Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Apne hum'raah jo aate ho idhar se pehle
Dasht paRta hai mian ishq main ghar se pehle

Chal diye uth ke soo-e-shehar-e-wafa koo-e-habeeb
Pooch laina tha kisii khaak ba asar se pehle

Ishq pehle bhii kiya hijr ka ghum bhii daikha
Itne taRpe hain na ghabraaye na tarse pehle

Jee behalta hii nahi ab koii saat, koii pal
Raat dhaltii hi nahi chaar pehar se pehle

Hum kisi dar pe na tikay na kahin dastak dee
SaikaRon dar the merii jaan tere dar se pehle

Chaand se aankh milii jee ka ujaala jaaga
Hum ko sau baar huii subah sehar se pehle

Advertisement
· 1 Like · Feb 28, 2016 at 07:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

don not cry girls, i will be back soon
Posted by mehreen ali
Posted on : Jun 29, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS