Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Teri Baaten Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhaane Aaye.

Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye

Aisi Kuchh Chup Si Lagi Hai Jaise
Hum Tujhe Haal Sunaane Aaye

Ishq Tanha Hai Sar-E-Manzil-E-Gam
Kaun Ye Bojh Uthaane Aaye

Ajnabi Dost Humein Dekh Kh Hum
Kuchh Tujhe Yaad Dilaane Aaye

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye

Kya Kahin Phir Koi Basti Ujri
Log Kyun Jashn Manaane Aaye?

Soay Raho Maut Ke Pahloo Mein Faraz
Neend Kis Waqt Na Jaane Aaye...

Advertisement
· 1 Like · Sep 14, 2016 at 04:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Teri Baaten Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhaane Aaye.

Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye

Aisi Kuchh Chup Si Lagi Hai Jaise
Hum Tujhe Haal Sunaane Aaye

Ishq Tanha Hai Sar-E-Manzil-E-Gam
Kaun Ye Bojh Uthaane Aaye

Ajnabi Dost Humein Dekh Kh Hum
Kuchh Tujhe Yaad Dilaane Aaye

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye

Kya Kahin Phir Koi Basti Ujri
Log Kyun Jashn Manaane Aaye?

Soay Raho Maut Ke Pahloo Mein Faraz
Neend Kis Waqt Na Jaane Aaye...

Advertisement
· 1 Like · Sep 13, 2016 at 22:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS