Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha
Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha

Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay
Magar main jahan gaya sehra dekhta raha

Jane kyun qatrate hain log mujhe milne say
Kal shab dair talak aaina dekhta raha

Pani mangte mangte meray honth pathar ho gaye
Woh shaks mashkeeza liye khara dekhta raha

Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue
Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha

Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha
Main usay or woh duniya dekhta raha

Kahon ga KHUDA se youm-e-hisaab ko MOHSIN
Ke zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha ....

Advertisement
· 1 Like · Aug 16, 2016 at 13:08
Category: sad
 
Latest Posts in poetry

· 1 Like · Aug 16, 2016 at 07:08
Category: sad
 
Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us

Facebook

Twitter

Google +

RSS