Poetry / Sad
Muhammad Aftab
vahashat-e-dil sila-e-abalapai le le
mujh se ya rab mere lafzon ke kamai le le
aql har bar dikhati thi jale hath apne
dil ne har bar kaha aag parai le le
main to us subah-e-darakhshan ko tavangar janun
jo mere shahar se kashkol-e-gadai le le
tu gani hai magar itni hain sharayat meri
ye mohabbat jo hamen ras na aayi le le
apne divan ko galiyon me liye phirta hun
hai koi jo hunar-e-zakhmnumai le le.

Advertisement
·
0 Like ·
Jul 15, 2018 at 16:07
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on 81 Days Ago
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on 82 Days Ago
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on 82 Days Ago
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on 82 Days Ago
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on 82 Days Ago
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on 82 Days Ago
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on 82 Days Ago
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on 82 Days Ago
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on 82 Days Ago
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on 82 Days Ago
Sponored Video