Archives

Please Login to Send Message.

Abdul Rehman Rehman

From : Pakistan
Followers : 0   Total Updates : 99
Member Since : Feb 02, 2006
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Koi Deewana Kehta Hai, Koi Pagal Samajhta Hai

Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechaini ko bas baadal samajhta hai
Main tujhse dour kaisa hoon, tu mujhse dour kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai

Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai
Kabhi Kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai
Yahan sab log kehte hain meri aankhon main aasoon hain
Jo tu samjhe to moti hain, jo na samjhe to paani hai

Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya
Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya
Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa
Kabhi tum sun nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya

· 1 Like · Dec 15, 2014 at 04:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Last Call

Kal hamesha ki tarha uss ney kaha ye fone par

Mein buhut masroof hoon mujh ko buhut sey kaam hain



Iss liye tum aao milney mein tou aa sakti nahi

Har riwayat torh kar iss baar mein ney keh diya



Tum jo ho masroof mein bhi buhut masroof hoon

Tum jo ho mashoor tou mein bhi buhut maroof hoo



Tum agar ghamgeen ho mein bhi buhut ranjoor hoo

Tum thakan sey choor tou mein bhi thakan sey choor hoon



Jan-e-mann hai waqt mera bhi buhut hi qeemti

Kuch puraney dostoon ney milney aana hai abhi



Mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain

Warna kehney ko tou sab lamhey tumharey naam hain



Meri aankhein bhi buhut bojhal hain sona hai mujhey

Rat'jagon key baad ab neendon mein khona hai mujhey



Mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi

Tum nahi aati tou milney mein bhi aa sakta nahi



Uss ko ye keh kar wasi mein ney reciever rakh diya

Aur phir apni ana key paaon peh sar rakh diya.



Wasi Shah

· 2 Like · Nov 20, 2014 at 07:11
Category: love
 
Advertisement
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Aandhiyon Men Deep Jalaana Hai

Ek Do nahi dushaman ye saara zamaana hai,
Phooti taqdeer ke aage khud ko aazmana hai,

Fursat-e-hastee se beykas saa jee rahaa hoon,
Rulaa ke khud ko ab khud hi ko hasana hai,

Saudey - baazi men bhi main aise shikast huaa,
Khushiyaa dekar mujhe dard ko apnaana hai,

Patthar ban k jaise kisi sadak peh aa gayaa hoon,
Tamaam umra ab logoN se thokar khaana hai,

Duniyaa-daari bhi kuchh is tarah se nibhaani hai,
Aainaa banna hai par kuchh bhi na bataana hai,

Naakaam si koshish kyun kar rahe ho "yogs",
AandhiyoN se gheyre ho aur deep jalaana hai.

· 1 Like · Nov 19, 2014 at 01:11
Category: love
 
Poetry / Political

Abdul Rehman Rehman

Gaza Par Aaj Talak Sham E Gharibaan Ka Samaan Hai

gaza par aaj talak sham-e-gharibaan ka samaan hai
jo museebat say bacha laye usay voh shakhs kahan hai

chaa gaya milat-e-islam peh museebat ka ghubaar
khoon mai tar hai Phalestine har ghar mai fughaan hai

mout ne khita-e-kashmir ko taraaj aur veeran kiya
unkay bachoon k muqadar mai faqat taigh-o-sina hai

hamay adaat hai ghulaami ki yoon barbaad hain hum
humaree bay bassi baichaargi chehroon sey ayaan hai

kissi zamanay mai kehtay hain bakamaal thay hum
aaj hum aandhioon ki zidd mai hain har samt dhuaan hai

Andher nagri hai duniya mai kaheen doour chalain
tumhee bataoo bhala rehnay k qabil yeh jahaan hai

· 1 Like · Nov 18, 2014 at 13:11
Category: political
 
Poetry / Songs Lyrics

Abdul Rehman Rehman

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen

Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Aisa Daikha Nahi Khoobsurat Koi
Jism Jaisay Ajanta Ki Moorat Koi

Jism Jaisay Nigaahon Peh Jaado Koi
Jism Naghma Koi, Jism Khushboo Koi

Jism Jaisay Machalti Hoi Raagni
Jism Jaisay Mehekti Hoi Chandni

Jism Jaisay Ke Khilta Hoa ik Chaman
Jism Jaisay Ke Sooraj Ki Pehli Kiran

Jism Tarasha Hoa Dilkash O Dil-nasheen

Sandali Sandali, Marmarin Marmarin
Sandali Sandali, Marmarin Marmarin

Aafreen Aafreen, Aafreen

Aafreen Aafreen Aafreen,
Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai
Chehra Uska Hai Ya Koi Mehtaab Hai

Chehra Jaise Ghazal, Chehra Jaan E Ghazal
Chehra Jaise Kali, Chehra Jaise Kanwal

Chehra Jaise Tasawwar Bhi Tasveer Bhi
Chehra Ek Khwaab Bhi, Chehra Taabeer Bhi

Chehra Koi Alif Laila Ki Dastaan
Chehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal Gumaan

Chehra Jaisa K Chehra Kaheen Bhi Naheen
Maahroo Maahroo, Mehjabeen Mehjabeen

Maahroo Maahroo, Mehjabeen Mehjabeen

Aafreen Aafreen, Aafreen
Aafreen Aafreen Aafreen,

Aafreen Aafreen,

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Aankhein Daikhee To Mein Daikhta Reh Gaya
Jaam Do Aur Donon He Do Aatisha

Aankhein Ya Maikade Ke Yeh Do Baab Hein
Aankhein Inko Kahoon Ya Kahoon Khuwaab Hein

Aankhein Neechi Huwi To Haya Bun Gayi
Aankhein Unchi Howi To Dua Bun Gayi

Aankhein Uth Ker Jhuki To Ada Bun Gayi
Aankhein Jhuk Ker Uthi To Qaza Bun Gayi

Aankhein Jin Mein hai Qaid Aasman O Zameen
Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi

Nargisi Nargisi, Surmayi Surmayi

Aafreen Aafreen Aafreen
Aafreen Aafreen Aafreen

Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Zulf E Janaa Ki Bhi Lambi Hai Daastan
Zulf Ki Mere Dil Per Hein Parchiyaan

Zulf Jaisay Ke Umdi Howi Ho Ghata
Zulf Jaisay Ke Ho Koi Kaali Bala

Zulf Uljhay To Dunya Pareshaan Ho
Zulf Suljhay To Yeh Zeest Aasan Ho

Zulf Bikhray Siyah Raat Chaanay Lagay
Zulf Lehraye To Raat Janay Lagay

Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Haseen

Reshmi Reshmi, Amberi Amberi
Reshmi Reshmi, Amberi Amberi

Aafreen Aafreen Aafreen

Aafreen Aafreen Aafreen
Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Tu Bhi Daikhay Agar To Kahay Humnasheen

Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen

Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi
Husn E Janaa Ki Tareef Mumkin Nahi

· 1 Like · Nov 18, 2014 at 07:11
Category: songs-lyrics
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Khamoshiyon Mein Bhi Hum Gungunane Lage

Khamoshiyon mein bhi hum gungunane lage,
Udasiyoon mein bhi hum muskarane lage,
Mehfil mein bhi khud ko tanhana pane lage,
JAgtey hue bhi khwaab sajane lage,
Har aahat peh aapko paane lage,
Khali hai raahein par un peh ankhen bichane lage,
Yeh mohabat nahin aapki to kya hai,
Jis mein khuda se pehle aapko yaad karne lage.

· 2 Like · Oct 08, 2014 at 10:10
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Aai Jo Teri Yaad To Aankh Bhar Aai Hai

aai jo teri yaad to aankh bhar aai hai,
tu palkon se ban ke ashq chalak aai hai.

jee chahta hai tere un khaton ko choom loon,
jis mein tere hanthon ki khushbu e hina samai hai.

khudaya ye kaisa qahar hai mujh par aaya,
mahboob ke aangan baji gair ki shahnaai hai.

aaj jo teri tasveer maine rubaroo rakh lee,
bosaa lene ko chandni mere ghar utar aai hai.

aankhon ke saagar ko ek parde se dhak liya,
tu kahin doob na jaae mere pyar ki gahraai hai.

dekh tere labon ke surkh gulaabon ki kasam,
khoon e yaar se tune ghazab qayamat dhaai hai.

kismat ne muh mora to tune bhi hath chod diya,
raah e wafa me dost tune khoob dosti nibhai hai...

· 1 Like · Oct 08, 2014 at 06:10
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Jab Bhi Ye Nazren Dekhti Hain Tumhe

jab bhii yeH nazreN deKhtii hain tumhe
in hoNthoN peh muskuraahaT chaa jaaTii hai
tumhaari yeH paayal ki jHankaar
aur haathoN ke yeH kaNgan ki aawaaZ
mujHe tumhaaraa deewaanaa banaa dete haiN

har subha tum jab apni bhigee huYi zulfoN se
mere chehre par paani ki booNde giraati ho
sooraj ki kirne phir dheere se dastak deti hain
meri wo subhaa aur bhi haseen lagne lagti hai

woh dheere dheere se jab maiN qarib aata huN
baDhtii huYii dhaRkanoN ko har pal mehsoos karta huN
jab mere haath chootay hain tumharay laboN ko
to naa jaane kyuuN ajeeb saa ehsaas hotaa hai

uss ehsaas ko aur uss pyaar ko
maiN apneY dil meiN haMeShaa ziNdaa rakhuNgaa

haaN haMeShaa ziNdaa rakhuNgaa...!

· 1 Like · Oct 08, 2014 at 02:10
Category: love
 
Web Directory / Classifieds

Abdul Rehman Rehman

Singles

Singles

https://www.ijunoon.net/singles/

Online Singles, Find your Partner

· 0 Like · May 30, 2007 at 04:05
Category: classifieds
 

Abdul Rehman Rehman

Gender :
Country : Pakistan

Followers : 0  
Total Updates : 99
Member Since : Feb 02, 2006

More Details

Educaiton : Masters
Religion : Islam
Caste : Sheikh
Language : Urdu
    This user has no friend
Coming Soon!


    This user has not uploaded any photo.
    Coming Soon!
    HELLO! turns 7!
    Posted by Funny Videos
    Posted on : Mar 01, 2017

    Random Post

    Sponored Video

    New Pages at Social Wall

    New Profiles at Social Wall

    Connect with us


    Facebook

    Twitter

    Google +

    RSS