Poetry / Sad

ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagi kam hai

qareeb o duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudi kam hai

tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai

urooj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunooz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai

na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagi kam hai

na saath deNgii ye dam toRti hoi shamain
naye chiraaGh jalao ke roshnii kam hai....!

Advertisement
· 1 Like · Aug 02, 2017 at 01:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Back Up! Topi xD
Posted by afza altaf
Posted on : Aug 23, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS