Poetry / Sad

Zahid Mahmood

Ye Dil Barbaad Karke Su Mein Kyun Abaad Rehte Ho
Koi Kal Keh Raha Tha Tum AllahabadRehte Ho
Ye Kaisi Shohratein Mujhko Ata Kar Di Mere Maula
Main Sabh Kuch Bhool Jaata Hoon Magar Tum Yaad Rehte Ho
Panahon Mein Jo Aaya Ho To Us Par Vaar Kya Karna
Jo Dil Hara Hua Ho Us Pe Fir Adhikaar Kya Karna
Mohabbat Ka Maza To Doobne Ki Kashmakash Mein Hai
Jo Ho Maloom Gehrayi To Dariya Paar Kya Karna
Hamare Sher Sun Kar Bhi Jo Khamosh Itna Hai
Khuda Jaane Guroor-e-Husn Mein Madhosh Kitna Hai
Kisi Pyale Se Poocha Hai Suraahi Main Sabab Mein Ka
Jo Khud Behosh Ho Wo Kya Bataye Ke Hosh Kitna Hai
Wo Jiska Teer Chupke Se Jigar Ke Paar Hota Hai
Wo Koi Gair Kya Apna Hi Rishtedaar Hota Hai
Kise Se Apne Dil Ki Baat Tu Kehna Na Bhoole Se
Yahan Khat Bhi Thodi Der Se Akhbaar Hota Hai
Jab Aata Hai Jeevan Mein Halaaton Ka Hungama
Jazbaton, Mulakaton, Haseen Baaton Ka Hungama
Jawani Ke Qayamat Daur Mein Ye Soch Te Hain Sabh
Ye Hungame Ki Raatein Hain Ya Raaton Ka Hungama
Na Paane Ki Khushi Hai Kuch
Na Khone Ka Hi Kuch Gam Hai
Ye Daulat Aur Shohrat Sirf
Kuch Zakhmo Ka Marham Hai
Ajab Si Kashmakash Hai
Roz Jeene,Roz Marne Me
Mukkammal Zindagi To Hai
Magar Poori Se Kuch Kam Hai
Koi Khamosh Hai Itna, Bahane Bhool Aaya Hoon
Kisi Ki Ik Taranum Mein Taraane Bhool Aaya Hoon
Meri Ab Raah Mat Takna Kabhi e Aasmaan Walo
Main Ik Chidiya Ki Aankhon Mein Udaane Bhool Aaya Hoon.

Advertisement
· 0 Like · Jul 03, 2018 at 04:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Sirf wo Ek Shakhs
Posted by Abdul Khaliq
Posted on : May 11, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS