Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Qasam le lo
Tumhare baad
kisi ka khwaab dekha ho
kisi ko hum ne chaha ho
kisi ko hum ne socha ho
kisi ki aarzoo ki ho
kisi ki justujoo ki ho
kisi ki rah dekhi ho
kisi ka qurb manga ho
kisi ko sath rakha ho
kisi se aas rakhi ho
koi umeed bandhi ho
koi dil mai utra ho
koi tum se piyara ho
koi Dil mai basaaya ho
koi apna bnaya ho
koi rootha ho to hum ne
usay ro ro k manaya ho
december ki haseen rut main
kisi ka hijar jheela ho
kisi ki yaad ka mousam
mere aangan mai khela ho
kisi se baat karne ko
kabhi ye hont tarsay ho
kisi ki bewafai par
kabhi ye nain barsay ho
kabhi raaton ko uth uth kar
tere dukh mai na roye ho
Qasam le lo Tumhare Baad
Hum ik pal bhi soye ho
Qasam le lo kabhi jugnu
kabhi tara
kabhi mahtaab dekha ho
Qasam le lo Tumhare Baad
Kisi ka khwaab Dekha ho
Qasam Le Lo………
Tumhare baad
kisi ka khwaab dekha ho
kisi ko hum ne chaha ho
kisi ko hum ne socha ho
kisi ki aarzoo ki ho
kisi ki justujoo ki ho
kisi ki rah dekhi ho
kisi ka qurb manga ho
kisi ko sath rakha ho
kisi se aas rakhi ho
koi umeed bandhi ho
koi dil mai utra ho
koi tum se piyara ho
koi Dil mai basaaya ho
koi apna bnaya ho
koi rootha ho to hum ne
usay ro ro k manaya ho
december ki haseen rut main
kisi ka hijar jheela ho
kisi ki yaad ka mousam
mere aangan mai khela ho
kisi se baat karne ko
kabhi ye hont tarsay ho
kisi ki bewafai par
kabhi ye nain barsay ho
kabhi raaton ko uth uth kar
tere dukh mai na roye ho
Qasam le lo Tumhare Baad
Hum ik pal bhi soye ho
Qasam le lo kabhi jugnu
kabhi tara
kabhi mahtaab dekha ho
Qasam le lo Tumhare Baad
Kisi ka khwaab Dekha ho
Qasam Le Lo………
Advertisement
·
-3 Like ·
Jun 01, 2017 at 07:06
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video