Poetry / Sad

Sekhawat Ka Namood-Afrooz, Manzar Hi Nahi Aaya
Sakhi Bethay Rahay, Koi, Gada’gar Hi Nahi Aaya

Ye Soocha Tha Teri Khaatir, Koi Moti Nikalon Ga
Main Jis Rastey Mein Tha Is Mein, Samandar Hi Nahi Aaya

Pahan Kar Aainay Phirti Rahi Dewaangi Apni
Tamana Thi Bohat Jis Ki Wo Pather Hi Nahi Aaya

Baharein, Bailain, Jharay Patay, Lagay Jaalay Dareechon Par
Makeen Aisa Gaya Ghar Se Palat Kar Hi Nahi Aaya

Chamak Jis Ki Bula Laiti Uqaabon Ko Nasheman Se
Fizaaon Mein Koi Aisa Kabooter Hi Nahi Aaya

Dafenoon Ki Tarha Dil Mein Khazanay Rah Gaye Saaray
Samandar Kya Karay, Koi, Shanawar Hi Nahi Aaya

Diya Hi Jab Nahi Ho Ga Hawa Kis Ko Bhujaey Gi
Chiraag-E-Rah, Main Ab K, Jala Kar Hi Nahi Aaya

Advertisement
· 1 Like · Jan 29, 2016 at 19:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

''Fort McCoy'' Trailer
Posted by Hollywood Movie Trailers
Posted on : Mar 09, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS