Poetry / Sad

Ijunoon

Har Kadam mein teri hi aahat sunaai deti hai
Kya karu ke dard ab teri judaai deti hai

Neend bhar soye hue arsa hua mujh ko
ke raat bhar khwaabon mein ab tu hi dikhaai deti hai

Khil khilahat se teri khilta tha jo mere dil ka ghrronda
Khaamoshi ab deewar pe chaspa sunai deti hai

Jhoothi khushi se rokta hu saaki main apna gham
Tanhaai aa aa kar mujhe sachhi rulaai deti hai

Kahtey hein kaayenaat mein rangeen hai har ek shai
tere bin kaaynaat par; pheeki dikhaayi deti hai

Rait ke maanind phisla ja raha hai waqt
ghari ki tik tik mein teri halchal sunai deti hai

Chalte chalte raah pe ab behakte hain kadam
Hawa ke jhonkon mein tu hansti sunai deti hai

Har Kadam mein teri hi aahat sunai deti hai
Kya karu ke dard ab teri judaai deti hai

Neend bhar soye hue arsa hua mujh ko
ke rat bhar khwabo mein ab tu hi dikhai deti hai

Advertisement
· 1 Like · Apr 05, 2016 at 02:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Tere Bina - Mankirt Aulakh
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Jan 16, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS