Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Chaman Roye Hanse Shabanam Biyabaan Par Nikhar Aaye
Ek Aisaa Bhi Naya Mausam Mere Parvar-Digaar Aaye

Vo Sar Khole Hamari Lash Par Divanavaar Aaye
Isi Ko Maut Kehte Hain To Ya Rab Baar Baar Aaye

Sar-E-Gor-E-Gharibaan Aao Lekin Ye Guzarish Hai
Vahan Munh Phair Kar Rona Jahan Mera Mazar Aaye

Baha Aye Chashm-E-Tar Aisa Bhi Ek Aansoo Nadamat Ka
Jise Daaman Pe Lene Rehmat-E-Paravar-Digaar Aaye

Qafas Ke Ho Liye Ham To Magar Ai Ahal-E-Gulshan Tum
Hamain Bhi Yaad Kar Lena Chaman Main Jab Bahar Aaye

Na Jany Kya Samjh Kar Chup Hon Aye Sayyad Main Varnaa
Vo Qaidi Hon Agar Chahon Qafas Main Bhi Bahar Aaye

"Qamar" Dil Kya Hai Main To Un Ki Khatir Jaan Bhi De Don
Meri Qismat Agar Un Ko Na Phir Bhi Aitabaar Aaye
,

Advertisement
· 1 Like · May 22, 2016 at 14:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS