Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

faslay aese bhi hongay kabhi soocha na tha
samnay betha tha woh per woh mera na tha

woh to khushbo ki terha phaila tha merey chaar suu
mey ussey mahssuus ker sakta tha per chuu sakta na tha

raat bher siskion se aahat kaan mey aati rahi meray
jhaankna chaahta tha gali may per jhaank sakta na tha

aaj us ne apnay dard bhi alag ker liye mujh say
may rona chahta tu tha magar may ro sakta na tha

ye sabhi weraaniya ussi ki judaiye se theen
aankh namkeen tu hoween theen magar namak ka bahana na tha ,

Advertisement
· 1 Like · May 31, 2016 at 04:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Ameen
Posted by Akram Rahi
Posted on : Dec 05, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS