Archives

Please Login to Send Message.

Hafeez Ur Rehman

From : Pakistan
Followers : 0   Total Updates : 50
Member Since : Mar 02, 2003
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Sab Kuch Khaak Howa Hai

sab kuch khak howa hai laikin chehra kya noorani hai
pathar neechay baith gaya hai, oopar pani behta hai

bachpan say mairi adaat hai, phool chupa kar rakhta hoon
hathoon pay jalta souraj hai, dil mein raat ke raani hai

dafan howay ratoon kay qissay ik chat ki khamooshi hai
sanatoon ki chadar oorhay yeah divaar purani hai

ussko paa kar itraoo gi, kho kar jaan ganwa do gi
baadal ka saya hai duniya har she aani jaani hai

dil apna aik chand nagar hai, achee sorat waloo ka
shehar mein aa kar shaid hum ko yeah jageer ganwani hai

tairay badan par mein pholoon say uss lamhay ka naam likhoon
jis lamhay ka mein afsana tu bhi ik kahaani hai

· 3 Like · May 09, 2021 at 11:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Kabhi Dhoop Day Kabhi Badliyaan

kabhi youn millain koi maslayhat koi khoof dil mein zara na ho
mujhay apni koi khabar na ho, tujhay apna koi patta na ho

kabhi dhoop day, kabhi badliyaan, dil o jaan say dono qabol hain
magar is mehal mein na qaid kar jahaan zindagi ki hawa na ho

woh hazar baghoon ka baagh ho, tairi barkatoon ke bahaar say
jahaan koi shaakh huri na ho, jahaan koi phool khilla na ho

Tairay ikhtiyaar mein kya nahi, mujhay iss tarhaan say nawaz day
youn duaain mairi qabool hoon mairay lab pay koi dua na ho

kabhi hum bhi iss kay qareeb thay, dil o jaan say barh kay azeez thay
magar aaj aisay milla hai woh kabhi pehlay jaisay milla na ho

· 4 Like · May 07, 2021 at 23:05
Category: 0
 
Advertisement
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Kuch Tu Pass Bacha Kar Rakho

kuch tu pass rakho, sab kuch karobaar na jano
dil kay darwazay mat kholo, iss ghar ko bazar na jano

maana rasta boht kathin hai phir bhi saya daar shajar hain
tehni ko talwar na samjho, anchal ko divaar na jano

sab kuch us ko day aya hoon, sab kuch us say lay aya hoon
mairi jeet ko jeet na samjho mairi haar ko haar na jano

din bhar dhoop mein chaltay chaltay hum dono ki sham hoi
thak kar banhon mein so jana ye jismani payar na jano

titli kay nazuk pankhon par ansoo ki tahreer ghazal hai
lafzoon ki meena kaari ko ilhaami ashaar na janoo

· 3 Like · Apr 28, 2021 at 13:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Kahen Wo Milta To Us Sey Lipat Ke Ro Leytey

Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara Bhigo Leytey
udaas raton ki tanhaiyon mein ro leytey

dukhon ka bojh akeley nahi sambhalta hey
kahen wo milta to us sey lipat ke ro leytey

agar safar mein hamara bhe hum safar hota
bari khoshi se inhi patharon pe so leytey

tumhari raah mein shakhon pe phool sookh gaye
kabhi hawaa ki tarha is tarf bhe ho leytey ....

yeh kiya ke roz wohi chandni ka bister ho
kabhi to dhoop ki chader bicha ke so leytey .... !

