Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaif e hayaat tere siwa kuch nahi raha
teri qasam hai tujh se juda kuch nahi raha
wallah sub rutain hain pareshan teray baghair
wallah mousamoun ka maza kuch nahi raha
toufan sahiloon ko uratay chalay gaye
kaisay kahon k kuch bhe raha kuch nahi raha
afsoos zakhm-e-jan ka marham nahi naseeb
afsoos dard-e-dil ka dawa kuch nahi raha
ham mekashoon pe kufr k fatwe diye gaye
ehl e khuda ko khouf e khuda kuch nahi raha
ham tu wafa parast rahain gain tamaam umar
maana k unko paas-e-wafa kuch nahi raha
kaify main kis tarha se wo manzar bayan karoun
main ne jo roo k un se kaha kuch nahi raha

Advertisement
·
1 Like ·
Mar 29, 2017 at 15:03
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video