Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kabhi Aati Hai
Khamoshi Se

Chupke Se
Dheeme Dheeme Se

Sargoshi Se
Aahista Aahista

Andheri Raat Mein
Bheegi Barsaat Mein

Kabhi Veerane Mein
Kabhi Anjaane Mein

Kabhi Mehfil Mein
Kabhi Tanhaai Mein

Mehakte Phoolon Si
Khilte Gulaabon Si

Behakte Lamhon Si
Sisakte Zakhmon Si

Kya Khabar Kyu Aati Hai
Waqt Be-Waqt Ye

Kiss Wajah Se
Kiss Ke Liye

Kiss Ki Khaatir
Kya Bataane

Kya Samjhaane
Ye Aati Hai

Ye Kya Hai
Ek Ehsaas Hai

Ek Pyaas Hai
Ek Chaahat Hai

Ek Mohobbat Hai
Phir Bhi Acchi Lagti Hai

Anjaani Si
Be-Gaani Si

Par Jaani-Pehchaani Si
Ek Khoobsurat Yaad

Haan,
Bas Teri Hi Yaad

Pal Pal Ye Aati Hai
Lamha Lamha Mujhe Sataati Hai

Advertisement
· 1 Like · Dec 05, 2015 at 05:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Poetry / Sad

Mohammad Asif

Gham me hansne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
Lehro se pani ko hataya nahi jata,
Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata

Lehar ati hai kinare se palat jati hai,
Yad ati hai dil me simat jati hai,
Faraq itna hai k lehar bewaqt ati hai,
Aur aap ki yaad har waqt ati hai

Advertisement
· 1 Like · Oct 07, 2014 at 22:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

ALLAH k Siwa
Posted by fayyaz karimi
Posted on : Dec 02, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS