Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Dhuup ke saath gayaa saath nibhaane wala
ab kahaan ayega vo lauT ke aane wala

ret par chhod gayaa naqsh hazaaron apne
kisii paagal kii tarah naqsh miTaane wala

sabz shaaKhen kabhii aise to nahiin cheeKhti hain
kaun aya hai parindon ko Darane wala

aariz-e-shaam kii surKhi ne kiyaa faash usay
pardaa-e-abr men thaa aag lagaane wala

safar-e-shab kaa taqaazaa hai mere saath raho
dasht purhoul hai tuufaan hai aane wala

mujh ko darr pardaa sunata rahaa qissaa apna
agale waqton kii hikayat sunaane wala

shabnami ghaas ghane phuul larazti kiranen
kaun aayaa hai Khazano ko luTaane wala

ab to aaraam karen sooghti aaNkhen merii
raat kaa aaKhirii taaraa bhii hai jaane wala

Advertisement
· 1 Like · Nov 13, 2016 at 01:11
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS