Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Main hon majnoon mera andaz zamanay wala
teri nagri main to pathar nahi khanay wala

tu nay daikha hi nahi sath mery chal ky kabhi
main hon tanhai ka bhi sath nibhanay wala

mujh ko tum dasht e taheer main na choro tanha
khof taari hai ajab dil ko darane wala

khof ata hai mujhy apni hi tanhai sy
roth jata hai koi mujh ko mananay wala

dil wo sheesha k tera aks liye phirta hai
roz aata hai koi is ko mitanay wala

is ki har bat sir ankhon pr liye phirta hon
mujh ko accha bhi to lagta hai rulanay wala

is qadar ajnabi andaz sy kiun daikhta hai
main wohi hon tera kirdaar fasanay wala

har qadam soch samjh kr hi uthana ay dil!
tera rehbar to nahin rah batanay wala

chahay jitni bhi safarish karo is ki imran
main teri baton main hargiz nahin anay wala

Advertisement
· 1 Like · Nov 13, 2016 at 08:11
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS