Poetry / General

Muzammil Shahzad

suno jo bhook hoti hai
! !. . bohat safaaq hoti hai
kisi firqay kisi mazhab se is ka vaastaa kaisa

tadapti aant mein jab bhook ka shola bharakta hai
to woh tahazeeb ke be rang kaghaz ko
tamaddun ki sabhi jhooti dalilon ko
jala kar raakh karta hai
nazar bhukhi ho to phir chodween ka chaand bhi roti sa lagta hai
khudi ka falsafah. . .
jhooti daleelen sab sharafat ki
mehez bakwaas lgty hain. .. .

haqeeqat mein yahi sab se bara sach hai
kay yeh jo bhook hoti hai
barri bud-zaat hoti hai

Advertisement
· 1 Like · Mar 15, 2018 at 09:03
Category: general
 

Latest Posts in poetry

G00d m0rning Bacho.
Posted by farooq ahmed
Posted on : Dec 27, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS