Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Meri chahat ka safar is liye dushwar raha
Main mohabat may wafaon ka talabgar raha

Ho gaye sare gilay door juda hotay hi
Ghamzada wo hai na main uska talabgar raha

In hawaon may ab dhundta phirta hun usay
Jin hawaon se kabhi barsar-e-pekaar raha,

Na muradi k siwa hijr k aaram bhi thay
Phir zamane ka zamana hi sitam gaar raha,

Jasb-e-shoq ne us waqt bhi chaha tujhko
Jab wo shokhi na wo gaisu na wo rukhsar raha,


Aik hasrat si mere dil mey kahin aur bhi thi
Har badalti hui rut mey gham-e-dildar raha

Is qadar hamsafri se tha harasan wo shakhs
Saath hi chor gaya dasht k us paar raha…,

Advertisement
· 1 Like · Jul 14, 2016 at 09:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

betiyan to ALLAH ki rehmat hoti hain.
Posted by mahu arish
Posted on : May 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS