Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jhooti Thi Ya Sachi Thi
Mujhko Achi Lagti Thi
Aankhain Uski Kali Thi
Chehra Ujla Ujla Tha
Phool Chaman Main Khilte Thay
Jab Wo Khul Ker Hansti Thi
Keh Deti Thi Sab Kuch Hi
Dil Main Kuch Kab Rakhti Thi
Karwi Thi Guftar Bohut
Lakin Dil Ki Achi Thi
Ker Leti Thi Jhagra Aur
Foren Maan Bhi Jati Thi
Door Bhi Hum Ho Sakte Hain
Kab Humne Ye Socha Tha
Kitne Pyaare Din Thay, Wo
Har Dam Saamne Rehti Thi
Begani Thi Lakin, Woh
Apni Apni Lagti Thi
Gulshan Uski Chahat Ka
Mere Dil Main Mehka Tha
Kiya Woh Aaj Bhi Aisi Hai
Jaisi Kal Tak Lagti Thi
Ya Rab Usko Khush Rakhna
Har Dam Jo Khush Rehti Thi
Mujhko Achi Lagti Thi
Aankhain Uski Kali Thi
Chehra Ujla Ujla Tha
Phool Chaman Main Khilte Thay
Jab Wo Khul Ker Hansti Thi
Keh Deti Thi Sab Kuch Hi
Dil Main Kuch Kab Rakhti Thi
Karwi Thi Guftar Bohut
Lakin Dil Ki Achi Thi
Ker Leti Thi Jhagra Aur
Foren Maan Bhi Jati Thi
Door Bhi Hum Ho Sakte Hain
Kab Humne Ye Socha Tha
Kitne Pyaare Din Thay, Wo
Har Dam Saamne Rehti Thi
Begani Thi Lakin, Woh
Apni Apni Lagti Thi
Gulshan Uski Chahat Ka
Mere Dil Main Mehka Tha
Kiya Woh Aaj Bhi Aisi Hai
Jaisi Kal Tak Lagti Thi
Ya Rab Usko Khush Rakhna
Har Dam Jo Khush Rehti Thi
Advertisement
·
1 Like ·
Sep 04, 2016 at 05:09
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video