· 3 Like · Apr 28, 2021 at 05:04
Category: 0
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Tum Nahi Jante K Tum Kia Ho

Tum Nahi Jante K Tum Kia Ho
Dhoup Main Ghaney Paer Ka Saya Ho

Kai Ghairayon Main Chupa Howa NaGhma Ho
Subha Ki Tanhayon Main Khoya Howa Lemha Ho

Chandni Raaton Main Chehakti Hoi Maina Ho
BuLandion Per Jo Lay Jay Wo Zina Ho

Tum Peh Zaahir Hi Nahi Khuch Hi Haqiqat Apni
Daikh Lo Meri NiGhaon Main Haqiqat Apni

Shaam Ho K Sehar Ho , Chaand Ho K Sitaara
Tum Se Roshan Ye Jhan ho

· 1 Like · Dec 14, 2018 at 03:12
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Maa

maa hay sare jug se payri
shaan hay is ki sab se nirali

gher bhar ki hay is se zinat
paon tale hay is k jannat

falak ka aakhri maa hay tofaa
qadar jo koi maa ki jane

jannat phir wo mofaat main paye
jab bhi mushkil main main ghabray
maa ki dua ne kaam ker dikhaya

maa hay sare jug se payri
shaan hay is ki sab se nirali

· 1 Like · Dec 13, 2018 at 20:12
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Hukmaran Muj Ko Baharo Ka Banaya Jaye

Hukmaran muj ko baharo ka banaya jaye
Taaj kanton ka mere sar par sajaya jaye

har koi ab to gunahgaar bana betha hai
parsai ka hunar muj ko sikhaeya jaye

mout bur haq hai magar meri guzarish ye hai
zinda insaan ka janaza na uthaya jaye

me batau ga isay zakhm ki lazzat kya hai
phool ka muj se taaruf to karaya jaye

barh gai umar meri nisaf sadi se b Qateel
jashan ab mere ghamo ka b manaya jaye

· 1 Like · Dec 02, 2018 at 06:12
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Halaat K Qadmo Peh Qalandar Nahee Girta

Halaat k qadmo peh qalandar nahee girta
Tootay b jo taara to zameen par nahee girta

girtay hain samandar me baday shok se darya
lekin kisi darya me samandar nahee girta

samjho wahan phaldar shajar koi nahee hai
wo sehan k jis me koi pathar nahee hai

heran hai kai roz se thehra hua pani
talaab me ab q koi kankar nahee girta

is banda-e-khuddar peh nabiyo ka hai saya
jo bhook me bhi luqma tar par nahee girta

qaai hai Qateel ab ye mere sar k satoon par
bhonchal bhi aye to mera ghar nahee girta

· 2 Like · Dec 01, 2018 at 23:12
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Baandh Lain Hath Seeney Pey Saja Lain Tum Ko

Baandh Lain Hath Seeney Pey Saja Lain Tum Ko
Jee Main Ata Hey Ke Taweez Bana Lain Tum Ko
Phir Tumhain Roz Sanwarain Tumhain Berhta Daikhain
Apney Angan Main Chanmbeli Sa Laga Lain Tum Ko
Is Qadar Toot Key Humain Tum Per Pyar Ata Hey
Bher Lain Bahon Main Or Maar Hi Dalain Tum Ko
Kya Ajab C Khawahish Uthi Hey Hamarey Dil Main
Ker Key Faza Sa Hawaon Main Uchalain Tum Ko
Hey Tumharey Liyey Kuch Aisi Haqeeqat Dil Main
Apney Hathon Main Duwaon Sa Utha Lain Tum Ko
Yeh Khawahish Hey Merey Dil Ki Key Tumhain Khud Sey Zyada Chahain
Khushboo Ki Tarha Apney Man Main Basa Lain Tum Ko
Na Lagey Kisi Ki Nazr-E-Bud Tumhain Aye Merey Hamdam
Apney Dil Main Is Tarha Chupa Lain Tum Ko

· 1 Like · Nov 25, 2018 at 20:11
Category: love
 

Hafeez Ur Rehman

Gender :
Country : Pakistan

Followers : 0  
Total Updates : 50
Member Since : Mar 02, 2003

More Details

Educaiton : Intermidiate
Religion : Islam
Caste :
Language : Panjabi
    This user has no friend
Coming Soon!


    This user has not uploaded any photo.
    Coming Soon!
    Jummay k din gusal ki fazilat.
    Posted by Abdul Ghaffar
    Posted on : Aug 29, 2015

    Random Post

    Sponored Video

    New Pages at Social Wall

    New Profiles at Social Wall

    Connect with us


    Facebook

    Twitter

    Google +

    RSS