Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

apne maazi ke tasawwur se hrasan hon mein
apne guzray hue ayyaam se nafrat hai mujhe

apni be car tamanaon pay sharminda hon
apni be sood umedon pay nedamat hai mujhe

mere maazi ko andheron mein daba rehne doo
mera maazi meri zillat ke siwa kuch bhi nahi

meri umedon ka haasil meri kawish ka sila
ik be naam aziat ke siwa kuch bhi nahi

kitni be car umedon ka sahara le kar
mein ne ewaan sajaye thay kisi ki khatir

kitni be rabt tamanaon ke mabham khakay
apne khowaboon mein basaye thay kisi ki khatir

mujh se ab meri mohabbat ke fasanay nah kaho
mujh ko kehnay doo kay mein ne inhen chaha hi nahi

aur woh mast nigehain jo mujhe bhool gayeen
mein ne un mast nigahon ko saraha hi nahi

Advertisement
· 1 Like · Mar 15, 2018 at 15:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Nail Flowers
Posted by Naila Ahmed
Posted on : Nov 04, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS