Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

ik burg sabz shaakh se karr k juda bhi daikh
mai phir bhi jee raha hoon mera hausla bhi daikh

maana k tera mujh sey koi waasta naheen
milney k baad mujh se zara aaina bhi daikh

auron k paas ja k meri dastaan na pooch
jo kuch hai merey chehrey pe likha huwa bhi daikh

tu ney jo musht e khaak samajh kar urha diya
abb mujh ko apni raah mai bikhra huwa bhi daikh

chehrey ki chandni pe na itna bhi maan kar
waqt e sehar tu rung kabhi chand ka bhi daikh

Advertisement
· 3 Like · Mar 20, 2017 at 20:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Dr. Shaista
Posted by samreen anjum
Posted on : Jun 16, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS