Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aabadiyon Me Dasht Ka Manzar Bhi Aayega
Guzro Gay Shehr Se To Mera Ghar Bhi Aayega

Sairab Ho K Shaad Na Ho Rehrawan-E-Shauq
Rustey Me Tashnagi Ka Samandar Bhi Aayega

Achi Nahi Nazakat-E-Ahsas Is Qadar
Shisha Agar Bano Gay To Pathar Bhi Aayega

Deer-O-Haram Me Khak Uratey Chale Chalo
Tum Jiski Justajoo Me Ho Wo Ghar Bhi Aayega

Is Wastey Uthatey Hen Kanton K Naaz Ham
Ik Din To Apne Hath Gul-E-Tar Bhi Aayega

Rudad-E-Ishq Iss Liye Ab Tak Na Ki Bayan
Dil Me Jo Dard He Wo Zaban Par Bhi Aayega

Baitha Hun Kab Se Kucha-E-Qaatil Me Sar Nigun
Qaatil K Hath Me Kabhi Khanjar Bhi Aayega

Jiss Din Ka Muddaton Se Hy Naushad Intezar
Kia Janey Din Hamen Wo Mayassar Bhi Aayega

Advertisement
· 1 Like · Feb 02, 2016 at 11:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS