Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Dloon Say Nikli Hoi Bud Dua

sabhi say in dinoon rootha howa sa lagtta hoon
mein apnay aap ko aab bay'wafa sa lagta hoon

tamaam raat mein girti hoi havailee mein
diloon say nikli hoi Bud Dua sa lagta hoon

mein woh khazana hoon haqdar jis ki duniya hai
hazar hisoon mein batta howa sa lagta hoon

mairi hansi say udaasi kay phool khiltay hain
mein sab kay sath hoon laikin juda sa lagta hoon

chamak raha tha, chehra kissi ke ankh mein
mein aainay mein kissi dosra sa lagta hoon

tamam raat barasti hai, rait par shabnam
mein apnay chaand say jab bhi khafa sa lagta hoon

· 1 Like · May 21, 2021 at 20:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Muskurati Hoi Dhanak Hai Wohi

Muskurati hoi dhanak hai wohi
uss badan mein chamak damak hai wohi

phool murjhaa gaye ujaloon kay
sanwali shaam mein namak hai wohi

abhi bhi chehra charaagh lagta hai
bujh gaya hai magar chamak hai wohi

woh saraba diyeah ki lo jaisa
mein hawa hoon idhar lapak hai wohi

koi sheesha zaroor toota hai
gungunai hoi khanak hai wohi

payaar kis ka mila hai mitti mein
iss chanbaili tallay mehak hai wohi

· 4 Like · May 20, 2021 at 23:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Dil Mein Ik Tasveer Chupi Thi

dil mein ik tasveer chupi thee, aa basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein

jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein

iss romaal ko kaam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein

parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein

mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaaga hon, neend bhari hai ankhoon mein

· 4 Like · May 12, 2021 at 14:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Sab Kuch Khaak Howa Hai

sab kuch khak howa hai laikin chehra kya noorani hai
pathar neechay baith gaya hai, oopar pani behta hai

bachpan say mairi adaat hai, phool chupa kar rakhta hoon
hathoon pay jalta souraj hai, dil mein raat ke raani hai

dafan howay ratoon kay qissay ik chat ki khamooshi hai
sanatoon ki chadar oorhay yeah divaar purani hai

ussko paa kar itraoo gi, kho kar jaan ganwa do gi
baadal ka saya hai duniya har she aani jaani hai

dil apna aik chand nagar hai, achee sorat waloo ka
shehar mein aa kar shaid hum ko yeah jageer ganwani hai

tairay badan par mein pholoon say uss lamhay ka naam likhoon
jis lamhay ka mein afsana tu bhi ik kahaani hai

· 3 Like · May 09, 2021 at 11:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Kabhi Dhoop Day Kabhi Badliyaan

kabhi youn millain koi maslayhat koi khoof dil mein zara na ho
mujhay apni koi khabar na ho, tujhay apna koi patta na ho

kabhi dhoop day, kabhi badliyaan, dil o jaan say dono qabol hain
magar is mehal mein na qaid kar jahaan zindagi ki hawa na ho

woh hazar baghoon ka baagh ho, tairi barkatoon ke bahaar say
jahaan koi shaakh huri na ho, jahaan koi phool khilla na ho

Tairay ikhtiyaar mein kya nahi, mujhay iss tarhaan say nawaz day
youn duaain mairi qabool hoon mairay lab pay koi dua na ho

kabhi hum bhi iss kay qareeb thay, dil o jaan say barh kay azeez thay
magar aaj aisay milla hai woh kabhi pehlay jaisay milla na ho

· 4 Like · May 07, 2021 at 23:05
Category: 0
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Kuch Tu Pass Bacha Kar Rakho

kuch tu pass rakho, sab kuch karobaar na jano
dil kay darwazay mat kholo, iss ghar ko bazar na jano

maana rasta boht kathin hai phir bhi saya daar shajar hain
tehni ko talwar na samjho, anchal ko divaar na jano

sab kuch us ko day aya hoon, sab kuch us say lay aya hoon
mairi jeet ko jeet na samjho mairi haar ko haar na jano

din bhar dhoop mein chaltay chaltay hum dono ki sham hoi
thak kar banhon mein so jana ye jismani payar na jano

titli kay nazuk pankhon par ansoo ki tahreer ghazal hai
lafzoon ki meena kaari ko ilhaami ashaar na janoo

· 3 Like · Apr 28, 2021 at 13:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Hafeez Ur Rehman

Kahen Wo Milta To Us Sey Lipat Ke Ro Leytey

Kisi Ki Yaad Mein Palkein Zara Bhigo Leytey
udaas raton ki tanhaiyon mein ro leytey

dukhon ka bojh akeley nahi sambhalta hey
kahen wo milta to us sey lipat ke ro leytey

agar safar mein hamara bhe hum safar hota
bari khoshi se inhi patharon pe so leytey

tumhari raah mein shakhon pe phool sookh gaye
kabhi hawaa ki tarha is tarf bhe ho leytey ....

yeh kiya ke roz wohi chandni ka bister ho
kabhi to dhoop ki chader bicha ke so leytey .... !

· 3 Like · Apr 28, 2021 at 05:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Shaam Kay Saaye

koi lashkar hai ke barhtay hovay gham aatay hain
shaam kay saaye bohat taiz qadam aatay hain

dil woh darwaish hai jo ankh utha'ta hee nahi
is kay darwazay pay soo ehal e karam atay hain

mujh say kya baat likhaani hai ke ab mairay liye
kabhi sonay kabhi chandi kay qalam aatay hain

mein nay do chaar kitaabain tu parhi hain laykin
shehar kay toor tareeqay mujhay kam aatay hain

khobsourat sa koee hadsa ankhoon mein liye
ghar ki dehleez pay dartay hovay hum atay hain

· 2 Like · Apr 27, 2021 at 16:04
Category: 0
 
Poetry / 0

Ijunoon

Tehreer Mairi Kismat Ki

sanwar nook e palak abroon mein khum kar day
giray paray howay lafzoon ko mohtaram kar day

gharoor uss pay bohat saja hai magar keh do
issi mein uss ka bhala hai gharoor kam kar day

yahaan libaas ki qeemat hai admmi ki nahi
mujhay gilaas baray day sharaab kam kar day

chamaknay wali hai tehreer mairi kismat ki
koi charagh ki lo ko zara sa kam kar day

kissi nay choom kay ankhoon ko yeh dua di the
zameen tairi khuda motiyoon say num kar day

· 1 Like · Apr 24, 2021 at 18:04
Category: 0
 
Life Span.
Posted by yousuf ahmed
Posted on : May 11, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS