, 2016 at 14:02
Category: photos
Articles / Featured
Ijunoon
Ab Sun Glasses Kay Zariye Video Bana Kar Facebook Par Upload Karen
ایک امریکی کمپنی نے ایسے جدید چشمے تیار کر لیے ہیں جن کے ذریعے ویڈیوبنا کر فوراً فیس بک پر اپ لوڈ کی جا سکتی ہے ۔اس چشمے میں انتہائی مختصر سائز کا ایک کیمرہ نصب کیا گیا ہے جو Bluetooth ٹیکنا لو جی کے ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Dec 19, 2015 at 19:12
Category: featured
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Khuda Ik Pal Usay Mera Bana De
KHUDA Ik Pal Usay Mera Bana De
Itna Chahta Hun Usay Koi usko bata De...
Bohat NaAz Hai Mujhe Apni Mohabbat Per
Ho Jay Wo Mera Aiasa Koi Mojza Dikha De...
Agar Wo Mera Naseeb Ban NAhi Sakta
Uske Kadmon Ki Khak Mujhe Bana De..
Her Pal Dekhon Sapnay Usi Ke
Na Jagon Mujhe Aisi Neend Sula De...
Youn Ghut Ghut Ker NAhi Jina Chahta
Ya Wo Mujhe Mil Jaye Ya Mujhe Mita De

Dec 05, 2015 at 11:12
Category: love
Poetry / 24
Ab Se Tu Ne Mujhe Diwana Bana Rakha Hai
Jab se tu ne mujhe diwana bana rakha hai
sang har shaks ne hathoo mein utha rakha hai
uski dil per bhi kadi ishq mein guzri hogi
nam jis ne bhi muhabbat ka saza rakha hai
pathroo aaj mere sar per barste ku ho
main ne tum ko kabhi apna khuda rakha hai
pi ja aayam ki talkhi ko bhi hans ke nasir
gham ko sahne mei qudrat ne maza rakha hai

Sep 03, 2015 at 15:09
Category: 24
Poetry / Love
Chamaktay Chand Ko Tuta Hua Taara Bana Dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala
meri awargee ne mujhko awara bana dala
baDa dilkash baDa rangeen hai yeh shahar kahtay hain
yahan par hain hazaron ghar, gharon me.n log rehtay hain
mujhe is shahar ne galiyon ka banjara bana dala

mai.n is duniya ko aksar dekh ke hayraan hota hun
na mujhse ban saka chota sa ghar din raat rota hun
KHUDAYA tu ne kaise yeh jahan sara bana dala

mere malik mera dil kyu.n taDapta hai sulaghta hai
teri marzee teri marzee pe kis ka zor chalta hai
kisi ko gul kisi ko tu nay angaraa bana dala

yehi aaghaaz tha mera yehi anjaam hona tha
mujhe barbaad hona tha mujhe naakaam hona tha
mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala…

Jul 12, 2015 at 09:07
Category: love
Sponored Video