Poetry / Sad

Shahida Malik

Shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya
meri duniya mein bande ke khuda hone ka waqt aaya
unhen dekha to zahid ne kaha iman ke ye hai
ki ab insan ko sajada-rava hone ka waqt aaya
takallum ke khamoshi kah rahi hai harf-e-matalab se
ki ashk-amez nazron se ada hone ka waqt aaya
khuda jane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmat
khuda se kah raha hun nakhuda hone ka waqt aaya
hamen bhi aa pada hai doston se kam kuch yani
hamare doston ke bevafa hone ka waqt aaya.

Advertisement
· 0 Like · Jul 31, 2018 at 10:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Great Words.
Posted by wafa chaudhry
Posted on : Jan 30, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS